Hum Rafe-yadain Kyun Nahi Karte Part 6 (Ali Rdh. ki Hadees ka Jawaab).

Hum Rafe-yadain Kyun Nahi Karte Part 6 ? (Ali Rdh. ki Hadees ka Jawaab).

Aiteraaz : Zubair Ali Zai ne ( Saheeh Ibn Khuzaima : Jild 1 : Safa 294 , 295 ) ke Hawaale se Hazrat Ali Rdh. ki Riwayat Pesh ki hai jis me Takbeer e Tehrima , Ruku se Pehle , Ruku ke Baad aur Teesri ke Aaghaaz me rafe-yadain karna manqool hai.

Al-Jawaab No 1 :

Is Hadees Ki Sanad Me Abdur Rehman Bin Abi Zinaad Zaeef Hai.

1 – Imam Haismi Rh. Farmaate Hai Ke

عبد الرحمن بن أبي الزناد وهو ضعيف

Abdur Rehmaan Ibn Abi Zinaad Zaeef hai.

(Majmua Al Zawaid : Jild 2 : Safa 48 , 131 , 52 , 115 )

Scan Page :

1

2 – Imam Nasaai Farmaate Hai Ke Zaeef (Zuaafa Wa Matrookin : Safa 207)

Scan Page :

2

3 – Imam Yahiya Bin Maeen Rh. Farmaate hai ke

ضعيف ليس بشئ لا يحتج به

Zaeef hai aur daleel banaane ke qaabil nahi hai.

 (Mizaan : Jild 2 : Safa 575)

Scan Page :

3

4 – Imam Malik Rh. : Is Raavi Par Imam Malik Rh. Ne Apne Waalid Se Kitaab Ul Sabi-Atul Fuqahaa Riwayat Karne Par Tanqeed Ki Hai. Aur Use Zaeef Qaraar Diya Hai. (Tazkiratul Huffaaz : Jild 1 : Safa 202 , Mutarjim)

Scan Page :

4

5 – Imam Ahmed Rh. Farmaate Hai Ke

مضطرب الحديث ضعيف

“ Muztaribul Hadees Zaeef”. (Mizaan : Jild 2)

Scan Page :

5

6 – Imam Abu Haatim Rh. Farmaate Hai Ke

ليس بشئ لا يحتج به

Inki riwayat se daleel nahi di jaasakti.

(Mizaan Ul Aitedaal : Jild 2 : Safa 575)

Scan Page :

6

7 – Imam Ali Bin Madeeni Rh. Farmaate Hai Ke

كان عند أصحابنا ضعيفاً

Hamare Ashaab ke nazdeek zaeef hai.

(Taarekh E Baghdaad : Jild 8 : Safa 260)

Scan Page :

7

8 – Imam Abdur Rehman Bin Mehdi Rh. Ne Use Zaeef Kaha Hai Aur Uski Tamaam Hadeeso Par Qalab Phair Diya. (Tazkiratul Huffaaz , Taarekh E Baghdaad , Tehzeeb Ut Tehzeeb)

Scan Page : Tazkiratul Huffaz

8-1

Scan Page : Tehzeeb Ut Tehzeeb

8-2

9 – Imam Haakim Abu Ahmed Rh. Farmaate Hai Ke “

(Tehzeeb Ut Tehzeeb : Jild 6 : Safa 173)

Scan Page : 

9

10 – Imam Ibn Sa’ad Rh. Farmaate Hai Ke

وكان يضعف لروايته عن أبيه

Yeh apne waalid se riwayat karne me zaeef hai.

(Taarekh E Baghdad : Jild 8)

Scan Page :

10

11 – Muhaddis Saaleh Bin Muhammed Jazraah Farmaate Hai Ke

قد روى عن ابيه اشياء لم يروها غيره

Chand riwayato me apne waalid se naql karne me tanha hai.

(Tazkiratul Huffaaz)

Scan Page :

11

12 – Imam Abu Jafer Amr Bin Ali Rh. Farmaate Hai Ke “ Fiyaa Zaeef”. (Usme Zauf(Kamzoori) hai. (Taarekh E Baghdaad : Jild 8)

Scan Page :

12

13 – Imam Saaji Rh. Bhi Yahi Farmaate Hai (Jo Jarah no 12 me hai)

Scan Page :

13

14 – Imam Tahawi Rh. Farmaate Hai Ke Ibn Abi Zinaad Zaeef Hai Aur Rafe-Yadain Ke Yeh Alfaaz Uske Siwa Kisi Aur Raavi Ne Naql Nahi Kiye. (Sharah Maani Al Asaar)

15 – Hafiz Ibn Hajr Farmaate Hai Ke

صدوق تغير حفظه لما قدم بغداد

Sach-cha hai jab baghdaad aaye toh unka hafiza kharaab hogaya.

(Taqreeb)

Scan Page :

15

16 – Imam Zehbi Rh. Farmaate Hai Ke “Zyaada Qawi Nahi Hai”. (Tazkiratul Huffaaz : Jild 1 : Safa 202 , Mutarjim)

Scan Page :

16

17 – Imam Falaas Farmaate Hai Ke

فيه ضعيف

Isme Zaeef hai.

(Seer Alamun Nubula : Jild 7 : Safa 459)

18 – Imam Ibn Hibban Rh. Farmaate Hai Ke

وكان ذلك من سوء حفظه وكثرة خطئه،

فلا يجوز الاحتجاج بحبره إذا انفرد

Aur yeh baat unke hafize ke qaraabi me se hai aur unki kaseer qatao me se hai.

( Kitaab Ul Majruheen : Jild 2 : Safa 56)

Scan Page :

17

Barhaal In Sab Hawaalo Se Yeh Baat Hochuki Hai Ke Abdur Rehman Ibn Abi Zinaad Zaeef Hai.

Al- Jawaab No 2 :

Khud Hazrat Ali Rdh. Ka Amal Bhi Is Hadees Ke Khilaaf Hai.

Chunaanche Riwayat Manqool Hai Ke Hazrat Sayyidina Ali Rdh. Namaz Me Pehli Takbeer Ke Saat Rafe-Yadain Karte The Phir Dobaara Haat Nahi Utaate The.

(Nasb Ur Raiyaa : 406/1 , Maani Ul Asaar Lil Tahawi : 225/1)

Scan Page :

20131028_211145

Aur Isi Tarah Ek Riwayat Manqool Hai Jisme Yeh Hai Ke Hazrat Ali Rdh. Pehli Takbeer Me Jisse Namaz Shuru Ki Jaati Hai Rafe-Yadain Karte The Phir Namaz Me Kahi Bhi Rafe-Yadain Na Karte The. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 1 : Safa 159 , Muwatta Imam Muhammed : 94)

Scan Page : Musannaf Ibn Abi Shaiba

MUSANNAF IBN-E-ABI SHAIBAH_Page931

Scan Page : Muwatta Imam Muhammed              

20131028_212203

1 – Is Asr Ke Bare Me Alama Zai’lee Rh. Ne Is Asr Ko “ Saheeh ” Farmaaya.

(Nasb Ur Raiyaa : 406/1 )

Scan Page :

NASBUR RAAYAH - IMAAM ZAILA'EE_Page427

2 – Alama Aaini Rh. Farmaate Hai Ke صحيح على شرط مسلم 

Saheeh Ala Shart E Muslim.

(Umdatul Qaari Sharah Bukhari : Jild 3 : Safa 9 , Sharah Hidaaya : Jild 1 : Safa 66)

Scan Page :

05_68703-01_Page274

3 – Alama Mardeeni Rh. Farmaate Hai Ke Iske Rijaal Siqa Hai. (Al Johar An Naqi : 138/1)

4 – Ibn Hajr Rh. Farmaate Hai Ke    رِجَاله ثِقَات وَهُوَ مَوْقُوف

Is Mauqoof Hadees Ke Rijaal Siqa Hai. (Diraayaa : 85)

Scan Page :

Adduriya_Page152

Al – Jawaab No 3 :

Is Riwayat Ka Teesra Jawaab Yeh Hai Ke Iski Sanad Me Ibn Abi Zinaad Ke Ustaad Mosa Bin Uqba Hai Aur Muhaddis Ibn A’adi Ek Hadees Ke Bare Me Farmaate Hai Ke

وهذا لا أعلم يرويه عن موسى بن عقبة غير عبد الرحمن بن أبي الزناد مع أحاديث أخر يرويها بن أبي الزناد وهذا عن موسى بن عقبة عن أبي الزبير عن جابر لا يرويها غيره عن موسى ولعبد الرحمن بن أبي الزناد من الحديث غير ما ذكرت وبعض ما يرويه لا يتابع عليه وهو ممن يكتب حديثه

“Aur Yeh Hadees Mosa Bin Uqba Se Abdur Rehman Ke Siwa Koi Aur Maloom Nahi Hosaka Ke Wo Bhi Usko Riwayat  Kart Hai Is Hadees Ke Alaawa Bhi Mosa Bin Uqba Se Abdur Rehmaan Ki Hadeeso Ka Yahi Haal Hai Aur Yeh Riwayat Bhi Mosa Bin Uqba An Abi Zubair An Jaabir Se Marwi Hai Mosa Se Abdur Rehman Ke Siwa Koi Riwayat Nahi Karta Abdur Rehman Ki Degar Riwayaat Bhi Mazkoor Riwayaat Ke Alaawa Maujood Hai Unse Me Bhi Baaz Aisi Jin Me Yeh Munfarid Hai Aur Koi Dusra Iski Ispar Muwafiqat Nahi Karta Yeh Un Raaviyo Me Se Ke Uski Hadees Likh Li Jaaye. (Al Kaamil Ibn A’adi : Jild 4)

Scan Page :

kdra5_Page453

Is Hawaale Se Maloom Huwa Ke Ibn Abi Zinaad Mosa Bin Uqba Ki Riwayat Me Akela Hota Hai Dusra Uske Muwafiq Mosa Bin Uqba Se Riwayat Nahi Karta Jisse Maloom Hota Hai Ke Yeh Abdur Rehman Ki Ghalti Hai Isi Taraf Rafe-Yadain Waali Riwayat Bhi Abdur Rehmaan Apne Ustaaz Mosa Bin Uqba Se Riwayat Karta Hai Uske Alaawa Koi Bhi Isko Riwayat Nahi Karta Ibn Jareej Ne Bhi Apne Ustaad Mosa Se Yeh Riwayat Zikr Ki Hai Lekin Rafe-Yadain Ka Usme Koi Zikr Nahi. (Daruqtni : Jild 1 : Safa 297)

Scan Page :

SUNAN DARQUTNI_Page645

Isi Tarah Mosa Bin Uqba Ke Alaawa Dusre Raavi Bhi Yeh Riwayat Karte Hai Lekin Rafe-Yadain Ka Is Riwayat Me Naam Wa Nishaan Nahi Milta. (Muslim : Jild 1 : Safa 263)

Scan Page :

SahihMuslimvol1TarjumahByShaykhMuhammadAbdullah_Page373

Barhaal In Tamaam Baato se Yeh Waazeh Hogayi hai ke Hazrat Ali Rdh. ka Amal Tark e Rafe-yadain ka Tha aur Unki Taraf Mansoob yeh Riwayat Nihaayat Zaeef hai.

4 thoughts on “Hum Rafe-yadain Kyun Nahi Karte Part 6 (Ali Rdh. ki Hadees ka Jawaab).

    • woh riwayat ka hi yeh jawaab hai kyunke us riwayaat me bhi abdur rehman bin abi zinaad hai aur yahi riwayat isi raavi ke saat ibn khuzaima aur ibn hibaan wagaira me bhi maujood hai.

Leave a comment