Ulama e Deoband (Hazrat Maulana Zakariyya Rh.) Par Aiteraaz (ke (Nauzbillah) Fazail e Amaal Likhte Waqt Aap Pagal The.) Ka Jawaab.

Shaikhul Hadees Maulana Zakariyya Rah Ne Fazail E Amaal Ki Alag Alag Kutub Ko Alag Alag Waqt Me Likha Hai Unme Se Ek Kitab Hikaayat E Sahaba Raz Ke Naam Se Likhi Hai Jisme Sahaba Ke Imaan o Afroz Waqiaat O Deen E Islam Ke Liye Unki Qurbaaaniyon Ka Zikr Hai.

Ye Risala Shaikhul Hadees Rah Ne Hazrat Maulana Abdul Qadir Sahab Raipoori Rah Ki Farmaish Par Likha Tha, Is Risale Ko Aapne Ek Bimari Ki Halat Me Likha Jis Bimari Me Doctors Ne Dimagh Ka Kaam Karne Se Mana Kiya Tha.

Ab Kya Ghair Muqallideen Tehqeeq Ki Maala Japte Rehte Hain Magar Wo Tehqeeq Karte Nahi Aj Ke Mullaon Ki Andhi Taqleed Karte Hain.

Ghair Muqallid Aalim Meraj Rabbani Ne Jisko Quran Saheeh Padhna Nahi Aata Ne Apni Hamesha Ki Tarah Behuda Zaban O Jahalat Ka Namoona Dete Hue Kaha Ke “ Unka Dimagh Kharab Hogaya Tha “ Ab Meraj Rabbani Ke Andhe Muqallido Ne Har Jagah Shor Machana Shuru Kiya Aur Kehne Lage Ke Fazail E Amaal Likhte Waqt Shaikhu Hadees Rah Ka Dimagh Kharab Tha (Naoozu Billah).

Wajeh Kya Thi Khud Shaikhul Hadees Rah Ne Apni Aap Beeti Me Likhi Hai Ke Unhe ***Nakseer*** Hogayi Thi Aur Khoon Bhot Ziada Beh Gaya Tha.

Scan Page :

AAP_BITI_VOL_1_www.ahlehaqorg_Page138 AAP_BITI_VOL_1_www.ahlehaqorg_Page139

Ye Hai Bimari Aur In Jhooto Aur Farebiyo Ne Khayanat Kardi Sirf Bughz O Keena Ki Wajjeh Se.

Ab Doosri Aur Sabse Badi Khayanat Ye Ki Ke Fazael E Amaal (Jo Bhot Si Kitabo Ka Majmua Hai Us) Ka Pehla Part Hikayat E Sahaba (Raz) Hai Uske Preface Ko Poori Kitab Par Fit Kardiya.

Propaganda Karte Hai ke Nauzbillah “ Shaik Sahaab Fazail e Amaal Likhte Waqt Pagal Hogaye The “

Haalanke Har Part Alag Alag Waqt Par Likhi Gayi Thi, Aur Sehat Mandi Ki Halat Me Likhi Gayi Thi, Jo Ap Log Khud Har Ek Part (Baab) Ke Starting Me Muqaddma Me Padh Sakte Hain:

Hikayat E Sahaba Ko 12 Shawwal 1357 Hijri Me Likha Hai :

Scan Page :

BookReaderImages.php(6)

———————————–

Fazail E Quran- Zilhijjah, 1348

Scan Page :

Quran

Fazail E Namaz -Muharram, 1358

Scan Page :

Namaz

Fazail E Zikr – Shawwal 1358

Scan Page :

Zakir

Fazail E Darood – Zil Hijjah 1360

Scan Page :

Durood

Fazail Tableegh – Safar, 1350

Scan Page :

Tableegh

Fazail Ramazan – Ramazan, 1349 Hijri Me Likhe Gaye.

Quran

————————————————

Aur Ta-ajjub ki Baat hai ke Jo Baab Marz Ki Halaat Likha gaya hai Yaani Hikayat E Sahaba Rdh. .uspar Ghair Muqallideen ne koi Aiteraaz Nahi Kiya.

Aur Allah Paak se Dua Hai ke Allah Tala Jhooton Aur Farebiyo Se Hum Tamam Musalmano Ko Bachaye, Aur Hum Sab Ko Nek Taufeeq Ata Farmaye Aur Deen Ke Kaam Se Marte Dam Tak Jode Rakhe.

Ameen.

Leave a comment