Fazail e Amaal par Waswasa Part 20 (Aurat ke Pait par Haat Phairne ke Waqiye par Aiteraaz ka Muh-tord Jawaab)

Ghair Muqallideen Ahle hadees Firqa e Ahlehadees Awaam ko Dhoka dete huwe Fazaail e Amaal me Maujood ek Waqiye ko Naql Karke, GHALAT Bayaani se Kaam lete hai aur Bichaare Kam Ilm Logo ko Dhoka dete hai.

Dekhiye,

Al – Jawaab :

Jis Waqiye par Aiteraaz Kiya gaya hai, Usko Ek Baar Mulaaheza Farmaaye :

Hafiz Abu Nuaim Rh. Hazrat Sufiyan Sauri Rh. se Naql karte hai ke Mai Ek dafa Baher jaaraha tha.

Maine ek Jawaan ko dekha ke Jab wo Qadam utaata hai ya Rakhta hai, Toh Yu Kehta hai.

اللهم صلي محمد وعلى آل محمد

Maine usse pucha :

Kya Kisi Ilmi Daleel se Tera Yeh Amal hai ? (Ya Mahez apni Raaye se) ?

Usne pucha : Tum Kaun ho ?

Maine Kaha : Mai Sufiyan Sauri (Rh. hu).

Usne Kaha : Kya Iraaq waale Sufiyan ?

Maine Kaha :  Ha !

Kehne laga : Tujhe Allah ki Maarifat Haasil hai ?

Maine Kaha : Haa hai.

Usne pucha : Kis Tarah Maarifat Haasil hai ?

Maine Kaha : Raat se Din Nikalta hai, Din se Raat Nikalta hai, Maa ke pait me Bach-che ki Surat paida karta hai.

Usne Pucha : Kuch nahi Pehchaana.

Maine Kaha : Tu Kis Tarah Pehchaanta hai ?

Usne Kaha : Kaam ka Pokhta (Pakka) Iraada  karta hu, Usko Faskh karna Pardta hai aur Kisi Kaam ke karne ki Thaan Karleta hu, Magar nahi Karsakta.

Isse maine pehchaan liya, ke Koi Dusri Hasti hai Jo Mere kaamo ko Anjaam deta hai.

Maine Pucha :  Yeh Tera Durood kya Cheez hai ?

Usne Kaha : Mai apni Maa ke saat Hajj ko gaya tha, Meri Maa wahi Rehgayi (Yaani Margayi).

Uska Muh kaala hogaya aur Uska Pait phul gaya.

Jisse Mujhe Yeh Andaaza huwa ke Isse Koi Bahut Bada saqt Gunaah huwa hai, Maine ALLAH TALA KI TARAF DUA KE LIYE HAAT UTAAYE .

Toh Maine Dekha ke tihaama (Hijaaz) se Ek Abar aaya.

Usse Ek Aadmi Zaahir huwa.

Usne Apna Mubarak haat Meri Maa ke Muh par Phaira, Jisse wo Bilkul Raushan hogayi aur Pait par Haat Phaira, Toh Warum bilkul Jaata raha.

Maine ne Arz kiya : ke Aap Kaun hai ke Meri aur Meri Maa ki Musibat ko Dur kiya,

Unhone Farmaaya : ke Mai Tera Nabi SAW hu.

Maine Arz kiya : Mujhe koi Wasiyat ki-jiye.

Toh Huzur SAW ne Farmaaya : ke Jab koi Qadam Rakha kare ya Uthaaya kare

اللهم صلي محمد وعلى آل محمد

Padhaa-kar.

(Fazaail e Amaal : Jild 1 : Fazaail e Durood : Safa 765, Yaseen Book Depot, New Delhi)

(Fazaail e Amaal : Jild 1 : Fazaail e Durood : Safa 754, Deeniyat Edition) Continue reading

Fazail e Amaal par Aiteraaz Part 1 (Ek Saans me 200 Martaba Kalima pardne par Ishkaal) ka Jawaab.

Aiteraaz :

Fazaail e Amaal par Ek Aiteraaz Yeh Kiya hai ke Isme Ek Buzurg ka Waqiya hai ke wo Ek Saans me 200 Martaba Laa-Ilaaha-illallaah Pardte hai.

Aur Ghair Muqallideen Ahlehadees Juhalaa Is waqiye ka Mazaaq Udaate huwe kehte hai ke Yeh Kaise hosakta hai ???

Continue reading

Ulama e Deoband (Maulana Tariq Jameel DB.) par Aiteraaz (Kya Allah ne Huzur SAW ka Janaaza Pardha) ka Jawaab.

Maulana Tariq Jameel DB. par Ghair Muqallideen aur Bralwi Hazraat Na-daani ki Wajeh se Gustaaqi aur Kufr ka Fatwa Lagaate hai (Nauzbillah).

Kyunke Maulana ne Yeh Kaha ke ‘Allah ke Rasoolullah SAW ka Janaaza Khud Allah ne Pardha hai’.

Al – Jawaab no 1 : (Tehqeeqi Jawaab)

Maulana Tariq Jameel Sahaab DB. Ne wo riwayat Jisko Aapne Unse Suna hai, wo riwayat Unhone Apne Ghar se Bayaan Nahi kiya, Balke Imam Ghazaali Rh. Al Mutawaffa 505 Hij. Ki Mashoor Kitaab “Ahya Uloom ud Deen” se Naql kiya hai.

Imam Abu Haamed Muhammed al Ghazaali Rh. Al Mutawaffa 505 Hij. Farmaate hai ke

وروي ابْن مَسْعُود: أَن النَّبِي صَلَّى الله عَلَيْهِ وَسلم قَالَ لأبي بكر «سل يَا أَبَا بكر» فَقَالَ: يَا رَسُول الله دنا الْأَجَل؟ فَقَالَ «قد دنا الْأَجَل وتدلى» فَقَالَ لِيَهنك يَا نَبِي الله مَا عِنْد الله! فليت شعري عَن منقلبنا، فَقَالَ «إِلَى الله وَإِلَى سِدْرَة الْمُنْتَهَى ثمَّ إِلَى جنَّة المأوى والفردوس الْأَعْلَى والكأس الأوفى والرفيق الْأَعْلَى والحظ والعيش المهنا» فَقَالَ يَا نَبِي الله من يَلِي غسلك؟ قَالَ «رجال من أهل بَيْتِي الْأَدْنَى فالأدنى» قَالَ فَفِيمَ نكفنك؟ فَقَالَ «فِي ثِيَابِي هَذِه وَفِي حلَّة يَمَانِية وَفِي بَيَاض مصر» فَقَالَ كَيفَ الصَّلَاة عَلَيْك منا؟ وبكينا وَبكى ثمَّ قَالَ «مهلا غفر الله لكم وجزاكم عَن نَبِيكُم خيرا، إِذا غسلتموني وكفنتموني فضعوني عَلَى سَرِيرِي فِي بَيْتِي هَذَا عَلَى شفيري قَبْرِي، ثمَّ أخرجُوا عني سَاعَة، فَإِن أول من يُصَلِّي عَلَى الله عز وَجل {هُوَ الَّذِي يُصَلِّي عَلَيْكُم وَمَلَائِكَته} ثمَّ يَأْذَن للْمَلَائكَة فِي الصَّلَاة عَلَى، فَأول من يدْخل عَلَى من خلق الله وَيُصلي عَلَى جِبْرِيل ثمَّ مِيكَائِيل ثمَّ إسْرَافيل ثمَّ ملك الْمَوْت مَعَ جنود كَثِيرَة، ثمَّ الْمَلَائِكَة بأجمعها صَلَّى الله عَلَيْهِم أَجْمَعِينَ، ثمَّ أَنْتُم فأدخلوا عَلّي أَفْوَاجًا فصلوا عَلّي أَفْوَاجًا زمرة زمرة وسلموا تَسْلِيمًا، وَلَا تؤذوني بتزكية وَلَا صَيْحَة وَلَا رنة وليبدأ مِنْكُم الإِمَام وَأهل بَيْتِي الْأَدْنَى فالأدنى، ثمَّ زمر النِّسَاء ثمَّ زمر الصّبيان» قَالَ فَمن يدْخلك الْقَبْر؟ قَالَ «زمر من أهل بَيْتِي الْأَدْنَى فالأدنى مَعَ مَلَائِكَة كَثِيرَة لَا ترونهم وهم يرونكم قومُوا فأدوا عني إِلَى من بعدِي»

(Ahya uloom ud Deen : Jild 4 : Safa 471)

Scan Page : Continue reading

Fazail e Amaal par Aiteraaz Part 2 (Shaykh Kabeer Ahmed Rifaayi Rh. ke waqiye par Aiteraaz ka Jawaab)

Ghair Muqallideen ke Aksar Ulama wa Awaam Fazaail e amaal par Aiteraazaat ke silsile me Ek Aiteraaz Yeh bhi karte hai ke

Hazrat Imam ul Qudwah, Az-Zaahid, Al Aabid, Shaykh ul Aarfieen Abul Abbas Sayyid Kabeer Ahmed Rifaayi Rh. Al Mutawaffa 578 Hij. ne Huzur SAW ka Haat Kaise Chuma ??

Note :

Imam Kabeer Ahmed Rifaayi Rh. Al Mutawaffa 578 Hij. ko Yeh Alqaab se Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. ne Seer Alamun Nubula : Jild 21 : Safa 77 par diye hai.

Scan Page :

san21_Page77

Al – Jawaab :

Jis Waqiye par Aiteraaz kiya gaya hai, Usko Mulaaheza Farmaaye :

“Sayyid Ahmed Rifaayi Rh. Mashoor buzurg Akaabir e Sufiya me se hai.

Unka Qissa Mashoor hai ke Jab 555 Hij. me Hajj se Faarigh hokar Ziyaarat ke liye (Madinatul Munawarrah) Haazir huwe aur Qabar e Athar ke Muqaabil (Saamne) Khade Huwe, Toh Yeh 2 Shair pardhe :

Tarjuma e Ashaar :

Doori ki Halat me Mai apni Ruh ko Khidmat e Aqdas me bheja karta tha, wo Meri Naayab banker Aastaane Mubarak Choomti thi.

Ab Jismo ki Haaziri ki Baari aayi hai, Apna Dast e Mubarak Aata Kijiye Taake Mere Hoont usko Chume.

Ispar Qabr e Shareef se Dast e Mubarak Baaher Nikla aur Unhone Usko Chuma. (Al HAAWI Lis SUYUTI).

(Fazaail e Amaal : Jild 2 : Fazaail e Hajj : Safa 130-131, Yaseen Book Depot, New Delhi)

(Fazaail e Amaal : Jild 2 : Fazaail e Hajj : Safa 789-790, Deeniyat Edition)

Scan Page : Yaseen Book Depot Edition

1

Scan Page : Deeniyat Edition

Fazaail-e-Aamal-2 Complete_Page791

Wazaahat :

Yeh Waqiye Hazrat Shaykh ul Hadees Maulana Zakarriya Sahaab Rh. ne Apni Taraf Banaakar Nahi Likha, Balke Salaf ki Kutub se Naql kiya hai aur Salaf ki Kitaabo me SAHEEH SANAD ke Saat Yeh Waqiye Maujood hai, Jiski Tehqeeq Darj e zail Link par Tafseel ke saat Maujood hai :

Continue reading

Imam Kabeer Ahmed Rifaayi Rh. ke Waqiye ki Takhreej.

Fazaail e Amaal me Imam Kabeer Ahmed Rifaayi Rh. Al Mutawaffa 578 Hij. ka Waqiya Mashoor Maujood hai ke Jab Aap Rh. Hajj se Faarigh hokar, Madinatul Munawwarah Pahunche aur Roza e Rasool par Haazir huwe, Toh Aap SAW ka Mubaarak Haat Roza se Zaahir huwa aur Sayyyidina al Imam Kabeer Ahmed Rifaayi Rh. ne Aap SAW ke Haat ko Chuma.

Yeh Waqiye Hazrat Shaykh ul Hadees Maulana Zakarriya Sahaab Rh. ne Apni Taraf Banaakar QATAN QATAN Nahi Likha, Balke Salaf ki Kutub se Naql kiya hai aur Salaf ki Kitaabo me SAHEEH SANAD ke Saat Yeh Waqiye Maujood hai, Jiski Tehqeeq Yeh hai :

Pehli Sanad :

1 – Imam Abdul Karim bin Muhammed ar Raafa’ii Rh. Al Mutawaffa 623 Hij. Farmaate hai ke

اخبرني شيخنا الامام الحجة القدوة ابو الفرج عمر الفاروثي الواسطي قال حج سيدناوشيخنا السيد احمد الرفاعي عام خمس وخمسين وخمسمائة فلما وصل المدينة…….

Sanad :

Imam Raafa’ii Rh. — > Imam Abul Farj Umar al Faarusi Rh. — > Imam Kabeer Ahmed Rifaayi Rh.

(Sawaad ul Aainain : Safa 10-11)

Scan Page :

sawad-ainain_Page15

Sanad ke Raaviyo ki Tehqeeq :

1 – Imam Abdul Kareem bin Muhammed ar Rafaaii Rh. Al Mutawaffa 623 Hij. ke bare me

Continue reading

Huzur SAW ke Fuzlaat e Mubarak PAAK hai (Ahadees aur Salaf-o-Saleheen se Saboot)

Ahle Sunnat wal Jamaat ke Nazdeek Huzur SAW ka Bol-o-Baraaz yaani, Aap SAW ke Fuzlaat e Mubarak (Excreta) Paak hai.

Is Masle par Dalaail Yeh hai :

Hadees no 1 :

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللهِ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ حَنْبَلٍ، ثنا يَحْيَى بْنُ مَعِينٍ، ثنا حَجَّاجُ بْنُ مُحَمَّدٍ، عَنِ ابْنِ جُرَيْجٍ، عَنْ حُكَيْمَةَ بِنْتِ أُمَيْمَةَ، عَنْ أُمِّهَا، أُمَيْمَةَ، قَالَتْ: كَانَ لِلنَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَدَحٌ مِنْ عِيدَانٍ يَبُولُ فِيهِ، وَيَضَعُهُ تَحْتَ سَرِيرِهِ فَقَامَ فَطَلَبَ فَلَمْ يَجِدُهُ فَسَأَلَ فَقَالَ: «أَيْنَ الْقَدَحُ؟» ، قَالُوا: شَرِبَتْهُ بَرَّةُ خَادِمُ أُمِّ سَلَمَةَ الَّتِي قَدِمَتْ مَعَهَا مِنْ أَرْضِ الْحَبَشَةِ فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَقَدِ احْتَظَرَتْ مِنَ النَّارِ بِحِظَارٍ»

Sanad :

Imam Tabraani Rh. — > Abdullah bin Ahmed bin Hanbal Rh. — > Yahiya bin Maeen Rh. — > Hajjaaj bin Muhammed Rh. — > Ibn Juraij Rh. — > Hukaima bint Umaimah Rh. — > Umaimah Rdh.

Matan :

Hazrat Hukaimah bit Umaimah rh. Apne Waalida Umaimah Rdh. Se riwayat karte hai ke Nabi SAW ka (ek) Lakdi ka Piyaala tha.

Jisme aap SAW Qaza e Hajaat Farmaate aur Usko Taqat ke neeche Rakhte.

(Ek baar) Aap SAW ne Usko Dhundha lekin wo nahi mila.toh Aap SAW ne Farmaaya : Piyaala, kaha hai ??

Ghar waalo ne kaha : ke Usko Barra Rdh. Ne peeliya, Jo Umme Salama Rdh. Ki Khaadima hai, Jo Habsha se aayi huwi hai.

Toh Nabi SAW ne Farmaaya : Toh wo Aag se mehfooz hogayi.

(Al-Mu-jjamul Kabeer Lit Tabraani : Jild 24 : Safa 205-206, wa Isnaaduhu SAHEEH)

Scan Page :

mtk24_Page206

Is riwayat ki Sanad ke Raaviyo ka Ta’aruf Yeh hai :

Continue reading

Huzur SAW ka Khoon e Mubarak Paak hai Part 2 (Degar Ahadees aur Salaf-o-Saleheen se Saboot)

Hadees no 2 :

Abu Saeed Rdh. Apne Waalid se riwayat karte hai ke Jab Rasoolullah SAW ko Ghazwa e Uhud me Apne Chehre par Zaqm pahuncha, Toh Maalik bin Sinaan Rdh. Ne Aap SAW ka Khoon e Mubarak peeya aur usko Nighal-liya.

Unse Kaha gaya ke, kya Tum Khoon Pi-rahe ho :

Toh Unhone Kaha ke : Haa ! Mai Rasoolullah SAW ka khoon e Mubarak pi-raha hu.

Toh Rasoolullah SAW ne Farmaaya : Mera Khoon uske Khoon se Mil gaya, Usko Aag nahi chu-sakti.

Yeh riwayat Mukhtalif Alfaaz ke saat Sunan e Saeed bin Mansoor me Maujood hai :

Chunaanche, Imam Saeed bin Mansoor Rh. Al Mutawaffa 227 Hij. Farmaate hai ke

Continue reading

Fazail e Amaal par Waswasa Part 19 (Huzur SAW ka Roza Tamaam Jagaaho se Afzal hone par Ishkaal ka Jawaab)

Aiteraaz :

Hazrat Shaykh ul Hadees Maulana Zakarriya Sahaab Rh. par Nadaan Tausuf ur Rehman ne Qabar parasti ki Dawat dene ka Ilzaam lagaya hai.

Al – Jawaab :

Jis Ibaarat par Aiteraaz kiya gaya hai, Usko Mulaaheza Farmaaye :

Qabar e Shareef ki Jagah Saari jagaaho se Afzal hai, Jo Hissa Huzur SAW ki Badan e Mubarak se Mila huwa hai, wo Kaabe se Afzal hai, Arsh se Afzal hai, Kursi se Afzal hai Hatta ke Aasmaan wa Zameen ki Har Jagaah se Afzal hai.

(Fazaail e Amaal : Jild 2 : Fazaail e Hajj : Safa 109, Yaseen Book Depot, Delhi)

(Fazaail e Amaal : Jild 2 : Fazaail e Hajj : Safa 764 , Deeniyat Edition)

Scan Page : Yaseen Book Depot, Delhi.

q

Scan Page : Deeniyat Edition.

Fazaail-e-Aamal-2 Complete_Page765

Phir Tauseeq Sahaab Ta’ana dete huwe Kehte hai “Phir Baitullah ka Tawaaf Chor-ke inhi Qabaro ka Tawaaf kiya Jaaye na ?”

Continue reading

Huzur SAW ka Khoon e Mubarak Paak hai Part 1 (Hazrat Ibn Zubair Rdh. ki riwayat ki Tehqeeq)

Ahle Sunnat Wal Jamaat ka yeh nazariya hai ke Huzur saw ka khoon e Mubarak paak hai.

Aur yeh Huzur saw ki khususiyaat me se hai.

Is Masle par Tehqeeq Darj e zail hai :

Hadees no 1 :

Imam Abubakr Ibn Abi Aasim Rh. Al Mutawaffa 287 hij. Farmaate hai ke

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْمُثَنَّى، أنا مُوسَى بْنُ إِسْمَاعِيلَ، نا هُنَيْدُ بْنُ الْقَاسِمِ، قَالَ: سَمِعْتُ عَامِرَ بْنَ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ الزُّبَيْرِ، أَنَّ أَبَاهُ حَدَّثَهُ أَنَّهُ أَتَى النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَهُوَ يَحْتَجِمُ فَلَمَّا فَرَغَ قَالَ: «يَا عَبْدَ اللَّهِ، اذْهَبْ بِهَذَا الدَّمِ فَأَهْرِقْهُ حَتَّى لَا يَرَاهُ أَحَدٌ» فَلَمَّا بَرَزَ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، عَمَدَ إِلَى الدَّمِ فَشَرِبَهُ، فَقَالَ: «يَا عَبْدَ اللَّهِ مَا صَنَعْتَ؟» قَالَ: جَعَلْتُهُ فِي أَخْفَى مَكَانٍ ظَنَنْتُ أَنَّهُ يَخْفَى عَلَى النَّاسِ، قَالَ: «لَعَلَّكَ شَرِبْتَهُ؟» قَالَ: نَعَمْ، قَالَ: «وَلِمَ شَرِبْتَ الدَّمَ؟ وَيْلٌ لِلنَّاسِ مِنْكَ، وَوَيْلٌ لَكَ مِنَ النَّاسِ»

Sanad :

Imam Abubakr Ibn abi Aasim Rh. — > Muhammed Ibn ul Musanna Rh. — > Musa bin Ismaail Rh. — > Hunaid Ibn ul Qaasim Rh. — > Aamir bin Abdullah bin Zubair Rh. — > Abdullah bin Zubair Rdh. — > Nabi SAW.

Matan :

Hazrat Abdullah bin Zubair rdh. Farmaate hai ke Mai Nabi SAW ke paas Pahuncha is haal me ke, Aap Hijaama Lagwaa rahe the.

Jab Aap SAW Faarigh hogaye, Toh Farmaaya : Aye Abdullah ! Is Khoon ko Lejaao aur Is Tarah Bahaao ke Koi Usko na Dekhe.

Jab Nabi SAW ke paas se Nikle, Toh Unhone Aap SAW ke Khoon e Mubarak ko Jaanbooch kar Peeliya.

(Baad me) Nabi SAW ko Jab Iska ilm huwa, Toh Aap SAW ne Ibn Zubair Rdh. ko Kuch Nahi Farmaaya. (Yaani Aisa Karne par Maana NAHI Farmaaya)

(Al Ahaadul Masaani Li Ibn Abi Aasim : Hadees no 578)

(Musnad e Bazzaar : hadees no 2210) Continue reading

Huzur SAW ke Jism e Mubarak se Lagi Mitti Tamaam Jagaaho se Afzal hai (Salaf-o-Saleheen se Saboot)

Ahle Sunnat wal Jamaat ka Nazariya hai ke

Huzur SAW ka Roza e Mubarak ka wo Hissa Jo Aapke Jism e Mubarak se Laga huwa hai, ya Huzur SAW ke Roza ke Matti ke wo Zarre Jo Aapke Jism e Mubarak se Lage huwe hai.

Wo Kaabe se aur Arsh se bhi Afzal hai aur Yeh Aqeeda Salaf-o-Saleeheen se Saabit hai, Unke Irshaadaat Mulaaheza Farmaaye :

1 – Mashoor Mufassir Allama Aalusi Rh. Al Mutawaffa 1270 Hij. Farmaate hai ke

 البقعة التي ضمته صلّى الله عليه وسلّم فإنها أفضل البقاع الأرضية والسماوية حتى قيل وبه أقول إنها أفضل من العرش.

Zameen ka wo Tukda jo Nabi SAW ke saat Laga hai, wo Zameen wa Aasmaan ki Tamaam Jagaaho se Afzal hai, Hatta ke yeh bhi Kaha gaya hai aur Mai bhi yahi Kehta hu ke Yeh Arsh se bhi Afzal hai.

(Tafseer e Ruhul Ma’ani : Jild 13 : Safa 111)

Scan Page :

13_50920_Page111

2 – Imam Abul Waleed Al Baaji Rh. Al Mutawaffa 474 Hij. Farmaate hai ke

وَقَوْلُهُ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – مَا عَلَى الْأَرْضِ بُقْعَةٌ مِنْ الْأَرْضِ أَحَبُّ إلَيَّ مِنْ أَنْ يَكُونَ قَبْرِي بِهَا مِنْهَا ظَاهِرُهُ تَفْضِيلُ الْمَدِينَةِ عَلَى مَا سِوَاهَا مِنْ الْأَرْضِ وَلِذَلِكَ أَحَبَّ أَنْ يَكُونَ قَبْرُهُ بِهَا

Huzur SAW ka Irshaad : Rooh e Zameen ka Koi Tukda Mujhe zyaada Mehboob nahi hai, [Jisme] Meri Qabar ho [Siwaaye] Madine se.

Imam Abul Waleed Rh. Farmaate hai ke Is Hadees ke Zaahir se Madine ki Fazilat, Zameen ke Tamaam Hisso par hai. [Jisme Kaabah bhi Daaqil hai].

(Al Muntaqa Sharah Muwatta : Jild 3 : Safa 209)

Scan Page :

Continue reading