Ameer e Muawiya Rdh. ki Fazilat me SAHEEH aur Maqbool Ahadees Part 2.

Paanchwi Hadees :

Imam Tabraani Al Mutawaffa 360 Hij. Farmaate hain ke

حدثنا علي بن سعيد الرازي قال: نا محمد بن قطن الرملي قال: نا مروان بن معاوية الفزاري، عن عبد الملك بن أبي سليمان، عن عطاء، عن ابن عباس قال: جاء جبريل إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا محمد استوص معاوية، فإنه أمين على كتاب الله، ونعم الأمين هو

Hazrat Ibn Abbas Rdh. Farmaate hai ke Hazrat Jibraeel AS, Nabi SAW ke Paas Aaye aur Kaha : ke Aye Muhammed SAW ! Muawiya Rdh. ke bare Wasiyat ki Jiye, wo Kitaab ul Ullah ke Ameen hain aur wo Behtireen Ameen hain. (Al Mujjam ul Ausat : Jild 4 : Safa 174, Wal Lafza lahu, Al Bidaaya Wan Nihaaya : Jild 11: Safa 402)

Scan Page : Al Mujjam ul Ausat

Scan Page : Al Bidaaya Wan Nihaaya

Sanad ki Tehqeeq :

(1)     Imam Abul Qaasim at Tabraani Rh. Al Mutawaffa 360 Hij. Mashoor Siqa, Hafiz ul Hadees hain. (Kitaab us Siqaat Lil Qaasim)

(2)     Ali bin Saeed ar Raazi Rh. Al Mutawaffa 299 Hij. bhi Sadooq, Hafiz ul Hadees hain. (Kitaab us Siqaat Lil Qaasim : Jild 7 :Safa , Irshaad ul Qaasi wad Daani : Safa 431)

(3)     Muhammed bin Qutn ar Ramali Rh. bhi Sadooq hain.

Unse Aimma ki Ek Jamaat Masalan Ahmed bin Abil Hawaari Rh., Muhammed bin Jafer al Maseesi Rh., Abdullah bin Muhammed bin Sulaimaan ad Dimishqi Rh., Musa bin Habeeb Rh., Abu Hamza as Sufi Rh. Waghairah ne Riwayat li hai. (Taarekh Li Ibn Asaakir : Jild 55 : Safha : Safa 106)

Lehaaza wo SADOOQ hain. (Majalla al Ijma : Shumaara no 16 : Safa 31)

Note :

Muhammed bin Qutn ke Mutaabe me Sadooq Raavi Musaiyyib bin Waazeh Rh. Al Mutawaffa 246 Hij. bhi Maujood hai. (Al Bidaaya wan Nihaaya : Jild 11 : Safa 402, Neez Dekhiye, Seer Alamin Nubula : Jild 11 : Safa 403)

Lehaaza Ibn Qutn Rh. par Kalaam hi Fuzool hai.

(4)     Marwaan bin Muawiya al Fazaari Rh. Al Mutawaffa 193 Hij. SAHEEHAIN ke Raavi aur SIQA, Hafiz ul Hadees hain. (Taqreeb :Raqm 6575)

Note :

Marwaan bin Muawiya al Fazaari Rh. Al Mutawaffa 193 Hij.  ke Mutaabe me SAHEEHAIN ke Raavi Siqa, Imam, Hafiz Abu Ishaaq al Fazaari Rh. Al Mutawaffa 186 Hij. Maujood hai. (Al Bidaaya wan Nihaaya : Jild 11 : Safa 402), Lehaaza Marwaan Rh. par Tadlees ka Aiteraaz bhi Mardood hai.

(5)     Abdul Malik bin Abi Sulaimaan Rh. Al Mutawaffa 145 Hij. SAHEEH Muslim wa Sunan e Arba ke Raavi aur SIQA hain. (Tehreer Taqreeb ut Tehzeeb : Raqm 4184)

(6)     Aata bin Abi Rabaah Rh. Al Mutawaffa 114 Hij. SAHEEHAIN ke Raavi aur SIQA, Faazil, Faqeeh hain. (Taqreeb : Raqm 4591)

(7)     Abdullah bin Abbas Rdh. Al Mutawaffa 68 Hij. Sahaabi e Rasool SAW hain. (Taqreeb)

Maloom huwa ke Is riwayat ke Tamaam Ruwaat SIQA ya SADOOQ hain aur Sand Hasan hai.

Chet-wi Hadees :

Hafiz ush Shaam, Imam Ibn Asaakir Rh. Al Mutawaffa 571 Hij. Farmaate hain ke

أخبرنا أبو الحسن الفرضي نا عبد العزيز الكتاني أنا أبو محمد بن أبي نصر أنا أبو علي بن شعيب نا عبد الله بن وهيب الجذامي بغزة نا محمد بن عبيد الإمام نا شعيب بن إسحاق نا هشام بن عروة عن أبيه عن عائشة قالت كانت ليلة أم حبيبة من رسول الله (صلى الله عليه وسلم) فعرضت لي حاجة فأتيت منزل أم حبيبة أريد قضاء حاجتي من رسول الله (صلى الله عليه وسلم) فقال يا عائشة ما لك قلت حاجة عرضت قال إنها ليست بليلتك فجلست إلى جنب أم حبيبة فدخل معاوية وعلى أذنه قلم جديد قد براه ولم يخط به بعد فقال النبي (صلى الله عليه وسلم) ما هذا يا معاوية قال قلم براته لله ورسوله قال جزاك الله عن نبيك خيرا والله ما استكتبتك إلا بوحي من السماء ولا أعمل صغيرة ولا كبيرة إلا بوحي من السماء يا معاوية إن الله ولاك من أمر هذه الأمة فانظر ما أنت صانع قالت أم حبيبة أو يعطي الله أخي ذلك يا رسول الله قال نعم وفيها هنات وهنات وهنات قالت أم حبيبة ادع الله لأخي ذلك يا رسول الله قال اللهم ألهمه التقوى وجنبه الردى واغفر له في الآخرة والأولى

رواه أبو الشيخ الأصبهاني عن أحمد بن محمد البزار المدني عن إبراهيم بن عيسى الزاهد عن أحمد بن سعيد عن إبراهيم بن عبد الوهاب عن شعيب بن إسحاق مثله

Hazrat Ayesha Rdh. Farmaati hain ke Ek Raat Umme Habeeba Rdh. ke Yaha Rasoolullah SAW ki Thairne ki Baari thi ke Mujhe Koi Kaam pesh Aaya, Toh Mai Umme Habeeba Rdh. ke Ghar Aayi…….Itne me Muawiya Rdh. Daaqil huwe, Unke Kaan par Ek Naya Qalam tha, Jise Unhone Taraasha huwa tha, Magar Ab Tak Usse Kuch Likha Nahi tha.

Toh Nabi SAW ne Pucha ke Aye Muawiya Rdh. ! Yeh Kya hai ?

Unhone Kaha : Allah aur Uske RASOOL SAW ke liye Maine Qalam Taraasha hai.

Aap SAW ne Farmaaya : Allah Tumhe Tumhaare Nabi ki Taraf se Behtireen Jazaa de, Ba-Khuda Maine Wahi e Asmaani ke Hukm par Tum se Kitaabat e Wahi Karwaayi hai.

Aur Mai Har Chota Bada Kaam Wahi e Aasmaani ke Mutaabiq Karta hu. Aye Muawiya ! Allah Tala Tumhe is Ummat ke Muaamle ki Zimmedaari Dega, Toh Soch lo, Tum Karne waale ho.

Umme Habeeba Rdh. ne Kaha : Aye allah ke Rasool SAW ! Kya Allah Tala Mere Bhai ko Yeh Zimmedaari Denge ??

Toh Aap SAW ne Farmaaya : Haa aur Usme Pareshaaniya, Musibatein, Takleefein Hongi.

Umme Habeeba Rdh. ne Kaha : Aye Allah ke Rasool SAW ! Mere Bhai ke Liye Allah se Dua Kardi jiye.

Aap SAW ne Farmaaya : Aye Allah ! Muawiya ko Taqwa Ilhaam Farmaa, Unhe Halaak se Bacha aur Dunya wa Aakhirat me Unki Maghfirat Farmaa. (Taarekh Ibn Asaakir : Jild 59 : Safa 69-70)

Scan Page :

Ruwaat ki Tafseel :

(1)     Imam Ibn Asaakir Rh. Al Mutawaffa 571 Hij. ki Tafseel Guzar Chuki.

(2)     Ali Ibn ul Muslim, Abul Hasan al Farzi Rh. Al Mutawaffa 533 Hij. Siqa, Sabt, Aalim hain. (Taarekh ul Islaam : Jild 11 : Safa 599)

(3)     Abdul Aziz bin Ahmed, Abu Muhammed Kittaani Rh. Al Mutawaffa 466 Hij. bhi Siqa, Ameen Raavi hain. (Kitaab us Siqaat Lil Qaasim : Jild 6 : Safa 367)

(4)     Abdur Rehman bin Usmaan, Abu Muhammed bin Abi Nasr At Tameemi ad Dimishqi Rh. Al Mutawaffa 420 Hij. bhi Siqa, Aadil hain. (Taarekh ul Islaam : Jild 9 : Safa 320)

(5)     Muhammed Abu Ali, Muhammed bin Haroon bin Shoaib Rh. Al Mutawaffa 353 Hij. par Kalaam hai, Lekin Is riwayat me Unke Mutaabe me Siqa, Hafiz, Imam Abu Shaykh Asbahaani Rh. Al Mutawaffa 360 Hij. Maujood hai, Jaisa ke Ibn Asaakir Ka Kalaam Guzar chuka. (Taarekh Ibn Asaakir : Jild 59: Safa 69-70)

Lehaaza Muhaddis Abu Ali, Muhammed bin Haroon bin Shoaib Rh. Al Mutawaffa 353 Hij. par is riwayat me Kalaam Karna Fuzool hai.

(6)     Abdullah bin Wahb al Ghazzi Rh. bhi Kam az Kam SADOOQ hain.

Hafiz Iraaqi Rh. Al Mutawaffa 806 Hij. ne Unko SIQA Kaha hai. (Al Mustakhraj Alal Mustadrak Lil Haakim : Safa 48)

Mazeed Hafiz Haismi Rh., Imam Shamsuddin Ibn ul Jazri Rh. Al Mutawaffa 833 Hij. aur Imam Haakim Rh. Al Mutawaffa 405 Hij. ne bhi Unki Tauseeq ki hai. (Majmu az Zawaaid : Hadees no 15750, 2631, Al Mujjam ul Kabeer Lit Tabraani : Jild 1 : Safa 255, Jild 12 : Safa 322, Manaaqib Asad ul Ghaalib Lil Jazri : Safa 33. Al Mustadrak Lil Haakim)

(7)     Muhammed bin Ubaid al Ghazzi Rh. bhi Ibn A’adi Rh. Al Mutawaffa 365 Hij. ke Nazdeel SADOOQ hain. (Al Kaamil : Jild 2 :Safa 62, Jild 1 :Safa 79)

Neez Ulama ne Unko Imam, Qaazi bhi Qaraar diya hai. (Al Kaamil : Jild 2: Safa 62, Hiliyatul Auliya : Jild 4 :Safa 123, Neez Dekhiye Majalla Al Ijma : Shumaara no 14 : Safa 57)

(8)     Shoaib bin Ishaaq, Abu Muhammed al Basri Rh. Al Mutawaffa 189 Hij. Saheehain ke Raavi aur Siqa hain. (Taqreeb : Raqm 189)

(9)     Hishaam bin Urwa Rh. Al Mutawaffa 146 Hij. bhi SAHEEHAIN ke Raavi aur SIQA, FAQI hain. (Taqreeb : Raqm 7302)

(10)     Unke Waalid Urwa bin Zubair Rh. Al Mutawaffa 94 Hij. bhi SAHEEHAIN ke Raavi aur SIQA, FAQI hain. (Taqreeb : Raqm 4561)

(11)     Ummul Momineen Hazrat Ayesha Rdh. Al Mutawaffa 58 Hij. Mashoor Sahaabiya aur Aap SAW ki Zawja e Siddiqa hain. (Taqreeb)

Lehaaza Yeh riwayat bhi HASAN hai.

Saatwi Hadees :

Hafiz ush Shaam, Imam Abul Qaasim Ibn Asaakir Rh. Al Mutawaffa 571 Hij. Farmaate hai ke

قرأت على أبي القاسم بن السمرقندي عن أبي القاسم الإسماعيلي أنا حمزة بن يوسف أنا أبو أحمد بن عدي نا إسحاق بن إبراهيم الغزي نا دحيم نا يعقوب بن الفرج نا ابن المبارك عن خالد الحذاء عن أبي قلابة عن شداد بن أوس قال قال رسول الله (صلى الله عليه وسلم) معاوية أحلم أمتي وأجودها۔

Hazrat Shaddaad bin Aaus Rdh. Farmaate hain ke Rasoolullah SAW ne Irshaad Farmaaya : ke Muawiya Rdh. Meri Ummat me Sabse Zyaada Haleem aur Sabse Zyaada Sakhi hain. (Taarekh Ibn Asaakir : Jild 59 : Safa 88)

Scan Page :

Sanad ki Tehqeeq :

(1)     Imam Ibn Asaakir Rh. Al Mutawaffa 571 Hij. ki Tawseeq Guzar chuki.

(2)     Hafiz Abul Qaasim, Ismaail bin Ahmed Ibn us Samarqani Rh. Al Mutawaffa 536 Hij. Siqa, Muksir, Imam hain. (Taarekh ul Islaam : Jild 11 : Safa 650)

(3)     Abul Qaasim Ismaail bin Mas’ada al Ismaaili Rh. Al Mutawaffa 477 Hij. bhi SADOOQ, Imam aur Faqi hain. (Taarekh ul Islaam : Jild 10: Safa 404)

(4)     Hafiz Hamza bin Yusuf as Sahmi Rh. Al Mutawaffa 427 Hij. Mashoor Siqa, Hafiz, Imam aur Mutqin hain. (As Salsabeel un Naqi Fee Taraajimish Shuyukh ul Behaiqi : Safa 347)

(5)     Hafiz Ibn A’adi al Jurjaani Rh. Al Mutawaffa 365 Hij. bhi Mashoor Siqa, Hafiz, Imam aur Aimma e Jarah wa Ta’adeel me se hain. (Taarekh ul Islaam : Jild 8 :Safa 240)

(6)     Ishaaq bin Ibraahim bin Abil Wars al Ghazzi Rh. Sadooq Qazi hain. (Mizaan ul Aitedaal : Jild 4: Safa 314, Al Kaamil : Jild 1: Safa 79, 164, Irshaad ul Qaasi wad Daani : Safa 207, Majmu az Zawaaid : Hadees no 11757, Jild 1 :Safa 8, Taba’a Maktaba Quddusi)

(7)     Abdur Rehman bin Ibrahim, Abu Saeed Duhaim Rh. Al Mutawaffa 245 Hij. SAHEEH Bukhari ke Raavi aur Siqa, Hafiz, Mutqin aur Aimma e Jarah wa Ta’deel me se hain. (Taqreeb : Raqm 3793)

(8)     Yaqoob Ibn ul Faraj se “2” Logo ne Riwayat kiya hai.

– Imam Duhaim Rh. Al Mutawaffa 245 Hij.

Abubakr Hammaad Ibn ul Mubarak Rh. (Kitaab us Sunnah Lil Khallaal : Jild 2 : Safa 452)

Aur Aap Rh. Ibn A’adi Rh. Al Mutawaffa 365 Hij. ke Nazdeel SADOOQ hain. (Taarekh Ibn Asaakir : Jild 59 : Safa 88, Al Kaamil Li Ibn A’adi : Jild 1 : Safa 79)

(9)     Abdullah bin Mubarak Rh. Al Mutawaffa 181 Hij. Mashoor Siqa, Imam, Hafiz, Sabt, Faqi, Ameer ul Momineen Fil Hadees hain. (Taqreeb : Raqm 181)

(10)     Khalid bin Mehraan al Hazzaa al Basri Rh. SAHEEHAIN ke Raavi aur SIQA hain. (Taqreeb : Raqm 1680)

(11)     Abu Qilaaba, Abdullah bin Zaid al Basri Rh. Al Mutawaffa 104 Hij. bhi SAHEEHAIN ke Raavi aur Siqa, Faazil hain. (Taqreeb : Raqm 3333)

Note :

Abu Qilaaba ki Mulaaqaat, Agarcge Shaddaad bin Aaus Rdh. se Saabit Nahi hai, Lekin Yaha par Unhone “Abul Asha’as as Sana’ani” se Anana Karte huwe, Shaddaad Rdh. se Irsaal kiya hai. Kyunke Shaddaad bin Aaos Rdh. ki Baaqi Tamaam Ahadees, Jo Abu Qilaabe ne Naql ki hai, wo “Abul Asha’as as Sana’ani” ke Waaste se Naql ki hai. Toh is Sanad me bhi Undono ke Darmiyaan“Abul Asha’as as Sana’ani” ka Waasta hi hai aur “Abul Asha’ab as Sana’ani” SIQA hain. (Taqreeb : Raqm 2761), Lehaaza Sanad ki Sehat par Koi Farq Nahi hoga. Wallahu’alam

(12)     Shaddaad bin Aaus Rdh. Al Mutawaffa 61 Hij. Sahaabi e RASOOL SAW hain. (Taqreeb : Raq, 2752)

Lehaaza Yeh riwayat bhi HASAN hai.

Aatwi Hadees :

Mashoor Imam, Muhaddis Abubakr al Aajurri Rh. Al Mutawaffa 360 Hij. Farmaate hain ke

حدثنا أبو بكر عبد الله بن محمد بن عبد الحميد الواسطي قال: حدثنا العباس بن أبي طالب قال: حدثنا عبد الرحمن بن نافع قال: حدثنا سلمة بن بشر أبو بشر قال: حدثنا صدقة بن خالد قال: حدثني وحشي بن حرب بن وحشي , عن أبيه , عن جده قال: أردف النبي صلى الله عليه وسلم معاوية , فقال: يا معاوية ما يليني منك؟ قال: بطني , قال: اللهم املأه علما وحلما

Hazrat Wahshi bin Harb Rdh. Farmaate hain ke Hazrat Rasool ullah SAW ne Muawiya Rdh. ko Sawaari par Apne Peeche Sawaar Farmaaya, Phir Aap Saw ne Irshaad Farmaaya : Aye Muawiya Rdh. Tumhaara Kaunsa Hissa Mere Qareeb hai, Toh Unhone Farmaaya : Mera Pait, Toh Aap SAW ne Farmaaya : Aye Allah ! Use Ilm aur Hikmat se Bharde. (Ash Shareea’a Lil Aajurri : Jild 5 : Safa 2440)

Scan Page :

Sanad ki Tehqeeq :

(1)     Imam Abubakr Muhammed bin hussain bin Abdullah al Aajurri Rh. Al Mutawaffa 360 Hij. Mashoor Siqa, Muhaddis aur Imam hain. (Kitaab us Siqaat Lil Qaasim : Jild 8 : Safa 153)

(2)     Abdullah bin Muhammed bin Abdul Hameed, Abubakr al Qattaan Rh. bhi Siqa hain. (Taarekh ul Islaam : Jild 7 : Safa 183)

(3)     Abbas bin Abi Taalib, Abu Muhammed baghdaadi Rh. Al Mutawaffa 258 Hij. Sadooq hain. (Taarekh ul Islaam : Jild 6 : Safa 99)

(4)     Abdur Rehmaan bin Naafe, Abu Ziyaad Al Ma’aroof Durrakht bhi Siqa hain. (Taarekh ul Islaam : Jild 5 : Safa 864)

(5)     Salma bin Bishr, Abu Bishr ad Dimishqi SADOOQ hain.

Siqa, Hafiz, Ameer ul Momineen fil Hadees, Imam Yahiya bin Saeed al Qattaan Rh. Al Mutawaffa 198 Hij. ne Unse riwayat li hai. (Elal e Ahmed ba Riwayat e Abdullah : Raqm 3824, Musannaf Ibn Abi Shaiba : Hadees no 20179) Jo ke is Baat ki DALEEL hai ke Salama Unke Nazdeek SIQA hain. (Diraasaat un Hadeesiyyatun Mutalliqatun Biman Laa Yarwi Illa An Siqatin Lish Shaykh Abi Amr al Wasaabi : Safa 379, Ittehaaf un Nabeel Lish Shaykh Abil Hasan As Sulaimaani : Jild 2: Safa 123)

Imam Ibn Hibban Rh. Al Mutawaffa 354 Hij. ne Unko SIQAAT me shumaar kiya hai. (Kitaab us Siqaat : Jild 8: Safa 286)

(6)     Sadaqa bin Khalid Rh. Al Mutwaffa 171 Hij. Saheeh Bukhari ke Raavi aur SIQA hain. (Taqreeb : Raqm 2911)

(7)     Wahshi bin Harb bin Wahshi Rh. SADOOQ hain.

Imam Ijli Rh. Al Mutawaffa 261 Hij., Imam Ibn Hibban Rh. Al Mutawaffa 354 Hij., Hafiz Haismi Rh. Al Mutawaffa 807 Hij. ne Aap Rh. ko SIQA Kaha hai. (Marfatus Siqaat Lil Ijli : Raqm 1547, Kitaab us Siqaat Li Ibn Hibban : Jild 7: Safa 564, Al Mujjam ul Kabeer Lit Tabraani : Jild 22: Safa 137, Majmu az Zawaaid : Hadees no 13251)

Hafiz Baghawi Rh. Al Mutawaffa 516 Hij., Hafiz Abdul Haq Ashbili Rh. Al Mutawaffa 581 Hij., Hafiz Iraaqi Rh. Al Mutawaffa 806 Hij. ne bhi Unki riwayat ko HASAN Kaha hai. (Masaabih us Sunnah : Jild 3 : Safa 173, Jild 1: Safa 110, Al Ahkaam ul Wusta : Jild 4 : Safa 150, Takhreej Ahadees ul Ahyaa : Safa 435)

Neez, Sadaqa bin Khaalid Rh. Al Mutawaffa 171 Hij.  ne Unse riwayat li hai aur wo Apne Nazdeek Aam Taur se Sirf SIQA se riwayat Karte The. (Diraasaat un Hadeesiyyatun Mutalliqatun Biman Laa Yarwi Illa An Siqatin Lish Shaykh Abi Amr al Wasaabi : Safa 363), Lehaaza Yeh Raavi Sadaqa Rh. ke Nazdeek bhi Kam az Kam SADOOQ hain.

Khulaasa Yeh ke Wahshi bin Harb bin Wahshi Rh. SADOOQ hain. Wallahu’alam.

(8)     Wahshi ke Waalid, Abu Wahshi Harb bin Wahshi Rh. bhi SADOOQ hain.

Imam Ibn Hibban Rh. Al Mutawaffa 354 Hij. ne SIQAAT me Shumaar kiya hai. (Jild 4:Safa 173) aur Hafiz Haismi Rh. Al Mutawaffa 807 Hij. ne bhi Aap Rh. ko SIQA Kaha hai. (Al Mujjam ul Kabeer Lit Tabraani : Jild 22: Safa 137, Majmu az Zawaaid : Hadees no 13251)

Hafiz Baghawi Rh. Al Mutawaffa 516 Hij., Hafiz Abdul Haq Ashbili Rh. Al Mutawaffa 581 Hij., Hafiz Iraaqi Rh. Al Mutawaffa 806 Hij. ne bhi Unki riwayat ko HASAN Kaha hai. (Masaabih us Sunnah : Jild 3 : Safa 173, Jild 1: Safa 110, Al Ahkaam ul Wusta : Jild 4 : Safa 150, Takhreej Ahadees ul Ahyaa : Safa 435)

Imam Abu Abdullah al Haakim Rh. Al Mutawaffa 405 Hij. ne bhi Unse Takhreej ki hai. (Al Mustadrak Lil Haakim : Hadees no 5224)

Lehaaza Aap Rh. bhi SADOOQ hain.

(9)     Wahshi bin Harb al Habshi Mashoor Sahaabi e Rasool hain. (Taqreeb)

Maloom huwa ke Is riwayat ke Tamaam Ruwaat Maqbool aur Sanad Hasan hai. Wallahu’alam.

Khulaasa :

Is Puri Tafseel se Maloom huwa ke Hazrat Ameer e Muawiya Rdh. Al Mutawaffa 60 Hij. ki Fazilat me SAHEEH wa Maqbool Ahadees Maujood hain.

Lehaaza Yeh Kehna ke Unke Manaaqib me Koi bhi Riwayat SAHEEH Nahi, Ghair SAHEEH aur MARDOOD hai.

Leave a comment