Ghair Muqallid Ahlehadeeso ke Aapas me Ikhtelaafaat Part 1 [Tashahud ke Masle par Mukhtalif Aqwaal]

Umuman Ghair Muqallideen Ummat ko Yeh kehke Dhoka Dete hai, ke Hanafi ka shafii se Ikhtelaaf hai aur Shafii ka Hanbali se, Hanbali ka Maliki se aur Maliki se Hanafi hai.

Aur Kehte hai ke Hum Ikhtelaaf ki Shakal me Kitaab wa Sunnat ki Taraf Lauto.

Lekin Unko Pata nahi hai, Khud Ahlehadees Firqe me Apas me Kitna Iktelaaf hai.

Aayi-ye ! Jo Quraan wa Hadees par Amal karne ka, Ikhtelaaf ki Surat me Quraan wa Hadees ki Taraf Lautne ka Dawa’a Karte hai aur Saat hi Saat Hanafi, Shafii ko Ikhtelaaf ka Ta’ana Dete hai, Unk Androoni Daastaan Dekhte hai, Tashahud me Ungli hilaane ke Masle par.

Pehla Ikhtelaafi Nazariya :

Ghair Muqallideen Ulama me Ek Jamaat wo hai, Jo Yeh Kehte hai ke Ungli Ashadu al-laa par Uthaana aur Illallah par Jhukaana Chahiye.

1 – Ahlehadees Aalim, Allama Ameer Yemeni Likhte hai ke (Tashahud me) Ishaara karne ki Jagah ‘laailaaha Illallah’ hai, Kyunke Behaiqi ki Ek riwayat me Huzur Saw ka amal Aisa hi hai.

(Subool us Salaam : Jild 1 : Safa 283)

Scan Page : 

01_73677(1)_Page542

2 – Dusre Ghair Muqallid Aalim Maulana Sadiq Sialkoti Sahaab Likhte hai ke

Qaida e Tashahud me Bait-kar Jab Aap At-tahiyaat padhte huwe Kalma e Shahaadat par Pahuche, Toh Anghushte Shahaadat se Ishaara Kare.

(Salaat ur Rasool : Safa 447)

Continue reading

Ghair Muqallideen ke Nazdeek Imam Abu Dawud Rh. aur Imam Munziri Rh. ka Sukoot Hujjat hai.

Ghair Muqallideen ke Nazdeek Imam Abu Dawud Rh. Al Mutawaffa 275 Hij. ka Sukoot riwayat ke Saheeh aur Uske Tamaam Raavi Imam Abu dawud Rh. ke Nazdeek Siqa hone ki Daleel hai aur Isi Tarah Imam Munziri Rh. Al Mutawaffa 656 Hij. ka Sukoot bhi Unke Nazdeek Hujjat hai.

Hawalaat Mulaaheza Farmaaye :

1 – Ghair Muqallideen ke Mujtahid Qazi Shaukaani Rh. Ek Maqaam par Farmaate hai ke

Imam Abu Dawud Rh. aur Imam Munziri Rh. ne us [riwayat] par Sukoot Ikhtiyaar kiya aur Uski Sanad ke Rijaal Imam Abu Dawud Rh. ke Nazdeek Siqa hai. (Nail ul Autaar : Jild 1 : Safa 161, Dusra Nusqa : Jild 1 : Safa 466)

Scan Page :

01_81241_Page466

Maloom huwa ke Ghair Muqallideen ke Nazdeek Imam Abu Dawud Rh. ne Jis riwayat par Sukoot Ikhtiyaar kiya, wo riwayat Ahlehadees Hazraat ke Nazdeek Saheeh aur uski riwayat ke Tamaam Rijaal bhi Imam Abu Dawud Rh. ke Nazdeek Siqa hote hai.

2 – Ghair Muqallideen ke Muhaqiq ul Asar Maulana Abdul Qaadar Hasaari Rh. Farmaate hai ke jis Hadees par unhone (Yaani Imam Abu dawud Rh. ne) Sukoot kiya, toh Yeh Hadees Qaabil e Istedlaal Banjaati hai.

Continue reading

Har Saheeh Hadees Qaabil e Amal aur Har Zaeef Hadees Qaabil e Radd NAHI Hoti.

Maujuda Ghair Muqallideen Hazraat Kehte hai ke Hum Sirf Saheeh Hadees ko Maante hai aur Zaeef Hadees ka Radd Karte hai.

Aur Yeh Naara Lagaate hai ke Ahlehadees Har Saheeh hadees par Amal karte hai aur Ahnaaf ko Ta’ana Dete hai ke Unka Maslak Zaeef Hadeeso par Mambni [Depend] hai.

Balke Mashoor Ahlehadees Aalim Abu Sohaib Dawud Arshad Sahaab Toh yaha Tak Likhte hai ke

Hadees e Saheeh Sarheeh ki Maujoodigi me, Hume Kisi Aalim ka Fatwa Pesh karne ki Zarurat Toh Nahi.

(Tohfa e Hanafiyya : Safa 163)

Scan Page :

Tohfa e Hanafiya_Page164

Toh Maloom huwa ke Ahlehadees Hazraat ke nazdeek Rasoolullah ki koi Saheeh aur Sarheeh Maujood ho, Toh usko Maanna wa uspar Amal Zaroori hai.

Lekin Yaha par Hum Is Masle ko Waazeh Karna Chahte hai ke Har Saheeh Hadees QAABIL E AMAL aur Har Zaeef Hadees QAABIL E RADD NAHI HOTI.

Yeh Baat Ghair Muqallideen Bade Zor-o-Shor se Awaam me kehte hai ke Hum Sirf Saheeh Hadeeso ko Maante hai aur Imaamo ke Maaslik ko chor-kar Har Saheeh Hadees par Amal karne ki Dawat dete hai aur Zaeef Hadeeso ko Nahi Maante.

Lekin Haqeeqat ke Aaine me Baat kuch aur hi Nazar Aati hai.

Kya Har SAHEEH Hadees Qaabil e Amal Hoti hai ?

Pehle Un hadeeso ko Mulaaheza Farmaaye, Jo ke SAHEEH hai, Lekin phir bhi Ghair Muqallideen Amal Nahi Karte.

Continue reading

Ghair Muqallideen ke Aqaid.

Ghair Muqallideen ke Khateeb wa Shaykh, Shaykh Tausuf ur Rehman Likhte hai ke

Kisi Giro ke Aqaid Uske Giro ke Ulama wa Akaabir Tai Karte hai. (Kya Ulama e Deoband Ahle Sunnat hai: Safa 8)

Scan Page :

Kaya Ulma e Deoband AhleSuunat hain_Page11

Aaye Dekhte, Ghair Muqallideen wa Ahlehadees Ulama ne Apni Maslak ke liye kya Aqaid Tai Kare hai.

Aqeeda No 1 : (Allah Ke Liye Makaan Aur Jagah Mutaiyyin Karna)

Ghair Muqallideen Ke Mujadid Nawaab Siddiq Hasan Khan Sahaab Likhte Hai :

Continue reading

Ghair Muqallideen ke Nazdeek “ Hazrat Umar Rdh. ne Quraani Hukum Ko Badal Daala (Nauzbillahi Min Zaalik)”

Jamia Salafiyya Ke Ghair Muqallid Aalim Rayees Nadwi Salafi Sahaab Hazrat Umar Rdh. Ke Khilaaf Saqt Kina Pale Huwe Hai.

Jisme Umar Rdh. Ke Bare Me Huzur SAW Ne Farmaaya Agar Mere Baad Koi Nabi Hota Toh Umar Hote. Ek Aur Hadees Me Farmaaya Ke Allah Ne Umar Ke Zubaan Par Haq Jaari Kardiya Hai. (Radhi Allahu Anhu).

Ek Hadees Me Aata Ke Jis Raaste Se Umar Rdh. Guzarte Hai Us Raaste Se Kabhi Shaitaan Nahi Guzarta.

Hazrat Umar Rdh. Wo Hai Jinki Ta-Eed Me 13 Quraan Ki Ayate Nazil Huwi Hai Aur Jinke Islaam Me Daaqil Hone Se Islaam Ko Be-Panah Taqat Haasil Huwi Hai.

Us Umar Al Farooq Rdh. Ki Bare Me Rayees Salafi Sahaab Kehte Hai :

“Mausoof Umar Rdh. Ki Khuwaish Wa Tamanna Bhi Yahi Thi Ke Quraani Hukum Ke Mutaabiq Ek Majlis Ki 3 Talaaq Ko Ek Hi Qaraar De.Magar Logo Ki Raavi Rokne Ke Muslihat Ke Pesh E Nazr Ba-Aiteraaf E Khushi Is Quraani Hukum Me Tarmeem(Badal) Kardi , Is Quraani Hukm Me Mausoof Ne Yeh Tarmeem Ki Ke 3 Qaraar Paane Lagi.” (Tanweer Ul Afaaq : 498)

Scan Page : 

Tanweer ul Afaaq

Gooya Ghair Muqallideen ke Nazdeek ” Hazrat Umar Rdh. ne Quraani Hukum Ko Badal Daala (Nauzbillahi Min Zaalik)”.

Maujuda Ghair Muqallideen Ahle Hadees ke Alama Nasir Uddin Albaani se Ikhtelaafaat.

Maujuda Ghair Muqallideen Ahle Hadees ke Alama Nasir Uddin Albaani se Ikhtelaafaat.

Maujuda Ghair Muqallideen Hazraat Alama Nasir Uddin Albaani Ki Taqleed Karte Hai Aur Kehte Hai Ke Alama Albaani Ahle Hadees Maslak Ke The.

Is Baat Koi Shuba Nahi Ke Wo Ghair Muqallid The Lekin Ghair Muqallid Hone Ke Bawajood Unke Maujuda Ghair Muqallideen Ahle Hadees Se Kai Ikhtelaafaat Hai Jo Darj E Zail Hai.

1 – Alama Nasir Udiin Albaani Sahaab Ne Hazrat Abdullah Bin Masood Rdh. Ki (Tark E Rafe-Yadain Ki) Hadees Ko Saheeh Kaha Hai.

Naseeruddin Albani Sahab Likhte Hain :

”Haqq Baat Ye Hai Ke Ye Hadees Saheeh Hai Aur Iski Sanad Muslim Ki Shart Per Hai.

[Mishkaat Ba-Tehqeeq Albaani Jild 1 : Safa 254 , Trimzi Ba-Tehqeeq Albaani]

Scan Page: Trimzi Ba-Tehqeeq Albaani.

Tirmizi_Page74

Jabke Ghair Muqallideen Ka Har Shaks Ko Is Saheeh Tareen Hadees Ko Zaeef Saabit Karne Par Tula Hota Hai.

2 – Alama Nasir Uddin Albaani Ke Nazdeek (Pehli Jamaat Ke Baad ) Dusri Jamaat Banaana Jayez Nahi.(Tamaam Ul Minna : Jild 1 : Safa 155)

Iske Barqilaaf Ghair Muqallid Ahle Hadees Hazraat Ke Nazdeek Jamaat Saani Jayez Hai.

3 – Alama Nasir Uddin Albani Sahaab Ke Nazdeeek Muqtadi Ko Aahista Ameen Kehna Sunnat Hai.

Alama Sahaab Likhte Hai :

Aur Jaha Tak Imam Ke Peeche Muqtadiyo Ke Uchi Ameen Kehne Ka Taalluq Hai Toh Is Bare Me Hum Ek Saheeh Marfoo Hadees Bhi Nahi Paate Jiski Taraf Ruju Karna Zaruri Samjha Jaaye………

Aur Bilaa Shak Wa Shuba Mai Taakeed Ke Saat Yeh  Wazaahat Karta Ho Ke Agar Nabi Saw Ke Muqtadi Sahaba Rdh. Uchi  Awaaz Se Ameen Kehte Hote Toh Wayl Bin Hajr Rdh. Jinhone Ne Aap Saw Ki Uchi Ameen Ka Zikr Kiya Hai Wo Sahaba Rdh. Ki Uchi Ameen Ka Bhi Zaroor Zikr Karte , Isse Yeh Saabit Hota Hai Ke Muqtadi Ke Liye Aahista Ameen Kehna Hi Sunnat Hai ( Silsilaatul Ahadeesul Saheeha 755/1 )

Scan Page :

sahiha01_Page834

Alama Ke Is Faisle Ke Khilaaf Maujuda Daur Ke Ghair Muqallideen Hazraat Unchi Awaaz Se Ameen Kehte Hai.

4 – Alama Nasir Uddin Albani Sahaab Ke Nazdeek Jehri Namazo Me Imam Ke Peeche Qirat Mansooq Hai.

Alama Sahaab Ba-Qaida Apni Kitaab Me Baab Bandha Hai Jisme Unhone Wazeh Kiya Hai Ke Jehri Namazo Me Imam Ke Peeche Qirat Mansooq Hai. (Sifatus Salatun Nabi : 161)

Scan Page :

Cover page_0003

Ab Sawaal Ghair Muqallideen Se Yeh Hai Ke Kya Alama Nasir Uddin Albaani Sahaab Ki Jehri Namaz Qubool Huwi ??

Kyunke Unke Nazdeek (Jehri Aur Siri Dono) Me Agar Muqtadi Sureh Fatiha Na Padhe Toh Uski Namaz Nahi Hoti.

5 – Alama Nasir Uddin Albaani Sahaab Ke Nazdeek Nange Sar Namaaz Padhna Jayez Nahi. (Tamaam Ul Minna : Jild 1 : Safa 164-166)

Iske Barqilaaf Aaj Ke Beshumaar Ghair Muqallideen Hazraat Nange Sar Namaaz Padhte Hai.

6 – Alama Nasir Uddin Albaani Sahaab Ke Nazdeek Sajdo Me Rafe-Yadain Masnoon Hai.

Alama Albani Likhte Hai : Ke Yeh (Sajdo Me) Rafe-Yadain 10 Sahaba Se Marwi Hai Aur Salaf Ki Ek Jamaat Uske Masnoon Hone Ke Qaayil Hai. (Sifatus Salatun Nabi : 204)

Scan Page :

Cover page_0002

Ab Ghair Muqallideen Ko Chahiye Ke Wo Apne Aalim Ki Baat Maanle Aur Sajdo Me Bhi Rafe-Yadain Karna Shuru Karde Taake Shi-Yat Se Zyaada Musha-Biyat Hojaaye.

Ghair Muqallid Ahle Hadees Aalim Rayees Nadwi Salafi ki Sahaba (Farooq e Azam Rdh. aur Ibn Masood Rdh.) ki Shaan me Gustaaqi (Nauzbillah).

Maazi e Qareeb ke Mashoor Wa Muta-aasib Ghair Muqallid Aalim Rayees Nadwi Salafi Saheb Likhte Hai: 

In Dono Sahaba ( Ameer ul Momineen Hazrat Umar Farooq Rdh. , Faqeeh ul Ummat Hazrat Abdullah Bin Masood Rdh. ) Ko Nusoos (Quran wa Hadees ke Wazeh Ahkamaat ) ke Khilaaf Warzi ka Murtakib Qaraar Diya Jaasakta Hai. (Tanveer ul Aafaaq : 87)

Scan Page :

Tanweer ul afaaq

Nauzbillah ! Kya Aisa Kehne se Insaan Momin Baaqi Rehsakta hai ?

Ahle Hadees Ghair Muqallid Aalim ki 4 Khulfa e Rasheedin ki Shaan me Guztaaqi (Nauzbillah)

Ahle Hadees Ghair Muqallid Aalim ki 4 Khulfa e Rasheedin ki Shaan me Guztaaqi (Nauzbillah) :

Farmaate hai !

Baraadaraan ! Hazrat Abu Bakr Siddiq Rdh. , Hazrat Umar Faroqq Rdh. , Hazrat Usmaan E Ghani Rdh. , Hazrat Ali E Murtuza Radhi Allahu Anhu Qatan Apni Apni Khilaafat Ke Zamaane Me Dono Ma’ani Le Lehaaz Se Aulaa E Amr The

Lekin Bawajood Uske Na Kisi Ek Sahabi Ne Unki Taqleed Ki Na Koi Unki Taraf Mansoob Huwa Balke Unke Aqwal Ke Khilaaf Arzi Ki Jabke Wo Farmaan E Rasool SAW Ke Khilaaf Nazar Aaye.

(Taareq E Muhammedi : 281)

Scan Page :

Raah e Aietdaal1_0004

Go ya Kehne Chahte hai ke 4 Khulfa e Rasheedin ne jab jab bhi Farmaan e Rasool ke Khilaaf baat kahi ho toh sahaba rdh. ne unki muqaalifat ki (Nauzbillah).

Bahut Se Ahle Hadees Afraad Aisi Ibaarato Se Pareshaan Hokar Kehte Hai Ke Hum Aisi Ibaarto Ko Nahi Maante Lekin

Ajeeb Baat Yeh Hai Ke

AHLE HADEES ACADEMY WAALO NE HI ISI KITAAB KO CHAPWAAYA HAI “

Scan Page :

Raah e Aietdaal1_0001

Agar Yeh Ahle Hadees Aalim Nahi The Toh Ahle Hadees Academy Ne Is Kitaab Ko Kyun Chapwaaya Hai aur Saat saat aaj bhi yeh kitaab ahle hadees kutub khaane me dastiyaab hai.

Isi Tarah Is Kitaab ke Peeche Yeh Baat Saaf Taur Par Likhi Hai Ke

“ Maulana Muhammed Junagadi Rahmatullahi Alai Mumtaaz Ulama E Ahle Hadees Me The”.

Scan Page :

Raah e Aietdaal1_0005

Barhaal Yeh Hawaale khud is baat ki daleel Hai Ke Junagadi Sahaab Ahle Hadees aalim The.

Ab Ise Inkaar Karke Ghair Muqallid Hazraat Apne Nafs Parasti Ka Saboot Na De.

Ghair Muqallideen (Firqa e Ahle Hadees ) Aalim Ka Fatwa “ Ke Angrezo Se Jihaad Na Jayez Hai “.

Mashoor Ghair Muqallideen Aalim Ka Fatwa Ke Angrezo Se Jihaad Na Jayez Hai .

Maulana Muhammed Hussain Bataalwi Sahaab Likhte Hai :

Is Masle Aur Uske Dalail Se Saaf Saabit Hota Hai Ke Mulk E Hindustan Bawajood Yeh Ke Isaai Sultanat Ke Qabze Me Hai , Darul-Islaam Hai.Ispar Kisi  Badshah Ko Arab Ka Ho Khuwa Ajam Ka , Mehdi Sudaan Ho Ya Khud Hazrat Shah Iraan Ho Khuwa Ameer E Khurasaan Mazhabi

“ LADAAI WA CHADAAI KARNA JAYEZ NAHI HAI “.

(Al Iqtesaad Fii Masail Al Jihaad : Safa 25 )

Scan Page :

1174564_1412053582350740_1973818187_n

Ab Ap Log Hi Bataai Kya Yeh Hazraat Islaam Ke Wafadaar Hai.

Ahle Hadees Aalim ki Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ki Shaan me Be-Hurmati (Nauzbillah).

Mufassir Maulana Muhammed Junagadi Saheb Himmat Karte Huve Likhte Hai :

“Suniye Janaab ! Buruzgo Ki , Mujtahido Aur Imaam Ki Rai , Qiyaas , Ijtehaad , Istambaat Aur Unke Aqwaal Kaha Shariyat E Islaam Me , Toh Khud Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Bhi Apni Taraf Se Be-Ghair Wahi Ke Kuch Farmaye Toh Wo Bhi Hujjat Nahi “ (Taareq E Muhammedi : 57 )

Scan Page :

Raah e Aietdaal1_0003

Mere Ghair Muqallideen  Dosto ! Dil pe Haat Rakhkar Baatao ka yeh Nabi e Karim SAW ki Shaan me Be-hurmati nahi hai.

Toh Aap Hazraat Kis Muh Kehte Hai ke ” Hum Ahle Hadees (Hadees Waale) hai “.