Kya Imam Abu Hanifa r.a Maza ALLaah Jahmi The?

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Imam Abu Hanifa r.a par Ye Tauhmat Lagayi Jati hai ke Wo Maza ALLaah Jahmi the Yani Jaham Bin Safwan ke Aqaid par the… Jabki Haqiqat me Imam Abu Hanifa r.a Na Jahmi the aur Na hi Jaham Bin Safwan Jaise BatiL Aqaid Rakhte the… Aaj Ki Post Me Ham Isi TaLLuq se MukhtaLif AqwaL wa HawaLon ka Jayza Lenge… In sha ALLaah

Imam Abu Yusuf r.a ke Waste se AqwaL Aur Unka Jayza – Imam Abu Yusuf r.a ke Waste se Jitne Bhi AqwaL hain Wo Sanadan aur Matan ke Lihaz se Sahih Nahi… Sanad aur Matan Dono me iLLaten hain…

1:- Imam Abu Yusuf r.a se Poocha Gaya Kya Imam Abu Hanifa r.a Jahmi the To Imam Abu Yusuf r.a ne Kaha ‘Haan’ … Iski Sanad Ki PehLi iLLat ye Hai Imam Abu Yusuf r.a ke Waste se Ye QauL NaqaL Karne WaLa Saeed Bin SaLam hai,  Lekin Riwayat Bayan Karne WaLe Rawi Kabhi Saeed Bin SaLam ka Naam Lete hain Ke Unhone Ye SawaL Imam Abu Yusuf r.a se Kiya Aur Kabhi Saeed ke WaLid SaLam ka Naam Lete hain Ke Unhone Ye SawaL Kiya… Yani Sanad me Iztirab hai Jo Sanad ko Zaeef Banata hai… Iske ALawa In Sanadon ke Rawi Bhi Siqah Sabt Nahi Jo Baat ko Sahih Se Mahfooz Kar Saken key AsaL Baat Poochi Kisne hai Saeed ne Ya Unke WaLid ne…

HawaLa Number 1 – Tarikh Baghdad 513/15 Aur Tarikh Jurjan aur Kitab uL Siqat 646/7 Par Riwayat Karne WaLa Rawi Muhammad Bin Saeed Bin SaLam MajhooL ” hai…Lihaza Ye Sanad Zaeef hai…

HawaLa Number 2 – M’arifat ut Tarikh 783/2aurTarikh e Baghdad 513/15 Par Hi Ye QauL Amr Bin Saeed bin SaLam ke Waste se Hai Aur Wo Apne Dada SaLam ke HawaLe se Ye QauL NaqaL Karta hai… Sanad ka Rawi Amr Bin Saeed MajhooL ” hai…Lihaza Ye Sanad bhi Zaeef hai…

HawaLa Number 3 – Akhbar uL Quzaat 258/3 Par Ye QauL FazaL Bin Saeed Bin SaLam ke Waste se ManqooL hai Aur ye Rawi Bhi ” MajhooL ” hai… Lihaza Ye Sanad bhi Zaeef hai…

HawaLa Number 4 – Tarikh Baghdad 530/15 Par Ye QauL Muhammad Bin Hasan Bin Ziyad ke waste se ManqooL hai …

Ye Rawi Manakir Riwayaat Karne waLa hai… Lihaza Ye Sanad bhi Sahih nahi…

HawaLa Number 5 – M’arifat ut Tarikh 782/3 Par Ye QauL Muhammad Bin M’az Basri Ke Waste se ManqooL hai…

Agarche Ye Rawi Siqah Hai Lekin Ise Waham bhi Hota hai Jaisa ke Imam UqaiLi r.a Aur Imam Ibn Hajar r.a ne Kaha hai…

Ye To hui Iski Sanadon ki Baat Ab Iske Matan ki Baat Karte hain Iska Matan bhi Imam Abu Yusuf r.a ke Waste se Sahih Sanad se MaqooL QauL ke KhiLaf hai Jise Imam Behqee r.a ne Apni Kitab Asma uL Sifaat Safah 656 me NaqaL Karne ke Baad Rawiyon ko Siqah Kaha… Jisme hai Imam Abu Yusuf r.a se Poocha Gaya Kya Imam Abu Hanifa r.a Jaham Jaisi Rai ( Soch / Aqeedah)  Rakhte The To Imam Abu Yusuf r.a ne Kaha Maza ALLaah ( Yani Wo Aisi Soch Ya Aqeedah Nahi Rakhte the ) Main Bhi Aisi Soch Nahi rakhta…

Iske ALawa Ye SawaL Bhi Uth’ta hai Ke Agar Imam Abu Yusuf r.a ke Nazdeek Imam Abu Hanifa r.a Jaham Jaisa Aqeedah rakhte The To Imam Abu Yusuf r.a ne Unhe Tark Kyon Nahi Kar diya tha,  Kyonki Imam Abu Yusuf r.a Imam Abu Hanifa r.a Ki Fiqah Ke Mutabiq Kitaben Likhte The Jiski Wajah se Duniya me Fiqah Hanfi ko PheLne ka Mauqa miLa… Kya Wajah Thi Ke Imam Abu Yusuf r.a Apne WaLid ke Sath Imam Abu Hanifa r.a Ki Maghfirat Ki Dua Karte The… Jaisa ke Akhbar uL Quzaat 258/3 Par Hasan Sanad se Mojood hai…

Iske aLawa Ek QauL Imam Yahya Bin Maeen r.a ka Tarikh Baghdad 580/15 par Mojood hai Jisme Unhone Imam Abu Hanifa r.a ko Jahmi Kaha hai , Lekin Iski Sanad Bhi Zaeef Hai Kyonki Sanad ka Rawi Nasr Bin Muhammad Baghdadi MajhooL hai…

Iske aLawa Imam Abu Zur’a r.a ne Imam Abu Hanifa r.a Ko Jahmi Kaha hai Lekin Ye QauL bhi Hujjat nahi Kyonki Ye QauL BiLa DaLiL hai,  Imam Abu Zur’a r.a ne Imam Abu Hanifa r.a ke Jahmi Hone ki DaLiL Nahi di…

Iske aLawa Ham Imam Abu Hanifa r.a aur Jaham Bin Safwan Ke Aqaid me Kuch Wazeh Farq Bata Dete hain Jisse Wazeh Ho Jaye ke Imam Abu Hanifa r.a ke Jaham Bin Safwan Jaise Aqaid nahi…

1:- Imam Abu Hanifa r.a Ke Nazdeek Eiman Naam hai Zaban se Iqrar Aur DiL se Tasdeeq ka Jabki Jaham Ke Nazdeek Eiman Sirf M’arifat QaLb ( DiL ) Hai Banda Zaban se Inkar Karne ke Bawajood KamiL Eiman waLa Rehta hai…

2: – Imam Abu Hanifa r.a ke Nazdeek Qur’aan KaLam uLLaah aur Ghair MakhLooq hai Jabki Jaham ke Nazdeek Qur’aan MakhLooq hai…

3:- Imam Abu Hanifa r.a ke Nazdeek Log A’amaL me Ek Doosre se AfzaL aur Kamtar hain Jabki Jaham ke Nazdeek Eiman ke Baad Kisi Nek A’amaL Ki Zaroorat nahi…

4:- Imam Abu Hanifa r.a ALLaah Ki Sifat ka Inkar Nahi Karte Jabki Jaham ALLaah Ki Sifat ka Inkar Karta hai…

5:- Imam Abu Hanifa r.a ke Nazdeek Insan ke Gunah Nuqsandeh hai Jiski saza bhi Use miLegi aur Jabki Jaham Ke Nazdeek Insan ka Eiman Nabiyon Ki Tarah hai Chahe Wo Kuch bhi ( Gunah ya Kufr ) Kare…

6:- Imam Abu Hanifa r.a Hazrat Ibrahim r.a Ko KhaLiL uLLaah Aur Hazrat Moosa a.s Ko KaLim uLLaah Mante hain Jabki Jaham Iska Munkir hai…

7:- Imam Abu Hanifa r.a ke Nazdeek Jannat aur Jahannum Fana ( Khatm ) Hone waLi Nahi Jabki Jaham Ke Nazdeek Jannat aur Jahannum Fana Ho Jayengi …

Iske aLawa Imam Abu Hanifa r.a Jaham Bin Safwan ke In BatiL Aqaid ki Wajah se Use Kafir Kehte hain Jaisa ke Tarikh Baghdad 515/15 Par Mojood hai… To Jo Shakhs Imam Abu Hanifa r.a ke Nazdeek Kafir ho Imam Abu Hanifa r.a Us Jaise Aqaid Kaise Rakh Sakte hain… Rahi Baat Ke Unki Taraf Jahmi Hone ki Nisbat ki Gayi hai To Aise To Bishr Bin aL Sirri r.a Ko bhi Jahmi Kaha gaya hai Jabki Yahya Bin Maeen r.a Kehte hain Maine Unhe K’aba ke Samne Dekha ke Wo ALLaah ki Panah Mang rahe the Jaham Jaise Aqaid se Jabki Log Unki Taraf Jahmi hone ki Nisbat Karte The…

One thought on “Kya Imam Abu Hanifa r.a Maza ALLaah Jahmi The?

Leave a comment