Imam Abu Hanifa r.a ka Qur’aan Ko MakhLooq Kehna Sabit nahi

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Imam Abu Hanifa r.a par Ek Ye Aitraaz Kiya Jata hai ke Aap Qur’aan ke MakhLooq Hone ke QayaL hain Jabki DaLaiL ki Roshni me ye Baat BiLkuL ghaLat hai… Imam Abu Hanifa r.a ka Qur’aan ko MakhLooq Kehna Sabit nahi…

Yahan Ek Wazahat Zaroori hai aur Wo Ye Ke Qur’aan Ko MakhLooq Kehna ULama ke Nazdeek Kufr hai Aur Kisi ki Taraf Kufr ki Nisbat Karna Bohot Bara Mas’aLa hai … Iske Liye Kisi Aise Shakhs ki Zaroorat hai Jisne Khud Imam Abu Hanifa r.a ko Qur’aan ko MakhLooq Kehte hue Suna ho , Kisi NaqaL Karne waLe ya Kisi ka Imam Abu Hanifa r.a ki Taraf Nisbat Karne se Kaam nahi ChaLega… Aur Ham Dekhte hain Ke Is Mas’aLe me Dono Hi MamLon me ( Yani Khud Imam Abu Hanifa r.a ka Qur’aan ko MakhLooq Kehna ya Kisi Ka Unki Taraf Iski  Nisbat Karna ) Sahih Sarih Sanad se Sabit nahi …. Ab Jo AqwaL Is Talluq se Kitabon me Darj hain Unka Jayza Lete hain

1:- Imam Hammad r.a ke Waste se:  Imam Hammad r.a Kehte hain Ke Maine Imam Abu Hanifa r.a ko Kehte hue Suna Ke Qur’aan MakhLooq hai … ( AL Majrooheen 406/2 , Tarikh e Baghdad 520/15 )

Jawab:  Is QauL ki Sanad Sahih nahi … Iski Sanad ke Rawi Sufiyan bin Waki’i r.a par Kafi KaLam hai Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Meezan uL AitdaaL 173/2 me NaqaL Kara…

Iske ALawa Sanad ke Rawi Umar Bin Hammad bhi MajhooL hain…

Lihaza Is QauL ki Sanad Zaeef hai

2:- Imam Yahya Bin AbduL Hameed r.a ke Waste se: Imam Yahya r.a Kehte hain Ke Maine 10 Siqat se Suna Unhone Imam Abu Hanifa r.a se Suna Ke Qur’aan MakhLooq hai… ( Tarikh e Baghdad 519/15 )

Jawab: Iski Sanad bhi Sahih nahi , Sanad ke Rawi Qatan bin Ibrahim ke Bare me Wazahat ki gayi hai ke Ye Jab Mautbar hain Jab Kitab se Riwayat Karen  Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara ( Meezan uL AitdaaL 390/3 )

Iske ALawa Imam Yahya r.a ne Un 10 Logon ke Naam Nahi Bataye Jinse Unhone ye Baat Suni IsLiye Ye Log MajhooL Shumar honge Kyonki Kisi ke bhi Naam ki Wazahat nahi ke wo 10 Siqah Log Kaun the…

Khud Imam Abu Hanifa r.a ke Sirf Ye 2 QauL hain Jisme Unhone Qur’aan ko MakhLooq Kaha aur Dono QauL Sanad ke Lihaz se Zaeef hain….

3:- Imam IsmaiL bin Hammad r.a ke Waste se:  Imam IsmaiL Bin Hammad r.a ne Kaha ke Qur’aan MakhLooq hai Yahi Mere WaLid Imam Hammad r.a ki Rai hai aur Yani Mere Dada Imam Abu Hanifa r.a ki Rai hai ( Tarikh e Baghdad 520/15 , Tarikh e Baghdad 218/7 , AL KamiL 509/1 , AL Muntazim 250/10 )

Jawab:  Tarikh e Baghdad 520/15 ki Sanad ka Rawi Hussain Bin AbduL AwwaL Zaeef hai Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara … ( Meezan uL AitdaaL 539/1 )

Doosri Aur Aham Baat ke Sanad me Inqita’a hai Kyonki Imam IsmaiL r.a ne Imam Abu Hanifa r.a se Nahi Suna… Lihaza Ye AqwaL bhi Sanad ke Lihaz se Zaeef hain….

4:- Imam Hammad Bin Abi SuLeman r.a ke Waste se: Imam Abu Hanifa r.a ke Ustad Imam Hammad r.a bhi Imam Abu Hanifa r.a ki Taraf Qur’aan ke MakhLooq hone ki Nisbat Karte hain… ( Musnad Ibn AL J’ad 66,  Tarikh e Baghdad 522/15 )

Jawab:  Musnad Ibn aL J’ad aur Tarikh e Baghdad ki Sanadon me Zirar Bin Surad Rawi hai Jisko Imam Bukhari r.a ne Matrook Kaha Aur Imam Ibn Maeen r.a ne Kazzab Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara ( Meezan uL AitdaaL 327/2 )

Iske ALawa Musnad Ibn aL J’ad ki Doosri Sanad ka MamLa Kafi Garbar hai Usme Imam AbduLLaah Bin Ahmad r.a 100% sure nahi ke Unhone Ye QauL Imam Ibn Aun r.a se Suna Phir Imam Ibn Aun r.a ka bhi Yahi MamLa hai ke wo 100 % sure nahi Ke Unhone ye qauL AbduL Quddus Bin Bakar se Suna hai Iske ALawa Rawi AbduL Quddus Bin Bakar Ki Tauseeq ko Imam Zahabi r.a Ne Ghair Mautbar Hone ki Taraf Ishara Kiya hai … ( AL Kashif 660 )

Iske ALawa Tarikh e Baghdad ke Muhaqqiq Bashar AL Awwad ke Mutabiq Imam Hammad r.a ka IntiqaL KhaLq uL Qur’aan ke Mas’aLe se PehLe hi ho gaya tha,  Jaisa ke Unhone Tarikh e Baghdad 521/15 ke Hashiye me Likha hai… Lihaza In AqwaL Ki Sanaden bhi Zaeef hain

5:- ( a ) Imam Abu Yusuf r.a ke Waste se:  Imam Abu Yusuf r.a Farmate hain ke Qur’aan ko Sabse PehLe MakhLooq Kehne WaLe Imam Abu Hanifa r.a hain… ( Tarikh e Baghdad 518/15 )

Jawab: Is QauL ki Sanad aur Matan Dono me Iztirab hai… PehLe Baat Karte hain Sanad ki… Is QauL ki Sanad me Is’haq Bin Abdur Rahmaan MajhooL hai… IsLiye Ye Sanadan Zaeef Hai Iske ALawa Iske Matan me bhi Iztirab hai Isi Sanad se Ye QauL Akhbar uL Quza me bhi Mojood hai Wahan Imam Abu Yusuf r.a ka QauL hai Ke Qur’aan ko Sabse PehLe Ghair MakhLooq Kehne waLe Imam Abu Hanifa r.a hain… ( Akhbar uL Quza 653 )

Iski Sanad aur Matan ka Iztirab ise Zaeef Banata hai…

Note:  Imam Ibn Hibban r.a ki Kitab me Sanad me se Rawi Is’haq Bin Abdur Rahmaan Gir gaya hai Yani NaqaL Karne se Reh gaya hai… Kyonki Is QauL ko Imam Abu Yusuf r.a se NaqaL Karne WaLe Hasan Bin Abi MaLik r.a hain, Phir Unse Is’haq Bin Abdur Rahmaan Is QauL ko NaqaL Karte hain Jaisa ke Tarikh e Baghdad 518/15 ke Sath Akhbar uL Quza 693 me hai aur Jaisa ke Kitab Us Sunnah ke ( Ghair Sabit ) Nuskhe me hai … Jo Is Baat ki DaLiL hai ke Is’haq Is QauL ka Markazi Rawi hai Lekin Imam Ibn Hibban r.a ki Kitab aL Majrooheen me Ye Rawi Choot gaya hai IsLiye Uski Sanad bhi AsaL me Zaeef Hi Hai…

Iske ALawa Qur’aan ko Sabse PehLe MakhLooq Kehne waLa J’ad bin Dirham hai,  Phir Jaham bin Safwan ne Aisa Kaha… Jaisa ke Sharah UsooL Aitqaad AhLe Sunnat WaL Jama’at me Imam AbuL Qasim aL LaLkai r.a ne Imam Abu Hatim r.a ke HawaLe se  NaqaL Kara ke Qur’aan ko Sabse PehLe MakhLooq Kehne waLa J’ad bin Dirham hai… ( Sharah UsooL Aitqaad AhLe Sunnat WaL Jama’at 316 )

Imam AbuL Qasim r.a ne Hi Likha ke A’imah ke Nazdeek Isme IkhtiLaf nahi ke Qur’aan ko Sabse PehLe MakhLooq Kehne waLa J’ad bin Dirham hai … ( Sharah UsooL Aitqaad AhLe Sunnat WaL Jama’at 256 )

Yahi Baat Imam Ibn Kasir r.a ne bhi Likhi hai… ( aL Bidayah wan Nahayah )

Lihaza Imam Abu Hanifa r.a ke Bare me Kehna Ke Unhone Sabse PehLe Qur’aan ko MakhLooq Kaha Bilkul GhaLat hai Jabki Ye Baat Aapse Sabit hi nahi…

( b ) Imam Abu Yusuf r.a se Poocha Gaya ke Imam Abu Hanifa r.a Qur’aan ke Bare me Kya Kehte the Imam Abu Yusuf r.a ne Kaha Wo Qur’aan ko MakhLooq Kehte the… ( Tarikh e Baghdad 519/15 )

Jawab:  Is Sanad ke Rawi AbuL Qasim Baghawi r.a Agarche Siqah hain Lekin Kitab ke Muhaqqiq Bashar aL Awwad Sahab ne Unke Bare me Imam Zahabi r.a ki Kitab Meezan uL AitdaaL se NaqaL Kara ke Aap Kharab Zaban waLe the Siqah Rawiyon ke Bare me ( Bewajah ) KaLam Karte the… Imam Ibn Adi r.a ne Likha ke AhLe ILm aur Mashaikh Inke Zauf par Muttafiq the… Lihaza Is Sanad se Hujjat Qayam nahi Ho Sakti …

Lekin Phir bhi Koi Hamari Baat na Mane to Ham Kahenge ke Ye QauL Shaz hai, Imam Abu Hanifa r.a aur  Imam Abu Yusuf r.a ke Talluq se Kai Sahih aur Hasan Sanadon se ManqooL hai ke Aap Qur’aan ke Ghair MakhLooq Hone ke QayaL the… IsLiye Un Sanadon ke Samne Is Sanad ki Koi Ahmiyat nahi….

( c ) Imam Abu Yusuf r.a se Poocha Gaya ke Aap Imam Abu Hanifa r.a se Riwayat Kyon nahi Karte, Ispar Imam Abu Yusuf r.a ne Farmaya Jab Wo Faut hue to Ye Nazariya Rakhte the Ke Qur’aan MakhLooq hai… ( Tarikh e Baghdad 519/15 )

Jawab:  Is qauL ki Sanad Sahih nahi Iska ek Rawi Umar bin Hasan Qazi Zaeef hai Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara ( AL Mughni Fi Zuafa 38/2 )

Iske ALawa Sahih Sanad se Sabit hai ke Imam Abu Hanifa r.a Apne Akhiri Waqt tak Qur’aan ke Ghair MakhLooq hone ke QayaL the… Jaisa ke Imam Behqee r.a ne Asma WaL Sifat me NaqaL Kara

6:- SaLamah bin Amr Qazi ke Waste se : SaLamah Bin Amr Qazi Kehte hain ke ALLaah Imam Abu Hanifa r.a par Raham Na Kare Wo Kyonki Unhone Sabse PehLe Qur’aan ke MakhLooq hone ka Nazariya Diya hai… ( Tarikh e Baghdad 518/15 )

Jawab: Iski Sanad ka Rawi Abu Mus’hir r.a Khud Qur’aan ke MakhLooq hone ka Nazariya rakhte the Unki Baat Imam Abu Hanifa r.a ke KhiLaf Kaise QubooL Ho Sakti hai Jabki Unhone Ye Baat SaLamah Bin Amr se Sunne ki bhi Wazahat nahi Ki…

Iske ALawa SaLamah bin Amr Ka Siqah Hona Sabit nahi… Lihaza Ye Sanad bhi Zaeef hai …

7:- Ahmad Bin Yunus ke Waste se:  Ahmad bin Yunus ka Kehna Hai ke Eisa Bin Moosa r.a ki MajLis me Imam Abu Hanifa r.a ne Qur’aan Ko MakhLooq Kaha ( Tarikh e Baghdad 520/15 )

Jawab:  PehLi Baat to Ye hi nahi MaLoom ke Ye Ahmad bin Yunus Kaun hai Aur Na hi In QauL se Pata ChaLta hai Ke Ahmad bin Yunus Khud MajLis me ShamiL tha bhi ya nahi… Yahi Baten In AqwaL ko Zaeef Banane keLiye Kafi hain….

Lekin Iske ALawa Is QauL ki PehLi Sanad me Umar Bin Hasan Qazi hai Jo Zaeef hai Jaisa ke PehLe Guzar Chuka ….

Iski Doosri Sanad Abu Muhammad Shaikh MajhooL hai IsLiye Ye QauL bhi Zaeef hai… Lihaza MaLoom Hua Ahmad bin Yunus Ke Waste se Mojood AqwaL bhi Zaeef hain…

8:- Imran Bin Abi LaiLa r.a ke Waste se:  Imran Bin Abi LaiLa r.a Ka Kehna hai ke Imam Abu Hanifa r.a ne Ek Jama’at ke Samne Shahadat di ke Qur’aan MakhLooq hai… ( Akhbar uL Quza 581 )

Jawab:  Imran Bin Abi LaiLa r.a ke Bayan se ye Baat MaLoom nahi hoti ke us Jama’at me Wo Khud bhi ShamiL the ya nahi Yani Ye Baat Unhone Khud Suni ho Iski Wazahat nahi…

Iske ALawa Is Sanad ke Rawi Abdur Rahmaan Bin Muhammad Harsi ke Bare me Imam Zahabi r.a ne Likha ke Ye Aisi Baten Riwayat Karta hai Jiska Koi Mutabe ( Supporter ) nahi Hota,  Imam Darqutni r.a bhi Ispar Jarah Karte hain… ( Meezan uL AitdaaL 587/2 )

Lihaza Iski Sanad bhi Zaeef hai ….

9:- SuLeman bin FuLeh ke Waste se:  SuLeman Bin FuLeh ka Kehna hai Ke KhaLid Qasari ne Imam Abu Hanifa r.a se Tauba Karayi,  Aage NaqaL Kiya gaya ke wo Tauba Qur’aan ko MakhLooq Kehne ki Wajah se thi…. ( Tarikh e Baghdad 523/15 )

Jawab:  Iski Sanad ka Rawi Muhammad Bin FuLeh Zaeef Hai Jaisa ke Muhaqqiq ne wazahat ki…. Iske ALawa Iska Bhai SuLeman Bin FuLeh bhi MajhooL hai Jaisa ke Imam Abu Zur’ah r.a ne Kaha ( Jarah wa T’adeeL 135/2 )

MaLoom Hua Iski Sanad bhi Zaeef hai

10:- Imam Ahmad r.a ke Waste se: Imam Ahmad r.a Farmate hain ke Inko ( Imam Abu Hanifa r.a ) Tauba karayi Gayi Mere KhayaL me Is Aayat ke Talluq se thi Sub’hana Rabbika Rabb iL Izzati Amma Yasifoon Aap ( Imam Abu Hanifa r.a ) ne Kaha Ye MakhLooq hai… ( aL ILaL 546/2 )

Jawab:  PehLi Baat to Imam Ahmad r.a ko Khud KamiL Yaqeen nahi Ke Imam Abu Hanifa r.a se Tauba Isi Wajah se Karayi gayi thi ya nahi,  Unhone Apna KhahaL Apna Imkan Zahir Kiya hai… Iske ALawa ye bhi nahi MaLoom ke Untak Ye Baat Kis Sanad ke Zariye Pohonchi hai… Lihaza Ye QauL Hujjat nahi  ….

Iske ALawa Khud Imam Ahmad r.a se ManqooL hai Ke wo Farmate hain Ke Ye Baat Sahih ( Sabit ) nahi ke Imam Abu Hanifa r.a ne Qur’aan ko MakhLooq Kaha hai ( Tarikh e Baghdad )

Iske ALawa Imam Ibn Taimiyah r.a bhi AhLe Sunnat WaL Jama’at ke Aitqaad ( Aqeedah ) ka Zikr Karte hue Imam Abu Hanifa r.a , Imam Abu Yusuf aur Imam Muhammad r.a ke Bare me Wazahat Karte hain ke ye Log Qur’aan ko KaLam ULLaah Samajhte the… ( Fatawa tuL Kubara 32/5 )

In Tamam HawaLon se ALhamduLiLLaah Sabit Hua Ke Imam Abu Hanifa r.a ka Qur’aan Ko MakhLooq Kehna Sabit nahi….  

Leave a comment