Taweez ka Istemaal Jayez hai Part 8 (Taba-in ke pesh Karda Aqwaal ka Jayeza)

[Reply to Abu zaid Zameer]

Taba-in ke Aqwaal ka Ilmi Jayeza :

1 – Hazrat Abdullah Ibn Okaim Rh. ki riwayat :

Abu zaid zameer sahaab ne Abdullah ibn okaim rh. ki riwayat pesh ki hai jisme hai ke

Isa Bin Abdur Rehman Ibn Abi Laila Rh. Kehte hai ke Mai Abdullah Ibn Okaim Rh. ke paas gaya aur wo bimaar the,

Unhone kaha ke Kya Hum aapko Kuch Bandhe ? Toh Ibn Okaim Rh. ne kaha ke usse zyaada Maut qareeb hai aur Rasoolullah SAW ne Farmaaya ke Jisne Koi Cheez Latkaayi wo usi ke hawaale kardiya jaata hai.

(Musnad e Ahmed,  Mustadrak Al Haakim, Tirmizi)

Al – Jawaab no 1 :

Abu Zaid Zameer Sahaab ne Is Riwayat ko 3 Kutub e Ahadees se Naql Kiya hai :

1 – Musnad e Ahmed.

2 – Mustadrak Al Haakim.

3 – Tirmizi.

Continue reading

Taweez ka Istemaal Jayez hai Part 7 (Ibrahim Nakh’ii Rh. ke qaul Ka Jawaab)

[Reply to Abu zaid zameer] Abu zaid zameer sahaab ne Badi Khushi ke saat Ibrahim Nakh’ii Rh. ke 2 Qaul Pesh kiya hai.

Ek Qaul Musannaf Ibn Abi Shaiba ke Hawaale se Pesh kiya ke Ibrahim Nakh’ii Rh. ne Kaha ke Ashaab e Abdullah Rdh. Quraani aur Ghair Quraani Tamaa-im ko Makrooh Kehte the.

Aur Isi Tarah Dusra Qaul yeh Pesh kiya ke Mughera Rh. ne Sawaal kiya ke Kya Quraan e  Paak ki Ek Aayat ko Mai Apne Haat par Baandh Sakta hu, Bukhaar ki Wajeh se, Toh Hazrat Ibrahim Nakh’ii Rh. ne Usko Na-pasand kiya. (Fazail e Quraan Lil Qaasim Ibn Salaam)

Aur Yeh Makrooh ko Zameer sahaab Kheech Taankar Haraam Bataane ki Koshish ki hai.

Al – Jawaab :

Musannaf Ibn abi Shaiba ki riwayat ka jaha tak Talluq hai, Usme Mughera Rh. aur Hushaim Rh. Yeh Dono Mudallis hai.

(Tabqaatul Mudalliseen)

Aur ghair muqallideen ke nazdeek Mudallis ke ‘AN’ waali riwayat ZAEEF hai.

Continue reading

Taweez ka Istemaal Jayez hai Part 6 (Tark e Taweez par Aasaar e Sahaba Rdh. ke Jawaabaat)

[Reply to Abu zaid Zameer] Tark e Taweez par Abu Zaid Zameer sahaab ne Sahaba e Kiraam Rdh. Ke Aasaar Pesh Kiye hai, Unka bhi Tarteebwaar Jawaab Mulaaheza Farmaaye :

1 – Hazrat Uqba bin Aamir Rdh. Farmaate hai ke

Tameemah Jaha bhi insaan ke badan Bandha ya latkaye jaaye, wo jagah shirk waali hai. (Al Jaame Li Ibn Wahab)

Al – Jawaab :

Is Riwayat ka Matan yu hai :

وَأَخْبَرَنِي إِبْرَاهِيمُ بْنُ نَشِيطٍ، وَاللَّيْثُ، عَنْ يَزِيدَ بْنِ أَبِي حَبِيبٍ، أَنَّهُ سَمِعَ أَبَا الْخَيْرِ، يَقُولُ: سَمِعْتُ عُقْبَةَ بْنَ عَامِرٍ، يَقُولُ فِي التَّمَائِمِ: «إِنَّهَا أَيْنَمَا وُضِعَتْ مِنَ الْإِنْسَانِ فَإِنَّ مَوْضِعَهَا شِرْكٌ»

(Al Jaame Li Ibn Wahab : Jild 1 : Safa 751)

Scan Page : 

27899_Page751

Is riwayat me Tameemah se Ma’ana kiya gaya hai aur Tameemam aur Quraani Taweez Yeh dono Alag Alag Cheeze hai.

https://ulamaehaqulamaedeoband.wordpress.com/2014/11/22/kya-salaf-o-saleheen-ki-nazar-me-tameemah-quraani-taweez-ko-kehte-hai/

Wallahu’alam.

Continue reading

Taweez ka Istemaal Jayez hai Part 5 (Tark e Taweez ki Ahadees ke Jawaabaat)

[Reply to Abu Zaid Zameer] Taweez ka Istemaal Jayez hai Part 5 (Tark e Taweez ki Ahadees ke Jawaabaat)

Abu Zaid Zameer Sahaab ne Taweez ka Radd karne ke Liye, Kuch Ahadees Pesh ki hai, Unka Tarteebwaar Jawaab Mulaaheza Farmaaye :

Hadees no 1 :

Abu zaid Zameer Sahaab ne Pehli Hadees Musnad e Ahmed ke Hawaale se Zikr ki hai ke

Huzur SAW ne Farmaaya ke

مَنْ عَلَّقَ تَمِيمَةً فَقَدْ أَشْرَكَ

Jisne Tameemah Latkaaya Usne Shirk Kiya. (Musnad e Ahmed)

Al – Jawaab :

قال السندي: “من تعلَّق تميمة” قيل: المراد ما يحتوي على رُقَى الجاهلية أو الخرزات التي تعلّقها العرب على أولادهم يتقون بها العين، فأبطله الإسلام.

Is hadees ke bare me

Imam Sindhi Rh. Farmaate hai Jiska Mafhoom yeh hai ke Tameemah Log Zamaana e Jahiliyat me Istemaal Karte the Lekin Islaam ne Isko Baatil qaraar diya hai.

(Musnad e Ahmed : Jild 28 : Safa 624)

Scan Page :

ahmd 28_Page624

Mazeed Quraani Taweez Alag Cheez hai aur Tameehmah aur hai.

https://ulamaehaqulamaedeoband.wordpress.com/2014/11/22/kya-salaf-o-saleheen-ki-nazar-me-tameemah-quraani-taweez-ko-kehte-hai/

Lehaaza Is Hadees se Quraani Taweez ko Ghalat Kehna Saheeh Nahi hai.

Continue reading

Taweez ke Jayez Hone par Chaaro Masaalik ka Ittefaaq hai.

Taweez ke Jayez hone par 4 Masaalik par Ittefaaq hai.

Maslak e Hanafiyya :

1 – Imam Muhammed bin Hasan Ash-Shaybaani Rh. Al Mutawaffa 189 Hij.  Farmaate hai ke

Hum Is Masla ko Maante hai Jab ke wo  Dam ya Taweez Allah ke Zikr ya Allah ki Kitaab se ho aur Yahi Imam e Azam Abu hanifa Rh. Al Mutawaffa 150 Hij.   ka Farmaan hai. (Kitaab ul Aasaar : Jild 2 : safa 758)

Scan Page :

athar_alshibany_Page769

Continue reading

Kya [Salaf-o-Saleheen ki Nazar me] Tameemah Quraani Taweez ko Kehte hai ?

[Reply to Abu Zaid Zameer] Ghair Muqallideen Aksar Kehte hai ke Tameemah Taweez Shirk hai Kyunke Hadees me Tameemah ko Shirk Bataaya gaya hai.Lekin Yaha Ghair Muqallideen Lafz e Tameemah se Dhoka Dete hai.

Sabse se Pehle Tameemah ka Ma’ana aur Mafhoom Mulaaheza Farmaaye :

1 – Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. Farmaate hai ke

Tamaaim Tameemah Ki Jama’ Hai, Is Se Muraad Wo Daane Aur Maale Hai Jo Gale Me Latkaaye Jaate Hai, Ahle Arab Zamaana E Jaahiliyat Me Yeh Aqeedah Rakhte The  Ke Yeh Tamaaim Aafaat Ko Dafa Karte Hai. (Fathul Baari : Jild 10 : Safa 196)

Scan Page :

Continue reading

Taweez ka Istemaal Jayez hai Part 4 (Tabain ke Aqwaal par Aiteraazaat ke Jawaabaat)

[Reply to Abu zaid Zameer] Taweez ke Jayez Hone par 12 Tabain ke Aqwaal sanad e Saheeh ke Maujood hai [Alhamdulillah], Tarteebwaar unki Riwayaat Mulaaheza Farmaaye :

Hadees no 1 :

حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي زَائِدَةَ، عَنِ ابْنِ أَبِي خَالِدٍ، عَنْ فِرَاسٍ ، عَنِ الشَّعْبِيِّ قَالَ: «لَا بَأْسَ بِالتَّعْوِيذِ مِنَ الْقُرْآنِ يُعَلَّقُ عَلَى الْإِنْسَانِ»

Sanad :

Imam Ibn Maeen Rh. –> Ibn Abi Zayeda Rh. –> Ibn Abi Khalid Rh. –> Firaas Rh. –> Imam Shaibii Rh.

Matan :

Imam Shaibii Rh. Farmaate hai ke Insaan ka Quraan ki Taweez Latkaane me Koi Harj Nahi hai. (Juz e Saani Min Hadees e Yahiya Ibn Maeen : Safa 215, Raqm no 159)

Scan Page :

36385_Page216

Sanad ke Raaviyo ka Mukhtasar Ta’aruf :

1 – Imam Yahiya Bin  Maeen Rh.  Saheeh Bukhari , Saheeh Muslim aur Sunan e Arba ke Raavi hai.

Neez Zabardast Siqa, Imam aur Hafiz hai aur Aimma ne unko Imam ul Muhaddiseen aur Imam ul Jarah wa Ta’adeel Qaraar diya hai.

(Taqreeb : Jild 1 : Safa 597, Raqm no 7651)

(Al Kaashif : Jild 2 : Safa 376, Raqm no 6250)

2 –  Ibn Abi Zayeda Rh. hai Jinka Pura Naam Yahiya Ibn Zakarriya Ibn abi Zayeda hai.

Saheeh Bukhari , Saheeh Muslim aur Sunan e Arba ke Raavi hai.

Yeh bhi Siqa aur Muttaqi hai. (Taqreeb : Raqm no 7548)

3 – Ibn abi Khalid Rh. hai aur Inka Pura naam Ismail bin abi Khalid Rh. hai.

Kutub e Sitta ke Raavi hone ke Saat Saat Siqa bhi hai. (Taqreeb : Raqm no 438)

4 – Firaas bin Yahiya Rh. hai.

Saheeh Bukhari , Saheeh Muslim aur Sunan e Arba ke Raavi hai.

Aur Imam Ahmed bin Hanbal Rh., Imam Nasaai Rh., Imam Ibn Maeen Rh., Imam Ibn Hibban Rh., Imam Ibn Shaheen Rh., Imam Ijli rh., Imam Ammaar Rh. aur Imam Yaqoob bin Shaiba Rh. ne SIQA Qaraar diya hai. (Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 8 : Safa 259-260, Raqm no 483)

5 – Aamir Shaibii Rh. hai.

Yeh bhi Saheeh Bukhari wa Muslim aur Sunan e Arba ke Raavi hai.

Aur SIQA, Mashoor, Faazil aur Faqi hai. (Taqreeb : Raqm no 3092)

Lehaaza Yeh Riwayat Bilkul Saheeh hai aur Bukhari wa Muslim ki Shart par hai.

Continue reading

Shabeeb bin Saeed Rh. Muhaddiseen ki Nazar me (Shabeeb bin Saeed Rh. ki Tauseeq)

Shabeeb bin Saeed Rh. Saheeh bukhari ke Raavi hone ke saat saat SIQA hai aur unki Tauseeq Darj e zail hai :

1 – Imam Ali bin Madeeni Rh.

2 – Imam Darqutni Rh.

3 – Imam Tabraani Rh.

4 – Imam Zohli Rh.

5 – Imam Ibn Khalfoon Rh.

Aur

6 – Imam Zehbi Rh.

7 – Imam Ibn Hibban Rh. ne Shabeeb Bin Saeed Rh. ko SIQA Qaraar diya hai.

Mazeed Suniye,

Continue reading

Taweez ka Istemaal Jayez hai Part 3 (Saaed Ibn ul Mussaib Rh. ki Riwayat)

Saaed Ibn ul Mussaib Rh. ki Riwayat par Aiteraazaat ke Jawaabaat :

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرٍ قَالَ: حَدَّثَنَا عُقْبَةُ بْنُ خَالِدٍ، عَنْ شُعْبَةَ، عَنْ أَبِي عِصْمَةَ، قَالَ: سَأَلْتُ سَعِيدَ بْنَ الْمُسَيِّبِ عَنِ التَّعْوِيذِ، فَقَالَ: «لَا بَأْسَ إِذَا كَانَ فِي أَدِيمٍ»

Sanad :

Imam Abubakr Ibn Abi shaiba Rh. — > Uqba bin Khalid Rh. — > Shoba Rh. — > Abi Isma Rh. — > Saeed bin Mussaib Rh.

Matan :

Hazrat Saeed bin Mussaib Rh. se Taweez ke Mutalliq Sawaal Kiya, toh Unhone Kaha ke Usme koi Harj nahi Jabke wo Chamde me ho. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 8 : Safa 31)

Scan Page :

musnfsh08_Page31 (2)-copy

Abu Zaid Zameer ka Aiteraaz :

Abu zaid zameer sahaab kehte hai Jiska Khulaasa yeh hai ke Isme ek raavi Abu Isma hai wo zaeef hai. (Taweez ki Haqiqat : 1 : 03 : 01)

Al – Jawaab :

Saeed bin Jubair Rh. se yahi riwayat Darj e zail Sanad se bhi Marwi hai :

وأخبرنا زاهر بن أحمد، أخْبَرَنا أحمد بن محمد بن شعبة الحافظ، حَدَّثَنا محمد بن إسماعيل الصائغ، حَدَّثَنا عفان، حَدَّثَنا شعبة، عَن أبي عصمة وعيسى الأزرق أنهما سمعا رجلا من المدينة قال: سألت سعيد بن المسيب عن التعويذ فقال: لا بأس إذا كان في شيء يواريه.

Sanad : Imam Mustaghfiri Rh. — > Zaahir bin Ahmed Rh. — > Ahmed bin Muhammed bin Shoba Al Haafiz Rh. — > Muhammed bin Ismail As-saaigh Rh. — > affan Rh. — > Shoba Rh. — > Abu Isma Rh. aur Isaa Al Azraq Rh. — > Saeed Ibn ul Mussaib Rh.

Continue reading

Taweez ka Istemaal Jayez hai Part 2 (Abdullah Ibn Abbas Rdh. ki Riwayat)

Hadees no 2 :

حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ مُسْهِرٍ، عَنِ ابْنِ أَبِي لَيْلَى، عَنِ الْحَكَمِ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ: إِذَا عَسِرَ عَلَى الْمَرْأَةِ وَلَدُهَا، فَيَكْتُبُ هَاتَيْنِ الْآيَتَيْنِ وَالْكَلِمَاتِ فِي صَحْفَةٍ ثُمَّ تُغْسَلُ فَتُسْقَى مِنْهَا: «بِسْمِ اللَّهِ لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ الْحَلِيمُ الْكَرِيمُ، سُبْحَانَ اللَّهِ رَبِّ السَّمَوَاتِ السَّبْعِ وَرَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ» {كَأَنَّهُمْ يَوْمَ يَرَوْنَهَا لَمْ يَلْبَثُوا إِلَّا عَشِيَّةً أَوْ ضُحَاهَا} [النازعات: 46] {كَأَنَّهُمْ يَوْمَ يَرَوْنَ مَا يُوعَدُونَ لَمْ يَلْبَثُوا إِلَّا سَاعَةً مِنْ نَهَارٍ، بَلَاغٌ فَهَلْ يُهْلَكُ إِلَّا الْقَوْمُ الْفَاسِقُونَ} [الأحقاف: 35]

Sanad : Imam Abubakr Ibn abi Shaiba Rh. — > Ali Ibn Mus-hir Rh. — > Ibn Abi Laila Rh. — > Al Hakam Rh. — > Saeed Bin Jubair Rh. — > Ibn Abbas Rdh. Matan : Khulaasa yeh hai ke Ibn Abbas Rdh. Hazrat Abdullah Bin Abbas Rdh. Bach-che ki Padaish ke Liye 2 Aayaat e Quraani Likh kardete the ke Unko Dhokar Mareeza (Bimaar Aurat)  ko Pilaa do. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 8 : Safa 23, Hadees no 23855) Scan Page : musnfsh08_Page23 Aiteraaz : Ghair muqallideen ki taraf se yeh aiteraaz kiya jaata hai ke is hadees ki sanad me Ibn Abi Laila hai jo ke Zaeef hai. Unka Pura Naam Muhammed Bin Abdur Rahman Bin Abi Laila Rh. Yeh Daraasal Mukhtalif Fiya Raavi hai Jinki Riwayat Hasan Darje ki Hoti hai. Continue reading