Imam Abu Hanifa r.a par Aitrazat aur Muhaddiseen ke Jawabat

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Imam Abu Hanifa r.a Par Sirf Aaj ke Daur me hi Aitraaz nahi ho rahe,  BaLki Unke hi Daur aur Bad ke Zamane me Bhi Unpar Aitraaz hote the,  Aur Aaj ke Daur ki Tarah Us Zamane ke Muhaddiseen Imam Abu Hanifa r.a par Aitrazat ke Jawabat bhi Dete the… Aaj Ham In sha ALLaah aise hi Waqiat ka Zikr Karenge…

1:- Imam Waki’i r.a se:  Imam Waki’i r.a Ki MajLis me Ek Shakhs ne Kaha ( Imam ) Abu Hanifa r.a ne Khata ki. Imam Waki’i r.a ne Kaha Ye Kaise TasLeem kiya Jaye ke Imam Abu Hanifa r.a ne Khata ki hai,  Jabki Imam Abu Yusuf r.a aur Imam Zufar r.a Jaise Qayas Dan aur Faqeeh aur Yahya Bin Abi Zaida r.a Aur Hafs Bin Ghayas r.a Jaise Hafiz e Hadees, Qasim Bin M’an r.a Jaise Lughat aur Arabiat ke Mahir,  aur Daood Tai r.a aur FuzeL Bin Ayaz r.a Jaise Zahid aur Muttaqi Inke Ham MajLis Hon To Imam Abu Hanifa r.a ki Khata Kaise TasLeem ki Ja Sakti hai Kyonki Inki Mojoodgi me Khata Karte Wo Unko Rahe Rast ( Sahih Raste ) ki Taraf Lauta Dete … ( Tarikh e Baghdad Sanad Sahih 365/16 )

Sanad ki Tehqeeq: – ( a ) Imam Hasan bin Muhammad AL KhaLLaL r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya  ( Tarikh e Baghdad 453/8 )

(b) ALi bin Amr AL Hariri r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 470/13 )

(c) ALi bin Muhammad Ibn Kas Nakhi’i r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 540/13 )

( d ) Najih bin Ibrahim r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hibban r.a ne Siqat me Inhe Zikr kara,  Iske ALawa Imam Abu Awana r.a ne Inse Riwayat Li aur Imam Ibn Adi r.a ne Inka ILm hote hue Inka Tarjuma Apni Kitab me nahi Likha Jo In Imamon ke Nazdeek Najih Bin Ibrahim r.a ke Siqah hone ki DaLiL hai.. ( Siqat Ibn Hibban )

( e ) Muhammad Bin Usman Bin Karamah r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Likha… ( Siar A’aLamin NubaLa 296/12 )

2:- Imam Ibn Mubarak se:  ( i ) Jab Ye Log ( Imam Abu Hanifa r.a par Aitraaz Karne waLe ) Imam Abu Hanifa r.a ka Tazkira Burai se Karte hain To Mujhe TakLeef hoti hai aur Main Darta hoon ke Imam Sahab r.a ki MukhaLifat karne ki Wajah se Kahin In Logon par ALLaah ka Azaab na NaziL ho jaye… ( FazaiL Abi Hanifa r.a 75 Sanad Sahih ) 

Sanad Ki Tehqeeq:  (a) Muhammad bin Ahmad bin Hammad Yani Abu Bishr DauLabi r.a Siqah hain . Jaisa ke Imam Zahabi r.a ke QauL se Wazeh hota hai… ( Siar A’aLamin NubaLa 309/14 )

(b) Ahmad bin Qasim AL Burti bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh E Baghdad 575/5 )

(c) ( Muhammad ) Ibn Abi Rizma bhi Siqah hain,  Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya. ( AL Kashif 216 )

(d) Abdan yani AbduLLaah Ibn Usman r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 605/5 )


3:- Imam Yahya Ibn Maeen r.a se: MusLim Bin Ibrahim ne Hazrat Hammad Bin SaLmah r.a Ko Kehte Hue Suna “ALLaah Abu Hanifa r.a ki FaLan FaLan Cheez Kaat De ” aur Ye Bat Kinayatan ( Ghair Haqiqi taur par ) nahi Kahi,  To Imam Yahya Ibn Maeen r.a ne Kaha Usne Bura Kaha Bura Kaha … ( SawaLat Ibn Junaid 318 )

4:- Imam Yahya Bin Saeed AL Qattan r.a se:  Yahya Ibn Maeen r.a Bayan Karte hain Maine Ek Shakhs ko Yahya Bin Saeed AL Qattan r.a se Imam Abu Hanifa r.a ke Bare me Daryaft Karte hue Suna SawaL Karne waLe ka Maqsad tha ke Wo Imam Abu Hanifa r.a ki Mazammat ( Burai )  Karenge , To Unhone Kaha ” ALLaah ki Qasam Ham Unke AqwaL me se Jis Cheez ko Mustahsan ( Behtar / Achcha )  Samajhte hain Use Ikhtiyar Kar Lete hain … ( AL Intiqa 203 Sanad Sahih )

Sanad ki Tehqeeq: (a) AbduL Waris bin Sufiyan r.a Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Siar A’aLamin NubaLa 84/17 )

(b) Qasim bin Asbagh r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Ammad r.a HambaLi ne Farmaya ( Shazarat uz Zahab 220/4 )

(c) Abu Bakar bin Abi Khaisma r.a yani Ahmad bin Zuhair bin Harb r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 481/6 )

( d ) Yahya Ibn Maeen r.a Kisi Tauseeq ke Mohtaj nahi…

5:- Imam Qasim Bin M’an r.a se:  Hujar Bin AbduL Jabbar r.a Bayan Karte hain Hazrat Qasim Bin M’an r.a se Kaha Gaya Aap ( Sahabi )  Hazrat AbduLLaah Bin Mas’ood r.a ki AuLad me se hain To Aap Is Baat par Kaise Razi Ho Jate hain Ke Aapka Shumar Abu Hanifa r.a ke Shagirdon me ho?  Hazrat Qasim Bin M’an r.a ne Farmaya ” Log Kisi Bhi Aise Shakhs ke Paas nahi Bethe Honge Jiski MehfiL Imam Abu Hanifa r.a ki MehfiL se Zyada Nafa Bakhsh Ho “… Phir Hazrat Qasim r.a Ne Usse Farmaya Tum Mere Sath Unke Paas ChaLna … Wo Shakhs Gaya Aur Imam Abu Hanifa r.a ke Paas Betha To Phir Unhi ke Sath Rehne Laga aur Usne Kaha ” Maine Un Jaisa Shakhs Nahi Dekha ” …. ( AL Intiqa Sanad Sahih )

Sanad ki Tehqeeq: (a) AbduL Waris bin Sufiyan r.a Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Siar A’aLamin NubaLa 84/17 )

(b) Qasim bin Asbagh r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Ammad r.a HambaLi ne Farmaya ( Shazarat uz Zahab 220/4 )

(c) Abu Bakar bin Abi Khaisma r.a yani Ahmad bin Zuhair bin Harb r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 481/6 )

( d ) SuLeman Bin Abi Shaikh r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Imam Abu Daood r.a ke HawaLe se NaqaL Kara… ( Tarikh uL IsLam 1148/5 )

( e ) Hujar Bin AbduL Jabbar r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hibban ne Siqat Me Inka Zikr Kara hai… ( Siqat Ibn Hibban )

6:- Imam Zufar r.a se: Imam Zufar r.a ki Jab Shadi Hui To Shadi ki Taqreeb me Nikah ka Khutba Parne KeLiye Imam Zufar r.a ne Imam Abu Hanifa r.a ko Dawat di aur Imam Abu Hanifa r.a ne Khutba e Nikah Para… Imam Zufar r.a ke Kuch Rishtedaron ne Shikayat ki ( Hamari ) Qaum ke Ashraf ( Shareef Logon ) ke Hote Hue Aapne Imam Abu Hanifa r.a Dawat Kyon di?  Imam Zufar r.a ne Jawab Diya ” Agar Mere WaLid bhi Yahan Hote to Main Imam Abu Hanifa r.a ko Unpar Muqaddam Rakhta ” ( Akhbar Abi Hanifa r.a Sanad Hasan )

Sanad ki Tehqeeq: – ( a ) ALi Bin Hasan AL Razi r.a Hasan uL Hadees hain Jaisa ke Imam Atiqi r.a aur Imam Saimri r.a ke AqwaL se MaLoom Hota hai ( Tarikh e Baghdad 323/13 )

( b ) Abu AbduLLaah Muhammad Bin Hussain AL Z’afrani r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 31/3 )

( c ) Abu Bakar bin Abi Khaisma r.a yani Ahmad bin Zuhair bin Harb r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 481/6 )

( d ) SuLeman Bin Abi Shaikh r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Imam Abu Daood r.a ke HawaLe se NaqaL Kara… ( Tarikh uL IsLam 1148/5 )

( e ) Amr Bin SuLeman AL Attar r.a bhi Siqah Hain Kyonki Inse Imam Shauba r.a , Imam Ahmad r.a ne Riwayat NaqaL ki hain Aur Ye Imam Apne Nazdeek Siqah se hi Riwayat  NaqaL Karte hain… ( Sharah M’aani uL Aasar, Maujam Ibn Muqri )

7:- Imam Abdur Razzaq r.a se:  Imam Abdur Razzaq r.a Bayan Karte hain ke Ek Shakhs ne Imam Abu Hanifa r.a se Kisi Mas’aLe ke Bare me Poocha Unhone Is Bare me Fatwa diya to Ek Shakhs ne Kaha Is Mas’aLe me Hazrat  Hasan Basri r.a ki Rai Ye hai … Imam Abu Hanifa r.a ne Kaha Hazrat Hasan Basri r.a ne GhaLti Kari… Ispar Us Shakhs ne BadKaLami ki … Imam Abu Hanifa r.a ne Farmaya Hazrat  Hasan Basri r.a ne GhaLti ki Hazrat AbduLLaah Bin Mas’ood r.a ki Rai Theek hai … ( Tarikh e Baghdad Sanad )

Sanad Ki Tehqeeq: – ( a ) AbduLLaah Bin Yahya AL Sukkari r.a Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Likha… ( Siar A’aLamin NubaLa 386/17 )

( b ) IsmaiL Bin Muhammad AL Saffar r.a bhi Siqah Hain Jaisa ke Imam Darqutni r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 301/7 )

( c ) Ahmad Bin Mansoor Ar Ramadi r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Farmaya ( Taqreeb uL Tehzeeb 100 )

( d ) Imam Abdur Razzaq bhi Siqah Hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar ne Farmaya ( Taqreeb uL Tehzeeb )

Imam Ibn AbduL Barr r.a ne AL Intiqa me bhi Ye Waqia NaqaL kara hai Wahan Ye ALfaz Zyada hain ke Imam Abdur Razzaq r.a ne Farmaya Bad me Jab Maine Is Mas’aLe ki Tehqeeq ki to Pata ChaLa Hazrat Ibn Mas’ood r.a ka QauL Wahi  tha Jo Imam Abu Hanifa r.a ne Jawab Diya tha…. ( AL Intiqa 209 )

Yahan Hamne Sirf Mutaqaddimeen se Mautbar Sanadon ke HawaLe NaqaL Kare hain,  Nahi to Iske ALawa Deegar Sanadon aur Mutakhireen Me se Imam Zahabi r.a , Imam Ibn Hajar r.a , Imam Sakhawi r.a aur Deegar Muhaddiseen se bhi HawaLe NaqaL Kare Ja Sakte hain…

Leave a comment