Imam Abu Hanifa Rh. ne Sahaba e Kiraam Rdh. se Riwayat SUNI HAI Part 1 (Abdullah Ibn ul Haaris Rdh. se riwayat)

Imam ul Azam fil Mujtahideen, Sultan ul Muhaddiseen Abu HANIFA Nu’maan bin Saabit Rh. Al Mutawaffa 150 Hij. ne SAHABA KIRAAM Rdh. se riwayat Suni hai, Jiski Tafseel Darj e zail hai :

1 – Imam Abu umar Yusuf bin Abdullah bin Muhammed bin Abdul Barr Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. Farmaate hai ke

وأخبرت عن أبي يعقوب يوسف بن أحمد الصيدلاني المكي قال: حدثنا أبو جعفر محمد بن عمرو بن موسى العقيلي، ثنا أبو علي عبيد الله بن جعفر الرازي، ثنا محمد بن سماعة، عن أبي يوسف قال: سمعت أبا حنيفة رحمه الله يقول: ” حججت مع أبي سنة ثلاث وتسعين ولي ست عشرة سنة فإذا شيخ قد اجتمع الناس عليه فقلت لأبي: من هذا الشيخ؟ فقال: هذا رجل قد صحب النبي صلى الله عليه وسلم يقال له عبد الله بن الحارث بن جزء، فقلت لأبي: فأي شيء عنده؟ قال: أحاديث سمعها من رسول الله صلى الله عليه وسلم فقلت لأبي: قدمني إليه حتى أسمع منه، فتقدم بين يدي وجعل يفرج الناس حتى دنوت منه فسمعته يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «من تفقه في دين الله كفاه الله همه ورزقه من حيث لا يحتسب»

Sanad :

Imam Ibn Abdul Barr Rh. — > Abu Yaqub Yusuf bin Ahmed Ash-Saidalaani al Makki Rh. — > Imam Abu Jafer al Uqaili Rh. — > Abu Ali Ubaidullah bin Jafer ar Raazi Rh. — > Muhammed bin Sama’a Rh. — > Imam Abu Yusuf Rh. — > Imam Abu Hanifa Rh. — > Abdullah Ibn ul Haaris az Zubaidi Rdh. — > Rasoolullah SAW.

Matan :

Hazrat Abdullah Ibn ul Haaris Rdh. Farmaate hai ke Maine Rasoolullah SAW ko Farmaate huwe Suna :

Jisne Allah ke Deen me Taffaqqo (Samajh) Haasil ki, Toh Allah Uske Rizq ke liye Kaafi hai aur Allah Usko Waha se Rozi Dega, Jaha se usko Gumaan bhi nahi Hoga.

(Jaame Bayaan ul Ilmi wa Fazlihi : Safa 45, Old Edition)

Scan Page :

جامع بيان العلم وفضله_Page54

Is riwayat ke Ruwaat ki Tehqeeq Yeh hai :

1 – Imam Ibn Abdul Barr Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. Hafiz ul hadees, Imam, Allama, Hafiz ul Maghrib aur Bade Huffaaz ul hadees me hai.

(Al A’alaam Liz Zirkali : Jild 8 : Safa 240)

(Seer Alamun Nubula : Jild 18 : Safa 153)

2 – Abu Yaqub Yusuf bin Ahmed Ash-Saidalaani al Makki Rh. Al Mutawaffa 388 Hij. bhi Motabar hai.

Unhone Imam Uqaili Rh. se Unki kitaab, Kitaab uz Zuaafa Naql Farmaayi hai.

Imam Zehbi Rh. ne Aap Rh. ko Muhaddis aur Musnad e Makkah Qaraar diya hai. (Seer Alamun Nubula : Jild 17 : Safa 27, Tazkiratul Huffaaz : Jild 3 : Safa 150)

Scan Page : Seer Alamun Nubula

san17_Page27

Scan Page : Tazkiratul Huffaaz

03_72575_Page150

Imam Murtuza Zubaidi Rh. ne bhi Aapko Muhaddis Kaha hai. (Taaj ul Uroos : Jild 28 : Safa 486)

Scan Page :

taga28_Page486

Imam Khateeb al Baghdadi Rh. ne Aapki riwayat ko Mehfooz Qaraar diya hai. (Taarekh ul Baghdad : Jild 2 : Safa 406)

Scan Page :

02_77922_Page406

Lehaaza Aap Rh. bhi Motabar hai.

aur Aapka Tarjuma Taarekh ul Islaam : Jild 27 : Safa 178, Al Waafi bil Waafiyaat : Jild 29 : Safa 40 par Maujood hai.

Scan Page : Taarekh ul Islaam

tiz27_Page178

3 – Imam Abu Jafer al Uqaili Rh. Al Mutawaffa 322 Hij. Siqa, Muhaddis hai. (Taarekh ul Islaam : Jild 7 : Safa 467)

Scan Page :

07_Page468

4 – Abu Ali Ubaidullah bin Jafer ar Raazi Rh. Al Mutawaffa 321 Hij. Motabar Raavi hai. (Taarekh ul Islaam : Jild 7 : Safa 445)

Scan Page :

07_Page467

Tambeeh :

Jaame Bayaan ul Ilmi wa Fazlihi ke Matbua Nusqe me Kaatib ki Ghalati ki wajeh se Ubaidullah bin Jafer Rh. ke Ba-jaaye Abdullah bin Jafer Maujood hai.

Jabke yahi riwayat Musnad e Imam Abu hanifa Ba-riwayat e Abu Nuaim : Safa 25 par Maujood hai aur waha par Ubaidullah bin Jafer Rh. hi LIKHA hai.

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عُمَرَ بْنِ سَلْمٍ، فِي الْأَمَالِي، وَسَمِعَ مِنْهُ وَهُوَ مَجْلِسُ الْقَاضِي مُحَمَّدِ بْنِ عُمَرَ بْنِ سَلْمٍ الْبَغْدَادِيِّ، وَكَتَبْتُ عَنْهُ غَيْرَ حَدِيثٍ، وَكَانَ فِيمَا قُرِئَ عَلَيْهِ، وَأَذِنَ لِي فِي الرِّوَايَةِ عَنْهُ بِهَذَا الْحَدِيثِ خَاصَّةً أَبُو بَكْرٍ مُحَمَّدُ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ عَمْرٍو، وَمُحَمَّدُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ بْنِ عَلِيٍّ، قَالَا: ثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عُمَرَ بْنِ سَلْمٍ، حَدَّثَنِي عُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ جَعْفَرٍ الرَّازِيُّ أَبُو عَلِيٍّ مِنْ كِتَابِ أَبِيهِ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ سَمَاعَةَ، عَنْ أَبِي يُوسُفَ قَالَ: سَمِعْتُ أَبَا حَنِيفَةَ يَقُولُ.…….

Scan Page : Musnad e Imam Abu hanifa Ba-riwayat e Abu Nuaim

12912_Page25

Lehaaza yaha par Katib ki Ghalati se Dhoka na Khaaye, SAHEEH Ubaidullah bin Jafer Rh. hai aur wo SIQA hai.

Wallahu’alam.

5 – Imam Muhammed bin Sama’a Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. Sadooq hai. (Taqreeb : Raqm 5934)

Scan Page :

1531_Page482

6 – Imam Abu Yusuf Yaqub bin Ibrahim al Ansaari Rh. Al Mutawaffa 182 Hij. Siqa, Faqi wa Muhaddis hai. (Seer Alamun Nubula : Jild 8 : Safa 535)

Scan Page :

san08_Page535

7 – Imam e Azam Abu Hanifa Rh. Al Mutawaffa 150 Hij. Siqa, Mujtahid, Muhaddis, Hafiz ul Hadees aur Hadees ke Shahensha hai.

(Ikhmaal Fee Tehzeeb ul Kamaal Lil Mughtaayi : Jild 12  : Safa 56, Taqreeb : Raqm 7153, Taarekh e Baghdaad : Jild 13 : Safa 344)

Scan Page : Ikhmaal Fee Tehzeeb ul Kamaal Lil Mughtaayi

ekmalt12_Page57

Scan Page : Taarekh e Baghdaad

13_77933_Page344

8 – Abdullah ibn ul Haaris Al Zubaidi Rh. Sahabi e Rasool hai. (Taqreeb : Raqm 3262)

Algarz Iski SANAD SAHEEH hai.

Aur Is riwayat ko Zikr karne ke baad Gooya Aage Daleel ke Taur Imam Ibn Abdul Barr Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. Farmaate hai ke Imam Ibn Sa’ad Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. Farmaaya hai ke Beshak Imam Abu hanifa Rh. ne Anas bin Maalik Rdh. aur Abdullah Ibn ul Haaris Rdh. ko DEKHA hai.

(Jaame Bayaan ul Ilmi wa Fazlihi : Safa 45, Old Edition)

Scan Page :

جامع بيان العلم وفضله_Page54 - Copy

Lehaaza Saabit huwa ke Imam Sahaab Rh. ne Sahaba ko Dekha Hai aur Unse riwayat bhi Naql Farmaayi hai aur Jo Log Imam Abu hanifa Rh. ke bare me Yeh Kehte hai ke Unhone Kisi Sahabi se riwayat Naql Nahi ki ya Yeh Kehte hai ke Unhone Kisi Sahabi ko NAHI DEKHA.

Unka Yeh Kehna BAATIL wa MARDOOD hai.

One thought on “Imam Abu Hanifa Rh. ne Sahaba e Kiraam Rdh. se Riwayat SUNI HAI Part 1 (Abdullah Ibn ul Haaris Rdh. se riwayat)

  1. Assalamualaikum, hadrat , ahmed rifai ka hujur sw ke haat mubarak chumne ki history ki isnaad ka bohot dinose intezar kar raha hu.

Leave a comment