Kya Imam Abu Hanifa r.a Hadees me Yateem the?

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Imam Abu Hanifa r.a par Ek Aitraaz ye Kiya Jata hai ke Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a ne Imam Abu Hanifa r.a ko Hadees me Yateem Kaha hai. Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne NaqaL Kara ( Tarikh e Baghdad 574/15 )

aur Jaisa ke Imam Ibn Hibban r.a ne NaqaL Kara ( AL Majrooheen 411/2 )

Goya Kuch Logon ne Isse Ye MatLab NikaLa ke Imam Ibn Mubarak r.a Imam Abu Hanifa r.a ko Hadees me Yateem aur Zaeef mante the… HaLanki Yateeman FiL Hadees Koi Jarah ka KaLimah nahi aur Isse Imam Abu Hanifa r.a ki Taze’ef bhi Murad nahi … Kyonki Ye ALfaz Kisi Rawi ko Zaeef Kehne KeLiye IstemaL nahi hota… Raha Ye ke Phir Iska Kya MatLab hai To Jaisi Aqeedat aur Mohabbat Imam Ibn Mubarak r.a ko Imam Abu Hanifa r.a se hai Uske MaddeNazar Ye Tareef ka hi KaLimah Mahsoos hota hai…

Kyonki PehLi Baat to ye Jab Kisi Muhaddis ke Nazdeek Uska Koi Shaikh ya Doosra Koi Muhaddis Bohot hi Unche Darje ka Hota hai To Wo Uske Liye Aise ALfaz IstemaL Karta hai Jo Doosron keLiye Aam taur par IstemaL nahi karta…Jaise Koi Kahe Maine Inki MisL kisi ko nahi dekha, Unhone Apni Aankh se Apne MisL kisi ko nahi dekha,  Unhone Apne Bad Apne Jaisa koi Nahi Chora wagherah ….

IsLiye Ham Keh Sakte hain Ke Yateem FiL Hadees se Murad Imam Abu Hanifa r.a ki Hadees me Expertise ( Maharat ) Murad Hai… Kyonki Arabi Lughat me Yateem Har Us Cheez ko Kehte hain Jiska Koi Sani ( MisL ) na ho , Jaisa Durre Yateemah Kaha Jata hai , Jaisa ke Imam IsmaiL bin Hammad AL Johri r.a aur Imam Ibn Manzoor Misri r.a ne NaqaL Kiya… ( AL Sihah AL Johri 2064 , Lisan uL Arab 464/12)

Iske ALawa Imam Ibn Manzoor Misri r.a ne hi NaqaL Kara ke Yateem Ret ke AkeLe Zarre ko kehte hain,  Arab ke Yahan Har Munfarid aur AkeLi Cheez ko Yateem Kehte hain … ( Lisan uL Arab 464/12 ) 

In HawaLon se MaLoom Hua ke Arabon me Yateem AkeLa Yakta KeLiye IstemaL hota hai,  Ab MatLab Ye Hua Ke Imam Abu Hanifa r.a ke MisL Hadees me Koi Doosra nahi tha… Aur Is Murad ki Taraf Imam Ibn Mubarak r.a ka Sahih Sanad se Wo QauL bhi Ishara Karta hai Ke Imam Abu Hanifa r.a ka QauL Sahabi r.a ke Asar ( QauL ) ki Tarah hai  ( Jab Koi Hadees Mojood na ho ) [ FazaiL Abi Hanifa r.a ]

Iske ALawa Ek Mautbar Sanad se Imam Ibn Mubarak r.a se ye bhi ManqooL hai ke Ye Na Kaho ke ye Imam Abu Hanifa r.a ka QauL hai ( BaLki ) Ye Kaho ke ye Hadees ki Tafseer hai ( Manaqib Muwaffiq 307 )

Iske ALawa Hazrat ALi Bin Is’haq r.a ne hi يتيما في الحديث ke ALfaz NaqaL Kare hain Aur Unhone hi في الحديث يقيم ke ALfaz bhi NaqaL Kare hain Jiska MatLab Hota hai Hadees me Mazboot ( AL KamiL Ibn Adi 237/8 )

In AqwaL ki Roshni me Ham Keh Sakte hain ke يتيما في الحديث se Murad Hadees me Yakta BeNazeer Murad Ho Sakta hai,  Kyonki Agar Imam Abu Hanifa r.a Hadees me Yateem hote to Imam Abu Hanifa r.a aur Unke AqwaL ko Imam Ibn Mubarak r.a itni Ahmiyat nahi dete…

Rahi Baat Ke Imam Ibn Abi Hatim r.a Ne Imam Ibn Mubarak r.a ke Waste se مسكينا في الحديث ke ALfaz bhi NaqaL kare hain .

To Arz hai ke Iski Sanad Hasan hai Jabki يتيما في الحديث NaqaL Karne waLi Sanad Sahih hai… Aur Is MamLe me Tarjih Sahih Sanadon ko di Jayegi Kyonki Wo Siqah Rawiyon ke Waste se ManqooL hai… aur AsaL ALfaz يتيما في الحديث Ke hain Jaise ke Imam ALi bin Is’haq r.a , Imam Muhammad bin Muzahim r.a aur Imam Is’haq bin Rahwiyah r.a Jaise Siqah ki Jama’at ne NaqaL Kare aur Ye Mumkin hai Ke Imam Ibn Abi Hatim r.a ki Sanad ke Rawi ne يتيما في الحديث ko Jarah Samjha ho aur Phir Riwayat biL Mayne Bayan Karte hue يتيما ki Jagah مسكينا ALfaz Bayan Kar diya ho… Kyonki Rawiyon me Jo Ahtiyat aur Zabt  Ahadees e RasooL a.s Bayan Karne me Paya Jata hai Wo Zabt Deegar AqwaL NaqaL Karne me nahi Paya Jata….

Lekin Agar Phir bhi Koi Shakhs is Baat ko na Mane to Ham Kahenge Ke Lughat me مسكين ke Mayne الخاضع ke bhi Aate hain Yani Tabedar ( تابعدار ) Obedient ( فرمانبردار ) … Jaisa ke Imam Ibn Manzoor Misri r.a Ne Lisan uL Arab 216/13 me NaqaL Kara hai

Ab مسكينا في الحديث ke Mayne Honge Hadees ki Tabedari,  Hadees me Ajizi Karne waLe

Lekin Agar Phir bhi Koi nahi Mane to Ham Kahenge ke Bohot se Bohot يتيما في الحديث se ye Murad Hoga ke Imam Abu Hanifa r.a Hadees ki Zyada Sanadon ko Jama Karne waLe nahi the… Yani Jis Tarah Muhaddiseen Ek Hadees ki Kai Kai Sanaden Jama Karte hain Is Tarah ka Ahtamam Imam Abu Hanifa r.a ne nahi kara… Lekin Isse Koi Farq bhi nahi Parta Kyonki Ek Faqih ka Kaam Hadees ki Sanaden Jama Karne ka nahi Hota BaLki Us Hadees ke Matan se MasaiL ka Istambat Unka HaL NikaLna AsaL Maqsad hota hai. Jaisa ke Imam Shafaii r.a ke Martabe se Kaun Inkar Kar Sakta hai… Aap Mujtahid Muhaddis Imam Hain … Lekin Iske Bawajood QaLeeL uL Hadees ( Hadees Kam Bayan Karne waLe )  hain , Jaisa ke Siqah Imam Abu Quddamah r.a Farmate hain … ( Tarikh e Baghdad 400/14 )

Jaisa ke Khud Imam Shafaii r.a ka QauL bhi hai Jise Imam Behqee r.a ne NaqaL Kara Imam Is’haq Bin Rahwiyah r.a se Munazre ke Bad Imam Shafaii r.a ne Unse Farmaya ke Jis Tarah Tumhe Ahadees ( Ki Sanaden ) Yaad hain Is Tarah Agar Mujhe Yaad hoti To Tamam AhLe Duniya par GhaLib aa jata ( Manaqib Shafaii 153/2 )

Ab Agar Yahan Imam Shafaii r.a ke QauL par Ghaur Karen to Ye Maloom hota hai ke Aap Ahadees ki Sanadon ko Kasrat se Yaad Karne waLe nahi the Lekin Iske Bawajood Unki Fiqah ko ALLaah ne Kya MaqbooLiyat Bakhshi Wo Kisi Se Chupi nahi hai…

Iske ALawa Imam Ibrahim Bin Saeed AL Johri r.a ka QauL bhi NaqaL Karna Behtar Mahsoos hota hai Wo Farmate hain ke Har wo Hadees Jo Mere Paas 100 Sanadon se na ho To Main Us Hadees me Khud To Yateem KhayaL Karta hoon ( Tarikh e Baghdad 618/8 )

IsLiye Agar Imam Abu Hanifa r.a bhi Ek Hadees ki MukhtaLif Sanadon ko Jama Karne waLe nahi the to ye Koi Aib ya Taz’eef ki Baat nahi… Kyonki Faqih ka Kaam MasaiL ka Istambat hai na ke Sanadon ko Jama Karna… Jaisa ke Imam Ibn Taimiyah r.a ne Imam Ahmad bin HambaL r.a ke HawaLe se NaqaL Kara ke Imam Ahmad r.a Farmate hain Hadees ki M’arifat aur Isme Tafaqqah Paida Karna Mujhe Sirf Iske Yaad Kar Lene se Zyada Mahboob hai ( Minhaj Us Sunnah 428/7 )

aur Jaisa ke Imam ALi bin Madini r.a se NaqaL Kara wo Farmate hain Ashraf tar ILm Ahadees ke Mutoon ( Matan ) me Tafaqqah paida karna Aur AhwaL ur Ruwat me M’arifat HasiL Karna hai ( Minhaj Us Sunnah 428/7 )

IsLiye Agar يتيما في الحديث se Murad Ahadees ki Sanadon ko Kasrat se Jama na Karna Murad ho to bhi Isse Imam Abu Hanifa r.a ki Taz’eef nahi hoti,  Kyonki Yateem fiL Hadees Ek To Jarah ka KaLimah nahi,  Doosre Sanadon ka Kam Hona Koi IshkaL ki Baat bhi nahi.

To MaLoom Hua ke يتيما في الحديث Koi Jarah nahi… aur Isse Imam Abu Hanifa r.a ki Taz’eef bhi Murad nahi …

Leave a comment