Imam Abu Hanifa r.a ke Nazdeek Qur’aan Ghair MakhLooq hai

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Imam Abu Hanifa r.a par Ye Aitraaz Kiya Jata hai ke Aap Qur’aan ke MakhLooq hone ke QayaL hain Jabki Aapse Sahih Sanad se Qur’aan ke Ghair MakhLooq aur KaLam ULLaah hone ka Suboot miLta hai, Jiska Aaj Ham Tazkira Karenge In sha ALLaah …

1:- Imam Ibn Karamah r.a Kehte hain ke Imam Ibn Mubarak r.a Imam Abu Hanifa r.a ke Paas Aaye , To Imam Abu Hanifa r.a ne Unse Kaha , ‘ Tumhare Yahan ( Khurasan me ) Ye Kya Baten ChaL Rahi hain ? Imam Ibn Mubarak r.a ne Kaha Ek Aadmi hai Jise Jaham Kaha Jata hai , Imam Abu Hanifa r.a ne Kaha Uska Kya Kehna hai ? Imam Ibn Mubarak r.a ne Kaha Wo ( Jaham )  Kehta hai ke Qur’aan MakhLooq hai , To Imam Abu Hanifa r.a ne Kaha ” Bari Sangeen ( Khatarnak ) Baat hai Jo Uske Munh se nikaL rahi hai Jo Kuch Wo Keh rahe hain Wo Jhoot ke Siwa Kuch nahi ” … ( Tarikh e Baghdad 517/15 )

Fayda:  Yahan 2 Aham Baten Samne Aayi

1- Qur’aan Ko MakhLooq Kehne waLa Jaham bin Safwan hai

2- Imam Abu Hanifa r.a ne Uski Is Baat ko Jhoot Kaha Yani Khud Imam Abu Hanifa r.a Qur’aan ko Ghair MakhLooq Mante the

Sanad ki Tehqeeq: – ( a ) Imam Hasan bin Muhammad AL KhaLLaL r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya  ( Tarikh e Baghdad 453/8 )

(b) ALi bin Amr AL Hariri r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 470/13 )

(c) ALi bin Muhammad Ibn Kas Nakhi’i r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 540/13 )

( d ) Najih bin Ibrahim r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hibban r.a ne Siqat me Inhe Zikr kara,  Iske ALawa Imam Abu Awana r.a ne Inse Riwayat Li aur Imam Ibn Adi r.a ne Inka ILm hote hue Inka Tarjuma Apni Kitab me nahi Likha Jo In Imamon ke Nazdeek Najih Bin Ibrahim r.a ke Siqah hone ki DaLiL hai.. ( Kitab Siqat 220/9 )

( e ) Muhammad Bin Usman Bin Karamah r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Likha… ( Siar A’aLamin NubaLa 296/12 )

Lihaza Ye Sanad Sahih hai…

2:- Muhammad Bin Sabiq r.a kehte hain Maine Imam Abu Yusuf r.a se Poocha Kya Imam Abu Hanifa r.a Qur’aan ko MakhLooq Kehte the ? Imam Abu Yusuf r.a ne Kaha ALLaah ki Panah ( Yani Wo Aisa nahi Kehte the ) Main bhi Aisa nahi Kehta … Maine ( Ibn Sabiq r.a ) ne Kaha Kya Wo Jaham waLe KhayaLat rakhte the ? Unhone ( Imam Abu Yusuf r.a ) ne Kaha ALLaah ki Panah ( Wo aise KhayaLat nahi rakhte the ) Main bhi aisa nahi Kehta… ( Asma waL Sifaat 656 )

Sanad ki Tehqeeq:  Imam Behqee r.a ne qauL ko NaqaL Karne ke Baad Iske Rawiyon ko Siqah Kaha hai Sirf Yahi Baat bhi Is Sanad ke Sahih hone keLiye kafi hai Lekin Phir bhi Iske Rawiyon ki Tauseeq Pesh kar dete hain …

( a ) Muhammad bin Muhammad bin Yusuf bin Ibrahim Siqah hain , Imam Behqee r.a ne Is qauL ko NaqaL Karne ke Baad Tauseeq Kar di hai,  Iske ALawa Imam Hakim ne Inki Hadees ko Sahih uL Isnad Kaha hai aur Imam Zahabi r.a ne bhi Hadees ko Sahih Kaha hai… ( Mustadrak AL Hakim )

( b ) Qasim bin Abi SaLeh Hamdani r.a Sudooq hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Kaha hai ( Tarikh uL IsLam 720/7 )

( c ) Muhammad bin Ayyub AL Razi r.a bhi Siqah Hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara ( Tarikh uL IsLam 1018/6 )

( d ) Muhammad Bin Sabiq r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL kara ( Tarikh uL IsLam 437/5 )

( e ) Imam Abu Yusuf r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Yahya bin Maeen r.a , Imam Nasai r.a , Imam Ahmad bin HambaL r.a , Imam Behqee r.a Wagherah ne Kaha hai

Lihaza Iski Sanad Hasan hai….

Fayda : Is QauL se MaLoom hota hai Ke Ye Imam Abu Hanifa r.a ke IntiqaL ke Baad ka Waqia hai Yani Imam Abu Hanifa r.a Apne Akhiri Waqt tak Qur’aan ko Ghair MakhLooq Mante the…

3:- Imam Abu SuLeman Jozjani r.a aur MuaLLa Bin Mansoor r.a Kehte hain ke Imam Abu Hanifa r.a , Imam Abu Yusuf r.a , Imam Muhammad r.a aur Imam Zufar r.a me Qur’aan ke Bare me Lab Kushai nahi ki ( Uske Bare me KaLam nahi kiya ) , Bishr AL Marisi aur Ibn Abi Duwad ne Is Bare me Lab Kushai ki ( Qur’aan ko MakhLooq kaha ) aur Imam Abu Hanifa r.a aur Unke As’haab ki Shaan ko Majrooh kiya ( Tarikh e Baghdad 518/15 )

Sanad Ki Tehqeeq : ( a ) Imam Hasan bin Muhammad AL KhaLLaL r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya  ( Tarikh e Baghdad 453/8 )

(b) ALi bin Amr AL Hariri r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 470/13 )

(c) ALi bin Muhammad Ibn Kas Nakhi’i r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 540/13 )

In Sab ki Tauseeq ke Scan Upar Guzar Chuke…

( d ) Muhammad bin Shazan aL Johri r.a hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara ( Tarikh uL IsLam 806/6)

( e ) MuaLLa bin Mansoor aL Razi r.a Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara ( Tarikh uL IsLam 461/5)

Iske ALawa Abu SuLeman Jozjani r.a Yani Moosa bin SuLeman Sudooq hain Jaisa ke Imam Abu Hatim r.a ne Kaha…

Lihaza Iski Sanad Bhi Sahih hai… Ye bhi Imam Abu Hanifa r.a ke IntiqaL ke Baad ka Waqia MaLoom Hota hai…

4:- Imam Zahabi r.a ne Imam Ibn Abi Hatim r.a ki Kitab ( Radd aLa Jahmiyah ) se NaqaL karaImam Abu Yusuf r.a Kehte hain Maine Imam Abu Hanifa r.a se 6 Mahine Munazara kiya aur Phir Ham Is Baat par Muttafiq ho gaye ke Jo Kahe Qur’aan MakhLooq hai Wo Kafir hai… ( Mukhtasar AL ULuw Zahabi 155 ) 

Sanad ki Tehqeeq : ( a ) Imam Ibn Abi Hatim r.a Siqah aur Jarah wa T’adeeL ke Imam Hain ( Tarikh uL IsLam 533/7)

( b ) Ahmad bin Muhammad bin MusLim Ansari r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Hakim r.a ne NaqaL Kara ( Mustadrak aL Hakim 441/4)

( c ) ALi bin Hasan aL Tamimi r.a Sudooq hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Kaha ( Taqreeb uL Tehzeeb 692 )

Lihaza Iski Sanad Hasan hai…

5:- Imam Abu Yusuf r.a Farmate hain Maine ek saaL tak Imam Abu Hanifa r.a se MamLe me Baat ki Qur’aan MakhLooq hai ya nahi… Bas Meri aur Unki Rai Is par Muttafiq ho gayi ke Jo Qur’aan Ko MakhLooq Kahe wo Kafir hai ( Asma WaL Sifaat 656 )

Sanad ki Tehqeeq : ( a ) Abu AbduLLaah aL Hafiz Yani Imam Hakim r.a Siqah hain Jaisa ka Imam Khatib Baghdadi r.a ne Kaha ( Tarikh e Baghdad 503/3)

( b ) Abu Saeed Ahmad bin Y’aqoob aL Saqafi r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Hakim r.a ne Inki Hadees ko MusLim ki Shart par Kaha hai aur Imam Zahabi r.a Ne Unki Muwafiqat ki hai( Mustadrak aL Hakim 410/1)

( c ) AbduLLaah bin Abdur Rahman aL Dashtaki r.a Ko Siqah Imam Hakim r.a ne Kaha hai Jaisa ke Is QauL ko Bayan Karne ke Baad Imam Hakim r.a ne iske Rawiyon ko Siqah Kaha hai….

( d ) Abdur Rahman aL Dashtaki r.a Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Kaha ( Taqreeb uL Tehzeeb 585 )

( e ) Imam Abu Yusuf r.a ki Tauseeq Guzar Chuki….

Lihaza PehLe WaLe QauL ki Roshni me Ye QauL bhi Sahih hai…

6:- Imam Sufiyan Sauri r.a aur Imam Abu Hanifa r.a Farmate hain Ke Qur’aan KaLam ULLaah Ghair MakhLooq hai …. ( Tarikh e Baghdad 517/15 )

Is QauL ke Rawiyon ki Tauseeq Hame nahi miL saki Lekin Isse PehLe Jo AqwaL Pesh kiye Gaye Unki Roshni me ye Baat Durust Nazar aati hai…. Shayad IsLiye Muhaqqiq ne Sanad ko Hasan Kaha hai…

7 :- Imam Ahmad Bin HambaL r.a Farmate hain ke Hamare Nazdeek Imam Abu Hanifa r.a ke Talluq se Ye Baat Sahih ( Sabit ) nahi Ke Unhone kaha Qur’aan MakhLooq hai… ( Tarikh e Baghdad 517/15 ) 

Sanad ki Tehqeeq:   ( a ) Imam Hasan bin Muhammad AL KhaLLaL r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya  ( Tarikh e Baghdad 453/8 )

(b) ALi bin Amr AL Hariri r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 470/13 )

(c) ALi bin Muhammad Ibn Kas Nakhi’i r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 540/13 )

In Sab ki Tauseeq ke Scans Upar Guzar Chuke…

( d ) Abu Bakar aL Marwazi r.a Yani Ahmad bin ALi Qurshi Bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Kaha ( Taqreeb uL Tehzeeb 95 )

Lihaza Iski Sanad bhi Sahih hai…

In Tamam HawaLon se Sabit Hua ke Imam Abu Hanifa r.a ke Nazdeek Qur’aan KaLam ULLaah aur Ghair MakhLooq hai…

Leave a comment