Eidain ki Namaz me 6 Takbeere Sunnat hai Part 2 [Eidain me 12 Takbeere Huzur SAW se Saabit NAHI hai]

Ghair Muqallideen Hazraat Eidain me 12 Takbeero ke qaayil hai, Is Masle par Unke Dalaail ka Tarteebwaar Jawaab pesh e Khidmat hai :

Hadees no 1 :

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرٍ قَالَ: حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، قَالَ: حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ يَعْلَى الطَّائِفِيُّ، عَنْ عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ، «أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَبَّرَ فِي عِيدٍ ثِنْتَيْ عَشْرَةَ تَكْبِيرَةً، سَبْعًا فِي الْأُولَى، وَخَمْسًا فِي الْآخِرَةِ»

Sanad :

Imam Abu bakr Ibn Abi Shaiba Rh. — > Wakii Rh. — > Abdullah bin Abdur Rehman bin Ya’ala At-taa-efi — > Amr bin Shoaib Rh. AN— > Unke Waalid [Shoaib Rh.] AN — > Abdullah bin Amr bin Aaas Rdh. — > Huzur SAW.

(Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 4 : Safa 212-213)

Scan Page :

musnfsh04_Page201 - Copy

Al – Jawaab no 1 :

Is riwayat me Amr bin Shoaib Rh. aur Unke Waalid Shoaib Rh. Dono MUDALLIS hai.

(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 35)

(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 34)

Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 35

تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page32

Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 34

تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page31

Aur Mudalliseen ki AN Waali riwayaat Ghair Muqallideen ke Nazdeek Zaeef hoti hai. (Nurul Aainain :507)

Scan Page :

Nurul Aainain_Page510

Algarz Hazraat, Jis riwayat me 2 2 Raaviyo ke Mudallis hone ke Alaawa Ek aur Raavi Zaeef ho, pata Nahi uski riwayat ko ghair Muqallideen kis Muh se Istedlaal Karte hai ?

Continue reading

Eidain ki Namaz me 6 Takbeere Sunnat hai Part 1 [Ahadees wa Aasaar se Saboot]

Ahle Sunnat wal Jamaat Ahnaaf Kehte hai ke Eidain ki Namaz me 6 Takbeere Sunnat hai, aur Unki Baat Hadees se Saabit hai aur wo Ahadees wa Aasaar Darj e Zail hai :

Hadees no 1 :

عَلِيُّ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ وَيَحْيَى بْنُ عُثْمَانَ قَدْ حَدَّثَانَا , قَالَا: ثنا عَبْدُ اللهِ بْنُ يُوسُفَ عَنْ يَحْيَى بْنِ حَمْزَةَ قَالَ: حَدَّثَنِي الْوَضِينُ بْنُ عَطَاءٍ أَنَّ الْقَاسِمَ أَبَا عَبْدِ الرَّحْمَنِ حَدَّثَهُ , قَالَ: حَدَّثَنِي بَعْضُ أَصْحَابِ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: صَلَّى بِنَا , النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَوْمَ عِيدٍ , فَكَبَّرَ أَرْبَعًا , وَأَرْبَعًا , ثُمَّ أَقْبَلَ عَلَيْنَا بِوَجْهِهِ حِينَ انْصَرَفَ , قَالَ: «لَا تَنْسَوْا , كَتَكْبِيرِ الْجَنَائِزِ , وَأَشَارَ بِأَصَابِعِهِ , وَقَبَضَ إِبْهَامَهُ» فَهَذَا حَدِيثٌ , حَسَنُ الْإِسْنَادِ

Sanad :

Imam Tahaawi Rh. — > Ali bin Abdur Rehman Rh., Yahiya bin Usmaan Rh. — > Abdullah bin Yusuf Rh. — > Yahiya bin Hamza Rh. — > Wazeen bin Aata Rh. — > Qaasim Rh. — > Ashaab e Rasool Rdh. — > Rasoolullah SAW.

Matan :

Abu Abdur Rehman Qaasim Rh. Farmaate hai ke Mujhe Ashaab e Rasool SAW me se Baaz Sahaba Rdh. ne Bataaya ke Hume Rasoolullah Saw ne Namaz e Eid Pardhaayi.

Pas Aap Saw ne 4, 4 Takbeere Kahi [Yaani 3 Takbeer Eidain ki aur 1 Ruku ki].Phir namaz se Faarigh hokar Rukh-e-Anwar Hamaare taraf karke Farmaaya :

Bhul na Jaana, Eidain ki Takbeere Janaaze ki Takbeero ki Tarah 4 hai.

(Sharah Ma’ani ul Aasaar Lit Tahawi : Jild 4 : Safa 345, Hasan)

Scan Page :

04_15713_Page345 - Copy

Sanad ke Raaviyo ki Tauseeq Darj e zail hai :

1 – Imam Tahaawi Rh. Al Mutawaffa 321 Hij. Mashoor Muhaddis, Hafiz aur Siqa hai. (Taarekh ul Islaam : Jild 7: Safa 439)

2 – Ali bin Abdur Rehman Rh. Al Mutawaffa 272 Hij. Sunan e Nasaai ke Raavi hai aur Sadooq hai. (Taqreeb : Raqm no 4765)

Scan Page :

Continue reading

Abu Ayesha Al Qurshi Rh. Jamhoor Muhaddiseen ki Nazar me.

Eidain ki Takbeeraat ke Mutalliq Abu Dawud me Maujood riwayat, Jisme hai ke Huzur SAW Eid ki Namaz 6 Takbeer Kehte the, Us riwayat me Ek Raavi Abu Ayesha Al Qurshi Rh. Maujood hai, Jispar Ghair Muqallideen ne Aiteraaz kiya hai.

Aiteraaz :

Ghair Muqallideen ke Muhaddis Abdur Rehman Mubarakpuri Rh. [Abu Dawud ki riwayat par] Aiteraaz Karte hai ke [Isme Ek Raavi] Abu Ayesha Rh. Majhool hai. (Al Qaul us Sadeed : Safa 45)

Al – Jawaab no 1 :

Imam Mizzi Rh. Al Mutawaffa 742 Hij. Farmaate hai ke Abu Ayesha Rh. se Makhool Rh. aur Khaalid bin Ma’ad Rh. ne riwayat ki hai.

(Tehzeeb ul Kamaal : Jild 34 : Safa 17)

Continue reading