Ameer e Muawiya Rdh. ki Fazilat me SAHEEH aur Maqbool Ahadees Part 2.

Paanchwi Hadees :

Imam Tabraani Al Mutawaffa 360 Hij. Farmaate hain ke

حدثنا علي بن سعيد الرازي قال: نا محمد بن قطن الرملي قال: نا مروان بن معاوية الفزاري، عن عبد الملك بن أبي سليمان، عن عطاء، عن ابن عباس قال: جاء جبريل إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا محمد استوص معاوية، فإنه أمين على كتاب الله، ونعم الأمين هو

Hazrat Ibn Abbas Rdh. Farmaate hai ke Hazrat Jibraeel AS, Nabi SAW ke Paas Aaye aur Kaha : ke Aye Muhammed SAW ! Muawiya Rdh. ke bare Wasiyat ki Jiye, wo Kitaab ul Ullah ke Ameen hain aur wo Behtireen Ameen hain. (Al Mujjam ul Ausat : Jild 4 : Safa 174, Wal Lafza lahu, Al Bidaaya Wan Nihaaya : Jild 11: Safa 402)

Scan Page : Al Mujjam ul Ausat

Scan Page : Al Bidaaya Wan Nihaaya

Sanad ki Tehqeeq : Continue reading

Namaaz me Naaf ke Neeche Haat Bandhne ki SAHEEH Riwayat.

Namaaz me Naaf ke Neeche Haat Bandhne ki SAHEEH Riwayat Pesh e Khidmat Hai:

Musannaf Ibn Abi Shaiba me riwayat hai ke Wayl bin Hujr Rdh. Kehte hai ke Maine Rasoolullah ko Namaaz me Daaye Haat ko Baaye Haat pe Rakh-kar Naaf ke Neeche Bandhte Huwe Dekha. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Hadees no 3959, Ba-Tehqeeq Shaykh Awwaama)

Scan Page :

Yeh riwayat SAHEEH hai aur Uske Tamaam RUWAAT SIQA hain. Aur Is riwayat me Maujood ‘Tahtas Surrah’ ka Lafz, Musannaf Ibn Abi Shaiba ke Darj e Zail Nusqo me bhi Maujood hain : Continue reading

Ameer e Muawiya Rdh. ki Fazilat me SAHEEH aur Maqbool Ahadees Part 1.

Hazrat Abu Abdur Rehman, Muawiya bin abi Sufiyan Rdh. Al Mutawaffa 60 Hij. Rasoolullah SAW ke Mashoor Sahaabi aur Aap SAW ki Zauja e Mohtarama Ummul Momineen, Hazrat Umme Habeeba Rdh. Al Mutawaffa 59 Hij. ke Bhai bhi hai.

Kai Saheeh aur Maqbool Ahadees me Aap SAW ne Unki Fazilat Zikr Farmaayi hai.

Magar Baaz Hadhraat ka Khiyaal hai ke Unke Fazilat me Waarid Shuda Koi riwayat bhi Saabit Nahi hai. Magar Tehqeeq ki Raushni me Unka Khiyaal, Ghair SAHEEH, Balke BAATIL wa MARDOOD hai.

Lehaaza Ameer Muawiya Rdh. Al Mutawaffa 60 Hij. ki Fazilat par SAHEEH wa MAQBOOL Ahadees Mulaaheza Farmaayein :

Hadees no 1 :

Imam Ahmed bin Hanbal Rh. Al Mutawaffa 241 Hij. Farmaate hain ke

حدثنا عبد الرحمن بن مهدي، عن معاوية يعني ابن صالح، عن يونس بن سيف، عن الحارث بن زياد، عن أبي رهم، عن العرباض بن سارية السلمي، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم هو يدعو  إلى السحور في شهر رمضان: ” هلم  إلى الغداء المبارك ” ثم سمعته يقول: ” اللهم علم معاوية الكتاب والحساب وقه العذاب “۔

Hazrat Arbaaz bin Saariya Rdh. Farmaate hai ke Maine Rasoolullah SAW ko Yeh Irshaad Farmaate huwe Suna :

Continue reading

Ek Rakaat Witr Pardna Mana’a hai.

Ek Rakaat Witr Pardna Mana’a hai, Chunaanche

Hafiz ul Maghrib, Imam Ibn Abdul Barr Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. Farmaate hai ke

أَخْبَرَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ أَخْبَرَنَا أَحْمَدُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ إِسْمَاعِيلَ بْنِ الْفَرَجِ قَالَ حَدَّثَنَا أَبِي قَالَ حَدَّثَنَا الْحَسَنُ بْنُ سُلَيْمَانَ قُبَيْطَةَ حَدَّثَنَا عُثْمَانُ بْنُ رَبِيعَةَ بْنِ أَبِي عبد الرحمان حدثنا عبد العزيز بن محمد الداروردي عَنْ عَمْرِو بْنِ يَحْيَى عَنْ أَبِيهِ عَنْ أَبِي سَعِيدٍ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ نَهَى عَنِ الْبُتَيْرَاءِ أَنْ يُصَلِّيَ الرَّجُلُ رَكْعَةً وَاحِدَةً يُوتِرُ بِهَا۔

Hazrat Abu Saeed Khudri Rdh. Kehte hai ke Rasoolullah SAW ne Ek Rakaat Witr Pardne se Ma’ana kiya hai. (At-Tamheed Li Ibn Abdul Barr : Jild 13 : Safa 254)

Scan Page :

Is Sanad ke Tamaam Ruwaat SIQA hain, Albatta Usmaan bin Muhammed bin Rabi’aa Rh. par Kalaam kiya Jaata hai. Lekin wo Kalaam bhi SAHEEH Nahi hai.

Continue reading

3 Rakaat Witr Ek Salaam ke Saat Kyun ??

3 Rakaat Witr Ek hi Salaam ke Saat Pardna hain, Uske DALAAIL Darj e Zail Hain :

DALEEL no 1 :

Hazrat Ayesha Rdh. Farmaati hai ke

كَانَ لَا يُسَلِّمُ فِي رَكْعَتَيِ الْوِتْرِ

Aap SAW Witr ki Dusri Rakaat me SALAAM Nahi Phairte the. (Sunan Nasaai : Hadees no 1698 , Sunan Darqutni : Hadees no 1665, Al Mustadrak Lil Haakim Ma’a Talkhees Liz Zehbi : Jild 1 : Safa 446, 447 Hadees no 1139, 1140)

Scan Page : Al Mustadrak Lil Haakim Ma’a Talkhees Liz Zehbi

Imam Ibn Mulaqqin Rh., Imam Haakim Rh., Muhaddis Mulla ali Qari Rh., Imam Zehbi Rh. Imam Aaini Rh. ne Saheeh aur Imam Nawawi Rh. ne Hasan Kaha hai, Tohfatul Mohtaaj : Jild 1 : Safa 404, Mirqaat : Jild 3 : Safa 328, Umdatul Qaari : Jild 7 : Safa 4, Khulaasatul Ahkaam : Jild 1 : Safa 552)

Scan Page : Tohfatul Mohtaaj

Scan Page : Mirqaat

Scan Page : Umdatul Qaari

Scan Page : Khulaasatul Ahkaam

Note :

Is Hadees ko Qataada se Imam Shoba Rh. Al Mutawaffa 160 Hij. ne bhi riwayat kiya Hai, Dekhiye, Naasikh ul Hadees wal Mansookh Lil Asram : Safa 86.

Scan Page :

Lehaaza Unpar Tadlees ka Ilzaam MARDOOD hai.

DALEEL no 2 :

Hazrat Ubai bin Ka’ab Rdh. Farmaate hai ke

كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقْرَأُ فِي الْوِتْرِ بِسَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الْأَعْلَى، وَفِي الرَّكْعَةِ الثَّانِيَةِ بِقُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ، وَفِي الثَّالِثَةِ بِقُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ، وَلَا يُسَلِّمُ إِلَّا فِي آخِرِهِنَّ، وَيَقُولُ ـ يَعْنِي بَعْدَ التَّسْلِيمِ : سُبْحَانَ الْمَلِكِ الْقُدُّوس، ثَلَاثًا

Huzur SAW (3 Rakaat ) Witr ki Aakhirat me hi Salaam Phairte the. (Musnad e Shaashi : Jild 3 : Safa 324, Hadees no 1432, 1433, wa Isnaaduhu SAHEEH, Sunan Nasaai : Hadees no 1701, wal-Lafzalahu)

Scan Page : Sunan Nasaai

Imam Aaini Rh. Ne Nasaai waali riwayat ko SAHEEH aur Salafi Muhaddis, Shaykh Albaani aur Salafi Shaykh  Muhammed bin Ali bin Aadam ne is Riwayat ko SAHEEH kaha hai. Ibn Hajar Asqalaani Rh. bhi is riwayat ki Tehseen Farmaayi hain , Umdatul Qaari Lil Aaini : Jild 7 : Safa 5, Sunan Nasaai Ba-Tehqeeq Albaani : Hadees no 1701, Zakhiratul Uqba Fee Sharah ul Mujtaba : Jild 18 : Safa 68, Fathul Baari : Jild 2 : Safa 481, Ta’adaad e Taraaweeh : Safa 227)

Scan Page : Umdatul Qaari

Scan Page : Sunan Nasaai Ba-Tehqeeq Albaani

Scan Page : Zakhiratul Uqba Fee Sharah ul Mujtaba

Daleel no 3 :

Hazrat Ayesha Rdh. Farmaati hai ke

’’ ثم أوتر بثلاث لا يفصل فيهن ‘‘

Phir Rasoolullah SAW 3 Rakaat Witr Pardhte, Jisme (Salaam ke Zariye) Fasl Nahi Karte the. (Musnad e Ahmed : Jild 42 : Safa 126)

Scan Page :

Yeh riwayat HASAN hai.

Daleel no 4 :

Ibn Omer Rdh. se riwayat hai ke Huzur Saw ne Farmaaya ke

صلاة المغرب وتر النهار فأوتروا صلاة الليل

Maghrib ki Namaaz Din ki Witr hai, Lehaaza Din ki Tarah, Raat me bhi Witr ki Namaaz Pardho. (Musannaf Abdur Razzaaq :  Hadees no 4676)

Scan Page :

Aur isi riwayat ke Raavi Hazrat Abdullah Ibn Omer Rdh. se Jab Raat ki Witr ki Namaaz ke bare me Pucha gaya ke: Toh Kaha Unhone Kaha :

أتعرف وتر النهار؟ قلت: نعم , صلاة المغرب قال: صدقت أو أحسنت

Kya Tu Din ki Witr ki Namaaz ko Nahi Jaanta ?

Saail ne Kaha : Haa ! wo toh Maghrib ki Namaaz hai. Toh Ibn Omer Rdh. ne Jawaab diya : ke Tu ne Sach Kaha. (Sharah Ma’ani ul Aasaar : Jild 1 : Safa 279)

Scan Page :

Aur Ek aur riwayat me Huzur SAW ne Farmaaya ke

وتر الليل ثلاث كوتر النهار صلاة المغرب

Raat ki Witr ki Namaaz 3 Rakaat hai, Din ki Witr, Yaani Maghrib ki Namaaz ki Tarah. (Al Khilaafiyaat Lil Behaiqi : Jild 3 : Safa 334)

Scan Page :

Note :

Is riwayat me Maujood Yahiya bin Zakarriya al Kufi Rh. par Kalaam hai. Lekin Yahi riwayat Mauqufan Ibn Masood Rdh. se SAABIT hai. Dekhiye Sharah Ma’ani ul Aasaar Lit Tahaawi : Jild 1 : Safa 294.

Aur Muhaddis Namawi Rh. Al Mutawaffa 1332 Hij. ne Iski Sanad ko SAHEEH Kaha hai. (Aasaar us Sunan),

Scan Page : Sharah Ma’ani ul Aasaar

Scan Page : Aasaar us Sunan

Lehaaza Yeh Marfu Hadees bhi HASAN hain.

Isi Tarah Hazrat Ayesha Rdh. Kehti hai ke Rasoolullah SAW ne Farmaaya :

الوتر ثلاث كثلاث المغرب

Witr ki Namaaz 3 Rakaat hain, Maghrib ki Namaaz ki Tarah. (Al Mujjam ul Ausat Lit Tabraani : Jild 7 : Safa 165)

Scan Page :

Note :

Is riwayat me Ismaail bin Muslim al Makki Rh. aur Unke Shaagird Abu Bahr  Abdur Rehman bin Usmaan al Bakraawi Rh.  Al Mutawaffa 195 Hij. par Kalaam hai. Lekin In Dono ke bare me Imam Abu Haatim ar Raazi Rh. aur Imam Abu Ahmed Ibn A’adi Rh. Kehte hai ke Unki Hadeesein Likhi Jaaye. (Tehzeeb ul Kamaal : Jild 3 : Safa 203, Jild 17 : Safa 273) Yaani Mutaabiyaat ki Surat  me Yeh Hazraat Maqbool hain.

Scan Page :

Scan Page :

Algarz Ibn Masood Rdh. ki riwayat ki Wajeh se Yeh riwayat bhi Maqbool hain. Neez, Hazrat Ayesha Rdh. ki Ek HASAN riwayat  ke ‘ثم أوتر بثلاث لا يفصل فيهن’ se bhi Is riwayat ki Ma’anawi Mutaabiyat Hoti hai.

Lehaaza Is riwayat par Aiteraaz Fuzool aur Bekaar hai.

DALEEL no 5 :

Hazrat Abdur Rehman bin Abza Rdh. ne bhi Huzur SAW ki Namaaz ka Zikr kiya aur Witr ki Teesri Rakaat ke baad, Ek hi Salaam ka Zikr kiya hai. Unke Alfaaz Yeh hain :

عَن عبد الرَّحْمَن بن أَبْزَى أَن رَسُول الله صلى الله عَلَيْهِ وَسلم كَانَ يُوتر بسبح اسْم رَبك الْأَعْلَى وَقل يَا أَيهَا الْكَافِرُونَ وَقل هُوَ الله أحد فَإِذا سلم قَالَ سُبْحَانَ الْملك القدوس ثَلَاث مَرَّات ويمدها فِي الثَّالِثَة

(Amamlul Yaumi Wal Lailati Lin Nasaai : Safa 446)

Scan Page :

Is riwayat ke Tamaam Ruwaat SIQA hain aur Sanad SAHEEH hain.

Daleel no 6 :

Hazrat Anas bin Maalik Rdh. Farmaate hai ke

يا أبا محمد خذ عني فإني أحدث عن رسول الله (صلى الله عليه وسلم) وأخذ رسول الله (صلى الله عليه وسلم) عن ربه ولن تأخذ عن أحد أوثق مني قال ثم صلى بي العشاء ثم صلى ست ركعات يسلم بين الركعتين ثم أوتر بثلاث يسلم في آخرهن

Aye Abu Muhammed (Saabit al Bunaani Rh.) Mujh se Namaaz Sikh, Maine Rasoolullah SAW se Namaaz Zikr Karta hu aur Rasoolullah SAW ne Namaaz Allah tala se Liya hai……..Aage Hazrat Saabit Kehte hai ke Hazrat Anas Rdh. ne Mujhe Namaaz Pardhaayi aur 3 Rakaat Witr (bhi) Pardhaayi aur Aakhiri Rakaat me Salaam Phaira.

(Taarekh e Dimishq Li Ibn Asaakir : Jild 9 : Safa 363)

Scan Page :

Hafiz Suyuti Rh. Al Mutawaffa 911 Hij. aur Muhaddis Ali al Muttaqi al Hindi Rh. Al Mutawaffa 975 Hij. Kehte hai ke Iske Rijaal SIQA hain. (Kanz ul Ummaal : Jild 8 : Safa 67, Jaame ul Kabeer Lis Suyuti : Jild 19 : Safa 89)

Scan Page : Kanz ul Ummaal

Scan Page :Jaame ul Kabeer Lis Suyuti

Note :

Yeh riwayat Marfu e Hukmi hai. (Elaa us Sunan : Jild 6 : Safa 50)

In Tamaam SAHEEH, Hasan aur Maqbool Riwaayaat se Maloom hota hai ke Nabi e Karim SAW 3 Rakaat Witr ko Ek hi Salaam ke Saat Pardhte aur Usi ka Hukm bhi dete the.

Neez, Jumhoor Sahaaba Kiraam Hazrat Umar bin Khattaab Rdh., Hazrat Ali bin Abi Taalib Rdh., Hazrat Ibn Masood Rdh., Ubai bin Ka’ab Rdh., Zaid bin Saabit Rdh., Hazrat Abdullah bin Abbas Rdh., Hazrat Anas Rdh., Waghairah Kai Hazraat bhi 3 Rakaat Witr ko Ek hi Salaam ke Saat Pardne ke Qaayil the.

Mashoor Siqa, Kibaar e Tabaa’ii, Mufassir wa Muqri Abul Aaliya ar Riyaahi Rh. Al Mutawaffa 93 Hij. Farmaate hai ke

علمنا أصحاب محمد صلى الله عليه وسلم أو علمونا أن الوتر مثل صلاة المغرب , غير أنا نقرأ في الثالثة , فهذا وتر الليل , وهذا وتر النهار

Hume Rasoolullah SAW ke Sahaaba ne Sikhaaya ke Witr ki Namaaz Maghrib ki Namaaz ki Tarah hai. Magar Witr me Hum Teesri Rakaat me (Qirat aur Qunoot) Pardhte hain aur Yeh Raat ki Witr hai aur Wo (Yaani Maghrib) Din ki Witr hain.

Ek aur riwayat me Kehte hai ke Mai Witr ko Maghrib ki Tarah Pardhta hu.

Tafseel ke liye Dekhiye, Sharah Ma’ani ul Aasaar : Jild 1 : Safa 293, 294, Musannaf Abdur Razzaaq : Hadees no 4648, 4659, 4663, Muwatta Imam Muhammed : Safa 96, Musannaf Ibn Abi Shaiba : Hadees no 6895, 6909.

Scan Page : Sharah Ma’ani ul Aasaar

Scan Page : Musannaf Abdur Razzaaq

Scan Page : Muwatta Imam Muhammed

Scan Page : Musannaf Ibn Abi Shaiba

Tabaa’in ka Amal :

Jumhoor Tabaa-in Rh. bhi 3 Rakaat Witr ko Ek Salaam ke Saat Pardne ke Qaayil the.

Chunaanche, Imam Abu Ishaaq As-Sabee’ii Rh. Al Mutawaffa 129 Hij. Farmaate hai ke

كان أصحاب علي ، وأصحاب عبد الله لا يسلمون في ركعتي الوتر

Hazrat Ali Rdh. aur Hazrat Abdullah bin Masood Rdh. Tamaam ke Tamaam Shaagird 2 Rakaat Witr par Salaam Nahi Phairte the. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Hadees no 6911)

Scan Page :

Taarekh aur Asma ur Rijaal ke Kutub ke Sarasari Mutaale se Hazrat Ali Rdh. aur Hazrat Abdullah bin Masood Rdh. ke Shaagirdo ki Ta’adaad 250 se Zyaada ko Pahunch gayi hai. (Juz Tark ur Raf-ul-yadain Lish Shaykh Abdul Ghaffaar Zehbi : Safa 596)

Maloom huwa ke Taqreeban “250″ se Zyaada Tabaa-in e Izaam 3 Rakaat Witr ko Ek Salaam ke Saat Pardte the.

Isi Tarah Ahle Madina ka bhi Yahi Kehna hai ke 3 Rakaat Witr Ek hi Salaam ke Saat hai.

Chunaanche, Saeed Ibn ul Musayyib Rh., Abul Aaliya Rh., Urwa bin Zubair Rh., Qaasim bin Muhammed bin Abi Bakr Rh., Kharja bin Zaid bin Saabit Rh., Sulaimaan bin Yasaar Rh., Ubaidullah bin Abdullah bin Utba Rh., Abubakr bin Abdur Rehman Ibn ul Haaris Rh., Khalifa Umar bin Abdul Aziz Rh. aur Kalaas bin Amr al Basri Rh. Waghairah Kai Tabaa’ii e Izaam Rh. bhi 3 Rakaat Witr ko Ek Salaam ke Saat Pardne ke Qaayil hai. (Sharah Ma’ani ul Aasaar : Jild 1 : Safa 296)

Scan Page :

Kya Imam Abu Hanifa r.a Maza ALLaah Jahmi The?

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Imam Abu Hanifa r.a par Ye Tauhmat Lagayi Jati hai ke Wo Maza ALLaah Jahmi the Yani Jaham Bin Safwan ke Aqaid par the… Jabki Haqiqat me Imam Abu Hanifa r.a Na Jahmi the aur Na hi Jaham Bin Safwan Jaise BatiL Aqaid Rakhte the… Aaj Ki Post Me Ham Isi TaLLuq se MukhtaLif AqwaL wa HawaLon ka Jayza Lenge… In sha ALLaah

Imam Abu Yusuf r.a ke Waste se AqwaL Aur Unka Jayza – Imam Abu Yusuf r.a ke Waste se Jitne Bhi AqwaL hain Wo Sanadan aur Matan ke Lihaz se Sahih Nahi… Sanad aur Matan Dono me iLLaten hain…

1:- Imam Abu Yusuf r.a se Poocha Gaya Kya Imam Abu Hanifa r.a Jahmi the To Imam Abu Yusuf r.a ne Kaha ‘Haan’ … Iski Sanad Ki PehLi iLLat ye Hai Imam Abu Yusuf r.a ke Waste se Ye QauL NaqaL Karne WaLa Saeed Bin SaLam hai,  Lekin Riwayat Bayan Karne WaLe Rawi Kabhi Saeed Bin SaLam ka Naam Lete hain Ke Unhone Ye SawaL Imam Abu Yusuf r.a se Kiya Aur Kabhi Saeed ke WaLid SaLam ka Naam Lete hain Ke Unhone Ye SawaL Kiya… Yani Sanad me Iztirab hai Jo Sanad ko Zaeef Banata hai… Iske ALawa In Sanadon ke Rawi Bhi Siqah Sabt Nahi Jo Baat ko Sahih Se Mahfooz Kar Saken key AsaL Baat Poochi Kisne hai Saeed ne Ya Unke WaLid ne…

HawaLa Number 1 – Tarikh Baghdad 513/15 Aur Tarikh Jurjan aur Kitab uL Siqat 646/7 Par Riwayat Karne WaLa Rawi Muhammad Bin Saeed Bin SaLam MajhooL ” hai…Lihaza Ye Sanad Zaeef hai…

HawaLa Number 2 – M’arifat ut Tarikh 783/2aurTarikh e Baghdad 513/15 Par Hi Ye QauL Amr Bin Saeed bin SaLam ke Waste se Hai Aur Wo Apne Dada SaLam ke HawaLe se Ye QauL NaqaL Karta hai… Sanad ka Rawi Amr Bin Saeed MajhooL ” hai…Lihaza Ye Sanad bhi Zaeef hai…

Continue reading

Imam Abu Hanifa r.a ka Qur’aan Ko MakhLooq Kehna Sabit nahi

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Imam Abu Hanifa r.a par Ek Ye Aitraaz Kiya Jata hai ke Aap Qur’aan ke MakhLooq Hone ke QayaL hain Jabki DaLaiL ki Roshni me ye Baat BiLkuL ghaLat hai… Imam Abu Hanifa r.a ka Qur’aan ko MakhLooq Kehna Sabit nahi…

Yahan Ek Wazahat Zaroori hai aur Wo Ye Ke Qur’aan Ko MakhLooq Kehna ULama ke Nazdeek Kufr hai Aur Kisi ki Taraf Kufr ki Nisbat Karna Bohot Bara Mas’aLa hai … Iske Liye Kisi Aise Shakhs ki Zaroorat hai Jisne Khud Imam Abu Hanifa r.a ko Qur’aan ko MakhLooq Kehte hue Suna ho , Kisi NaqaL Karne waLe ya Kisi ka Imam Abu Hanifa r.a ki Taraf Nisbat Karne se Kaam nahi ChaLega… Aur Ham Dekhte hain Ke Is Mas’aLe me Dono Hi MamLon me ( Yani Khud Imam Abu Hanifa r.a ka Qur’aan ko MakhLooq Kehna ya Kisi Ka Unki Taraf Iski  Nisbat Karna ) Sahih Sarih Sanad se Sabit nahi …. Ab Jo AqwaL Is Talluq se Kitabon me Darj hain Unka Jayza Lete hain

1:- Imam Hammad r.a ke Waste se:  Imam Hammad r.a Kehte hain Ke Maine Imam Abu Hanifa r.a ko Kehte hue Suna Ke Qur’aan MakhLooq hai … ( AL Majrooheen 406/2 , Tarikh e Baghdad 520/15 )

Jawab:  Is QauL ki Sanad Sahih nahi … Iski Sanad ke Rawi Sufiyan bin Waki’i r.a par Kafi KaLam hai Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Meezan uL AitdaaL 173/2 me NaqaL Kara…

Iske ALawa Sanad ke Rawi Umar Bin Hammad bhi MajhooL hain…

Lihaza Is QauL ki Sanad Zaeef hai

2:- Imam Yahya Bin AbduL Hameed r.a ke Waste se: Imam Yahya r.a Kehte hain Ke Maine 10 Siqat se Suna Unhone Imam Abu Hanifa r.a se Suna Ke Qur’aan MakhLooq hai… ( Tarikh e Baghdad 519/15 )

Jawab: Iski Sanad bhi Sahih nahi , Sanad ke Rawi Qatan bin Ibrahim ke Bare me Wazahat ki gayi hai ke Ye Jab Mautbar hain Jab Kitab se Riwayat Karen  Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara ( Meezan uL AitdaaL 390/3 )

Iske ALawa Imam Yahya r.a ne Un 10 Logon ke Naam Nahi Bataye Jinse Unhone ye Baat Suni IsLiye Ye Log MajhooL Shumar honge Kyonki Kisi ke bhi Naam ki Wazahat nahi ke wo 10 Siqah Log Kaun the…

Khud Imam Abu Hanifa r.a ke Sirf Ye 2 QauL hain Jisme Unhone Qur’aan ko MakhLooq Kaha aur Dono QauL Sanad ke Lihaz se Zaeef hain….

3:- Imam IsmaiL bin Hammad r.a ke Waste se:  Imam IsmaiL Bin Hammad r.a ne Kaha ke Qur’aan MakhLooq hai Yahi Mere WaLid Imam Hammad r.a ki Rai hai aur Yani Mere Dada Imam Abu Hanifa r.a ki Rai hai ( Tarikh e Baghdad 520/15 , Tarikh e Baghdad 218/7 , AL KamiL 509/1 , AL Muntazim 250/10 )

Jawab:  Tarikh e Baghdad 520/15 ki Sanad ka Rawi Hussain Bin AbduL AwwaL Zaeef hai Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara … ( Meezan uL AitdaaL 539/1 )

Doosri Aur Aham Baat ke Sanad me Inqita’a hai Kyonki Imam IsmaiL r.a ne Imam Abu Hanifa r.a se Nahi Suna… Lihaza Ye AqwaL bhi Sanad ke Lihaz se Zaeef hain….

4:- Imam Hammad Bin Abi SuLeman r.a ke Waste se: Imam Abu Hanifa r.a ke Ustad Imam Hammad r.a bhi Imam Abu Hanifa r.a ki Taraf Qur’aan ke MakhLooq hone ki Nisbat Karte hain… ( Musnad Ibn AL J’ad 66,  Tarikh e Baghdad 522/15 )

Jawab:  Musnad Ibn aL J’ad aur Tarikh e Baghdad ki Sanadon me Zirar Bin Surad Rawi hai Jisko Imam Bukhari r.a ne Matrook Kaha Aur Imam Ibn Maeen r.a ne Kazzab Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara ( Meezan uL AitdaaL 327/2 )

Iske ALawa Musnad Ibn aL J’ad ki Doosri Sanad ka MamLa Kafi Garbar hai Usme Imam AbduLLaah Bin Ahmad r.a 100% sure nahi ke Unhone Ye QauL Imam Ibn Aun r.a se Suna Phir Imam Ibn Aun r.a ka bhi Yahi MamLa hai ke wo 100 % sure nahi Ke Unhone ye qauL AbduL Quddus Bin Bakar se Suna hai Iske ALawa Rawi AbduL Quddus Bin Bakar Ki Tauseeq ko Imam Zahabi r.a Ne Ghair Mautbar Hone ki Taraf Ishara Kiya hai … ( AL Kashif 660 )

Iske ALawa Tarikh e Baghdad ke Muhaqqiq Bashar AL Awwad ke Mutabiq Imam Hammad r.a ka IntiqaL KhaLq uL Qur’aan ke Mas’aLe se PehLe hi ho gaya tha,  Jaisa ke Unhone Tarikh e Baghdad 521/15 ke Hashiye me Likha hai… Lihaza In AqwaL Ki Sanaden bhi Zaeef hain

5:- ( a ) Imam Abu Yusuf r.a ke Waste se:  Imam Abu Yusuf r.a Farmate hain ke Qur’aan ko Sabse PehLe MakhLooq Kehne WaLe Imam Abu Hanifa r.a hain… ( Tarikh e Baghdad 518/15 )

Jawab: Is QauL ki Sanad aur Matan Dono me Iztirab hai… PehLe Baat Karte hain Sanad ki… Is QauL ki Sanad me Is’haq Bin Abdur Rahmaan MajhooL hai… IsLiye Ye Sanadan Zaeef Hai Iske ALawa Iske Matan me bhi Iztirab hai Isi Sanad se Ye QauL Akhbar uL Quza me bhi Mojood hai Wahan Imam Abu Yusuf r.a ka QauL hai Ke Qur’aan ko Sabse PehLe Ghair MakhLooq Kehne waLe Imam Abu Hanifa r.a hain… ( Akhbar uL Quza 653 )

Iski Sanad aur Matan ka Iztirab ise Zaeef Banata hai…

Note:  Imam Ibn Hibban r.a ki Kitab me Sanad me se Rawi Is’haq Bin Abdur Rahmaan Gir gaya hai Yani NaqaL Karne se Reh gaya hai… Kyonki Is QauL ko Imam Abu Yusuf r.a se NaqaL Karne WaLe Hasan Bin Abi MaLik r.a hain, Phir Unse Is’haq Bin Abdur Rahmaan Is QauL ko NaqaL Karte hain Jaisa ke Tarikh e Baghdad 518/15 ke Sath Akhbar uL Quza 693 me hai aur Jaisa ke Kitab Us Sunnah ke ( Ghair Sabit ) Nuskhe me hai … Jo Is Baat ki DaLiL hai ke Is’haq Is QauL ka Markazi Rawi hai Lekin Imam Ibn Hibban r.a ki Kitab aL Majrooheen me Ye Rawi Choot gaya hai IsLiye Uski Sanad bhi AsaL me Zaeef Hi Hai…

Iske ALawa Qur’aan ko Sabse PehLe MakhLooq Kehne waLa J’ad bin Dirham hai,  Phir Jaham bin Safwan ne Aisa Kaha… Jaisa ke Sharah UsooL Aitqaad AhLe Sunnat WaL Jama’at me Imam AbuL Qasim aL LaLkai r.a ne Imam Abu Hatim r.a ke HawaLe se  NaqaL Kara ke Qur’aan ko Sabse PehLe MakhLooq Kehne waLa J’ad bin Dirham hai… ( Sharah UsooL Aitqaad AhLe Sunnat WaL Jama’at 316 )

Imam AbuL Qasim r.a ne Hi Likha ke A’imah ke Nazdeek Isme IkhtiLaf nahi ke Qur’aan ko Sabse PehLe MakhLooq Kehne waLa J’ad bin Dirham hai … ( Sharah UsooL Aitqaad AhLe Sunnat WaL Jama’at 256 )

Yahi Baat Imam Ibn Kasir r.a ne bhi Likhi hai… ( aL Bidayah wan Nahayah )

Lihaza Imam Abu Hanifa r.a ke Bare me Kehna Ke Unhone Sabse PehLe Qur’aan ko MakhLooq Kaha Bilkul GhaLat hai Jabki Ye Baat Aapse Sabit hi nahi…

( b ) Imam Abu Yusuf r.a se Poocha Gaya ke Imam Abu Hanifa r.a Qur’aan ke Bare me Kya Kehte the Imam Abu Yusuf r.a ne Kaha Wo Qur’aan ko MakhLooq Kehte the… ( Tarikh e Baghdad 519/15 )

Jawab:  Is Sanad ke Rawi AbuL Qasim Baghawi r.a Agarche Siqah hain Lekin Kitab ke Muhaqqiq Bashar aL Awwad Sahab ne Unke Bare me Imam Zahabi r.a ki Kitab Meezan uL AitdaaL se NaqaL Kara ke Aap Kharab Zaban waLe the Siqah Rawiyon ke Bare me ( Bewajah ) KaLam Karte the… Imam Ibn Adi r.a ne Likha ke AhLe ILm aur Mashaikh Inke Zauf par Muttafiq the… Lihaza Is Sanad se Hujjat Qayam nahi Ho Sakti …

Lekin Phir bhi Koi Hamari Baat na Mane to Ham Kahenge ke Ye QauL Shaz hai, Imam Abu Hanifa r.a aur  Imam Abu Yusuf r.a ke Talluq se Kai Sahih aur Hasan Sanadon se ManqooL hai ke Aap Qur’aan ke Ghair MakhLooq Hone ke QayaL the… IsLiye Un Sanadon ke Samne Is Sanad ki Koi Ahmiyat nahi….

( c ) Imam Abu Yusuf r.a se Poocha Gaya ke Aap Imam Abu Hanifa r.a se Riwayat Kyon nahi Karte, Ispar Imam Abu Yusuf r.a ne Farmaya Jab Wo Faut hue to Ye Nazariya Rakhte the Ke Qur’aan MakhLooq hai… ( Tarikh e Baghdad 519/15 )

Jawab:  Is qauL ki Sanad Sahih nahi Iska ek Rawi Umar bin Hasan Qazi Zaeef hai Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara ( AL Mughni Fi Zuafa 38/2 )

Iske ALawa Sahih Sanad se Sabit hai ke Imam Abu Hanifa r.a Apne Akhiri Waqt tak Qur’aan ke Ghair MakhLooq hone ke QayaL the… Jaisa ke Imam Behqee r.a ne Asma WaL Sifat me NaqaL Kara

6:- SaLamah bin Amr Qazi ke Waste se : SaLamah Bin Amr Qazi Kehte hain ke ALLaah Imam Abu Hanifa r.a par Raham Na Kare Wo Kyonki Unhone Sabse PehLe Qur’aan ke MakhLooq hone ka Nazariya Diya hai… ( Tarikh e Baghdad 518/15 )

Jawab: Iski Sanad ka Rawi Abu Mus’hir r.a Khud Qur’aan ke MakhLooq hone ka Nazariya rakhte the Unki Baat Imam Abu Hanifa r.a ke KhiLaf Kaise QubooL Ho Sakti hai Jabki Unhone Ye Baat SaLamah Bin Amr se Sunne ki bhi Wazahat nahi Ki…

Iske ALawa SaLamah bin Amr Ka Siqah Hona Sabit nahi… Lihaza Ye Sanad bhi Zaeef hai …

7:- Ahmad Bin Yunus ke Waste se:  Ahmad bin Yunus ka Kehna Hai ke Eisa Bin Moosa r.a ki MajLis me Imam Abu Hanifa r.a ne Qur’aan Ko MakhLooq Kaha ( Tarikh e Baghdad 520/15 )

Jawab:  PehLi Baat to Ye hi nahi MaLoom ke Ye Ahmad bin Yunus Kaun hai Aur Na hi In QauL se Pata ChaLta hai Ke Ahmad bin Yunus Khud MajLis me ShamiL tha bhi ya nahi… Yahi Baten In AqwaL ko Zaeef Banane keLiye Kafi hain….

Lekin Iske ALawa Is QauL ki PehLi Sanad me Umar Bin Hasan Qazi hai Jo Zaeef hai Jaisa ke PehLe Guzar Chuka ….

Iski Doosri Sanad Abu Muhammad Shaikh MajhooL hai IsLiye Ye QauL bhi Zaeef hai… Lihaza MaLoom Hua Ahmad bin Yunus Ke Waste se Mojood AqwaL bhi Zaeef hain…

8:- Imran Bin Abi LaiLa r.a ke Waste se:  Imran Bin Abi LaiLa r.a Ka Kehna hai ke Imam Abu Hanifa r.a ne Ek Jama’at ke Samne Shahadat di ke Qur’aan MakhLooq hai… ( Akhbar uL Quza 581 )

Jawab:  Imran Bin Abi LaiLa r.a ke Bayan se ye Baat MaLoom nahi hoti ke us Jama’at me Wo Khud bhi ShamiL the ya nahi Yani Ye Baat Unhone Khud Suni ho Iski Wazahat nahi…

Iske ALawa Is Sanad ke Rawi Abdur Rahmaan Bin Muhammad Harsi ke Bare me Imam Zahabi r.a ne Likha ke Ye Aisi Baten Riwayat Karta hai Jiska Koi Mutabe ( Supporter ) nahi Hota,  Imam Darqutni r.a bhi Ispar Jarah Karte hain… ( Meezan uL AitdaaL 587/2 )

Lihaza Iski Sanad bhi Zaeef hai ….

9:- SuLeman bin FuLeh ke Waste se:  SuLeman Bin FuLeh ka Kehna hai Ke KhaLid Qasari ne Imam Abu Hanifa r.a se Tauba Karayi,  Aage NaqaL Kiya gaya ke wo Tauba Qur’aan ko MakhLooq Kehne ki Wajah se thi…. ( Tarikh e Baghdad 523/15 )

Jawab:  Iski Sanad ka Rawi Muhammad Bin FuLeh Zaeef Hai Jaisa ke Muhaqqiq ne wazahat ki…. Iske ALawa Iska Bhai SuLeman Bin FuLeh bhi MajhooL hai Jaisa ke Imam Abu Zur’ah r.a ne Kaha ( Jarah wa T’adeeL 135/2 )

MaLoom Hua Iski Sanad bhi Zaeef hai

10:- Imam Ahmad r.a ke Waste se: Imam Ahmad r.a Farmate hain ke Inko ( Imam Abu Hanifa r.a ) Tauba karayi Gayi Mere KhayaL me Is Aayat ke Talluq se thi Sub’hana Rabbika Rabb iL Izzati Amma Yasifoon Aap ( Imam Abu Hanifa r.a ) ne Kaha Ye MakhLooq hai… ( aL ILaL 546/2 )

Jawab:  PehLi Baat to Imam Ahmad r.a ko Khud KamiL Yaqeen nahi Ke Imam Abu Hanifa r.a se Tauba Isi Wajah se Karayi gayi thi ya nahi,  Unhone Apna KhahaL Apna Imkan Zahir Kiya hai… Iske ALawa ye bhi nahi MaLoom ke Untak Ye Baat Kis Sanad ke Zariye Pohonchi hai… Lihaza Ye QauL Hujjat nahi  ….

Iske ALawa Khud Imam Ahmad r.a se ManqooL hai Ke wo Farmate hain Ke Ye Baat Sahih ( Sabit ) nahi ke Imam Abu Hanifa r.a ne Qur’aan ko MakhLooq Kaha hai ( Tarikh e Baghdad )

Iske ALawa Imam Ibn Taimiyah r.a bhi AhLe Sunnat WaL Jama’at ke Aitqaad ( Aqeedah ) ka Zikr Karte hue Imam Abu Hanifa r.a , Imam Abu Yusuf aur Imam Muhammad r.a ke Bare me Wazahat Karte hain ke ye Log Qur’aan ko KaLam ULLaah Samajhte the… ( Fatawa tuL Kubara 32/5 )

In Tamam HawaLon se ALhamduLiLLaah Sabit Hua Ke Imam Abu Hanifa r.a ka Qur’aan Ko MakhLooq Kehna Sabit nahi….  

Imam Abu Hanifa r.a ke Nazdeek Qur’aan Ghair MakhLooq hai

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Imam Abu Hanifa r.a par Ye Aitraaz Kiya Jata hai ke Aap Qur’aan ke MakhLooq hone ke QayaL hain Jabki Aapse Sahih Sanad se Qur’aan ke Ghair MakhLooq aur KaLam ULLaah hone ka Suboot miLta hai, Jiska Aaj Ham Tazkira Karenge In sha ALLaah …

1:- Imam Ibn Karamah r.a Kehte hain ke Imam Ibn Mubarak r.a Imam Abu Hanifa r.a ke Paas Aaye , To Imam Abu Hanifa r.a ne Unse Kaha , ‘ Tumhare Yahan ( Khurasan me ) Ye Kya Baten ChaL Rahi hain ? Imam Ibn Mubarak r.a ne Kaha Ek Aadmi hai Jise Jaham Kaha Jata hai , Imam Abu Hanifa r.a ne Kaha Uska Kya Kehna hai ? Imam Ibn Mubarak r.a ne Kaha Wo ( Jaham )  Kehta hai ke Qur’aan MakhLooq hai , To Imam Abu Hanifa r.a ne Kaha ” Bari Sangeen ( Khatarnak ) Baat hai Jo Uske Munh se nikaL rahi hai Jo Kuch Wo Keh rahe hain Wo Jhoot ke Siwa Kuch nahi ” … ( Tarikh e Baghdad 517/15 )

Fayda:  Yahan 2 Aham Baten Samne Aayi

1- Qur’aan Ko MakhLooq Kehne waLa Jaham bin Safwan hai

2- Imam Abu Hanifa r.a ne Uski Is Baat ko Jhoot Kaha Yani Khud Imam Abu Hanifa r.a Qur’aan ko Ghair MakhLooq Mante the

Sanad ki Tehqeeq: – ( a ) Imam Hasan bin Muhammad AL KhaLLaL r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya  ( Tarikh e Baghdad 453/8 )

(b) ALi bin Amr AL Hariri r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 470/13 )

(c) ALi bin Muhammad Ibn Kas Nakhi’i r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 540/13 )

( d ) Najih bin Ibrahim r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hibban r.a ne Siqat me Inhe Zikr kara,  Iske ALawa Imam Abu Awana r.a ne Inse Riwayat Li aur Imam Ibn Adi r.a ne Inka ILm hote hue Inka Tarjuma Apni Kitab me nahi Likha Jo In Imamon ke Nazdeek Najih Bin Ibrahim r.a ke Siqah hone ki DaLiL hai.. ( Kitab Siqat 220/9 )

( e ) Muhammad Bin Usman Bin Karamah r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Likha… ( Siar A’aLamin NubaLa 296/12 )

Lihaza Ye Sanad Sahih hai…

2:- Muhammad Bin Sabiq r.a kehte hain Maine Imam Abu Yusuf r.a se Poocha Kya Imam Abu Hanifa r.a Qur’aan ko MakhLooq Kehte the ? Imam Abu Yusuf r.a ne Kaha ALLaah ki Panah ( Yani Wo Aisa nahi Kehte the ) Main bhi Aisa nahi Kehta … Maine ( Ibn Sabiq r.a ) ne Kaha Kya Wo Jaham waLe KhayaLat rakhte the ? Unhone ( Imam Abu Yusuf r.a ) ne Kaha ALLaah ki Panah ( Wo aise KhayaLat nahi rakhte the ) Main bhi aisa nahi Kehta… ( Asma waL Sifaat 656 )

Sanad ki Tehqeeq:  Imam Behqee r.a ne qauL ko NaqaL Karne ke Baad Iske Rawiyon ko Siqah Kaha hai Sirf Yahi Baat bhi Is Sanad ke Sahih hone keLiye kafi hai Lekin Phir bhi Iske Rawiyon ki Tauseeq Pesh kar dete hain …

( a ) Muhammad bin Muhammad bin Yusuf bin Ibrahim Siqah hain , Imam Behqee r.a ne Is qauL ko NaqaL Karne ke Baad Tauseeq Kar di hai,  Iske ALawa Imam Hakim ne Inki Hadees ko Sahih uL Isnad Kaha hai aur Imam Zahabi r.a ne bhi Hadees ko Sahih Kaha hai… ( Mustadrak AL Hakim )

( b ) Qasim bin Abi SaLeh Hamdani r.a Sudooq hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Kaha hai ( Tarikh uL IsLam 720/7 )

( c ) Muhammad bin Ayyub AL Razi r.a bhi Siqah Hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara ( Tarikh uL IsLam 1018/6 )

( d ) Muhammad Bin Sabiq r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL kara ( Tarikh uL IsLam 437/5 )

( e ) Imam Abu Yusuf r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Yahya bin Maeen r.a , Imam Nasai r.a , Imam Ahmad bin HambaL r.a , Imam Behqee r.a Wagherah ne Kaha hai

Lihaza Iski Sanad Hasan hai….

Fayda : Is QauL se MaLoom hota hai Ke Ye Imam Abu Hanifa r.a ke IntiqaL ke Baad ka Waqia hai Yani Imam Abu Hanifa r.a Apne Akhiri Waqt tak Qur’aan ko Ghair MakhLooq Mante the…

3:- Imam Abu SuLeman Jozjani r.a aur MuaLLa Bin Mansoor r.a Kehte hain ke Imam Abu Hanifa r.a , Imam Abu Yusuf r.a , Imam Muhammad r.a aur Imam Zufar r.a me Qur’aan ke Bare me Lab Kushai nahi ki ( Uske Bare me KaLam nahi kiya ) , Bishr AL Marisi aur Ibn Abi Duwad ne Is Bare me Lab Kushai ki ( Qur’aan ko MakhLooq kaha ) aur Imam Abu Hanifa r.a aur Unke As’haab ki Shaan ko Majrooh kiya ( Tarikh e Baghdad 518/15 )

Sanad Ki Tehqeeq : ( a ) Imam Hasan bin Muhammad AL KhaLLaL r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya  ( Tarikh e Baghdad 453/8 )

(b) ALi bin Amr AL Hariri r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 470/13 )

(c) ALi bin Muhammad Ibn Kas Nakhi’i r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 540/13 )

In Sab ki Tauseeq ke Scan Upar Guzar Chuke…

( d ) Muhammad bin Shazan aL Johri r.a hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara ( Tarikh uL IsLam 806/6)

( e ) MuaLLa bin Mansoor aL Razi r.a Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Kara ( Tarikh uL IsLam 461/5)

Iske ALawa Abu SuLeman Jozjani r.a Yani Moosa bin SuLeman Sudooq hain Jaisa ke Imam Abu Hatim r.a ne Kaha…

Lihaza Iski Sanad Bhi Sahih hai… Ye bhi Imam Abu Hanifa r.a ke IntiqaL ke Baad ka Waqia MaLoom Hota hai…

4:- Imam Zahabi r.a ne Imam Ibn Abi Hatim r.a ki Kitab ( Radd aLa Jahmiyah ) se NaqaL karaImam Abu Yusuf r.a Kehte hain Maine Imam Abu Hanifa r.a se 6 Mahine Munazara kiya aur Phir Ham Is Baat par Muttafiq ho gaye ke Jo Kahe Qur’aan MakhLooq hai Wo Kafir hai… ( Mukhtasar AL ULuw Zahabi 155 ) 

Sanad ki Tehqeeq : ( a ) Imam Ibn Abi Hatim r.a Siqah aur Jarah wa T’adeeL ke Imam Hain ( Tarikh uL IsLam 533/7)

( b ) Ahmad bin Muhammad bin MusLim Ansari r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Hakim r.a ne NaqaL Kara ( Mustadrak aL Hakim 441/4)

( c ) ALi bin Hasan aL Tamimi r.a Sudooq hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Kaha ( Taqreeb uL Tehzeeb 692 )

Lihaza Iski Sanad Hasan hai…

5:- Imam Abu Yusuf r.a Farmate hain Maine ek saaL tak Imam Abu Hanifa r.a se MamLe me Baat ki Qur’aan MakhLooq hai ya nahi… Bas Meri aur Unki Rai Is par Muttafiq ho gayi ke Jo Qur’aan Ko MakhLooq Kahe wo Kafir hai ( Asma WaL Sifaat 656 )

Sanad ki Tehqeeq : ( a ) Abu AbduLLaah aL Hafiz Yani Imam Hakim r.a Siqah hain Jaisa ka Imam Khatib Baghdadi r.a ne Kaha ( Tarikh e Baghdad 503/3)

( b ) Abu Saeed Ahmad bin Y’aqoob aL Saqafi r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Hakim r.a ne Inki Hadees ko MusLim ki Shart par Kaha hai aur Imam Zahabi r.a Ne Unki Muwafiqat ki hai( Mustadrak aL Hakim 410/1)

( c ) AbduLLaah bin Abdur Rahman aL Dashtaki r.a Ko Siqah Imam Hakim r.a ne Kaha hai Jaisa ke Is QauL ko Bayan Karne ke Baad Imam Hakim r.a ne iske Rawiyon ko Siqah Kaha hai….

( d ) Abdur Rahman aL Dashtaki r.a Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Kaha ( Taqreeb uL Tehzeeb 585 )

( e ) Imam Abu Yusuf r.a ki Tauseeq Guzar Chuki….

Lihaza PehLe WaLe QauL ki Roshni me Ye QauL bhi Sahih hai…

6:- Imam Sufiyan Sauri r.a aur Imam Abu Hanifa r.a Farmate hain Ke Qur’aan KaLam ULLaah Ghair MakhLooq hai …. ( Tarikh e Baghdad 517/15 )

Is QauL ke Rawiyon ki Tauseeq Hame nahi miL saki Lekin Isse PehLe Jo AqwaL Pesh kiye Gaye Unki Roshni me ye Baat Durust Nazar aati hai…. Shayad IsLiye Muhaqqiq ne Sanad ko Hasan Kaha hai…

7 :- Imam Ahmad Bin HambaL r.a Farmate hain ke Hamare Nazdeek Imam Abu Hanifa r.a ke Talluq se Ye Baat Sahih ( Sabit ) nahi Ke Unhone kaha Qur’aan MakhLooq hai… ( Tarikh e Baghdad 517/15 ) 

Sanad ki Tehqeeq:   ( a ) Imam Hasan bin Muhammad AL KhaLLaL r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya  ( Tarikh e Baghdad 453/8 )

(b) ALi bin Amr AL Hariri r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 470/13 )

(c) ALi bin Muhammad Ibn Kas Nakhi’i r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 540/13 )

In Sab ki Tauseeq ke Scans Upar Guzar Chuke…

( d ) Abu Bakar aL Marwazi r.a Yani Ahmad bin ALi Qurshi Bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Kaha ( Taqreeb uL Tehzeeb 95 )

Lihaza Iski Sanad bhi Sahih hai…

In Tamam HawaLon se Sabit Hua ke Imam Abu Hanifa r.a ke Nazdeek Qur’aan KaLam ULLaah aur Ghair MakhLooq hai…

Imam Abu Hanifa r.a par Aitrazat aur Muhaddiseen ke Jawabat

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Imam Abu Hanifa r.a Par Sirf Aaj ke Daur me hi Aitraaz nahi ho rahe,  BaLki Unke hi Daur aur Bad ke Zamane me Bhi Unpar Aitraaz hote the,  Aur Aaj ke Daur ki Tarah Us Zamane ke Muhaddiseen Imam Abu Hanifa r.a par Aitrazat ke Jawabat bhi Dete the… Aaj Ham In sha ALLaah aise hi Waqiat ka Zikr Karenge…

1:- Imam Waki’i r.a se:  Imam Waki’i r.a Ki MajLis me Ek Shakhs ne Kaha ( Imam ) Abu Hanifa r.a ne Khata ki. Imam Waki’i r.a ne Kaha Ye Kaise TasLeem kiya Jaye ke Imam Abu Hanifa r.a ne Khata ki hai,  Jabki Imam Abu Yusuf r.a aur Imam Zufar r.a Jaise Qayas Dan aur Faqeeh aur Yahya Bin Abi Zaida r.a Aur Hafs Bin Ghayas r.a Jaise Hafiz e Hadees, Qasim Bin M’an r.a Jaise Lughat aur Arabiat ke Mahir,  aur Daood Tai r.a aur FuzeL Bin Ayaz r.a Jaise Zahid aur Muttaqi Inke Ham MajLis Hon To Imam Abu Hanifa r.a ki Khata Kaise TasLeem ki Ja Sakti hai Kyonki Inki Mojoodgi me Khata Karte Wo Unko Rahe Rast ( Sahih Raste ) ki Taraf Lauta Dete … ( Tarikh e Baghdad Sanad Sahih 365/16 )

Sanad ki Tehqeeq: – ( a ) Imam Hasan bin Muhammad AL KhaLLaL r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya  ( Tarikh e Baghdad 453/8 )

(b) ALi bin Amr AL Hariri r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 470/13 )

(c) ALi bin Muhammad Ibn Kas Nakhi’i r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 540/13 )

( d ) Najih bin Ibrahim r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hibban r.a ne Siqat me Inhe Zikr kara,  Iske ALawa Imam Abu Awana r.a ne Inse Riwayat Li aur Imam Ibn Adi r.a ne Inka ILm hote hue Inka Tarjuma Apni Kitab me nahi Likha Jo In Imamon ke Nazdeek Najih Bin Ibrahim r.a ke Siqah hone ki DaLiL hai.. ( Siqat Ibn Hibban )

( e ) Muhammad Bin Usman Bin Karamah r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Likha… ( Siar A’aLamin NubaLa 296/12 )

2:- Imam Ibn Mubarak se:  ( i ) Jab Ye Log ( Imam Abu Hanifa r.a par Aitraaz Karne waLe ) Imam Abu Hanifa r.a ka Tazkira Burai se Karte hain To Mujhe TakLeef hoti hai aur Main Darta hoon ke Imam Sahab r.a ki MukhaLifat karne ki Wajah se Kahin In Logon par ALLaah ka Azaab na NaziL ho jaye… ( FazaiL Abi Hanifa r.a 75 Sanad Sahih ) 

Sanad Ki Tehqeeq:  (a) Muhammad bin Ahmad bin Hammad Yani Abu Bishr DauLabi r.a Siqah hain . Jaisa ke Imam Zahabi r.a ke QauL se Wazeh hota hai… ( Siar A’aLamin NubaLa 309/14 )

(b) Ahmad bin Qasim AL Burti bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh E Baghdad 575/5 )

(c) ( Muhammad ) Ibn Abi Rizma bhi Siqah hain,  Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya. ( AL Kashif 216 )

(d) Abdan yani AbduLLaah Ibn Usman r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 605/5 )


3:- Imam Yahya Ibn Maeen r.a se: MusLim Bin Ibrahim ne Hazrat Hammad Bin SaLmah r.a Ko Kehte Hue Suna “ALLaah Abu Hanifa r.a ki FaLan FaLan Cheez Kaat De ” aur Ye Bat Kinayatan ( Ghair Haqiqi taur par ) nahi Kahi,  To Imam Yahya Ibn Maeen r.a ne Kaha Usne Bura Kaha Bura Kaha … ( SawaLat Ibn Junaid 318 )

4:- Imam Yahya Bin Saeed AL Qattan r.a se:  Yahya Ibn Maeen r.a Bayan Karte hain Maine Ek Shakhs ko Yahya Bin Saeed AL Qattan r.a se Imam Abu Hanifa r.a ke Bare me Daryaft Karte hue Suna SawaL Karne waLe ka Maqsad tha ke Wo Imam Abu Hanifa r.a ki Mazammat ( Burai )  Karenge , To Unhone Kaha ” ALLaah ki Qasam Ham Unke AqwaL me se Jis Cheez ko Mustahsan ( Behtar / Achcha )  Samajhte hain Use Ikhtiyar Kar Lete hain … ( AL Intiqa 203 Sanad Sahih )

Sanad ki Tehqeeq: (a) AbduL Waris bin Sufiyan r.a Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Siar A’aLamin NubaLa 84/17 )

(b) Qasim bin Asbagh r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Ammad r.a HambaLi ne Farmaya ( Shazarat uz Zahab 220/4 )

(c) Abu Bakar bin Abi Khaisma r.a yani Ahmad bin Zuhair bin Harb r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 481/6 )

( d ) Yahya Ibn Maeen r.a Kisi Tauseeq ke Mohtaj nahi…

5:- Imam Qasim Bin M’an r.a se:  Hujar Bin AbduL Jabbar r.a Bayan Karte hain Hazrat Qasim Bin M’an r.a se Kaha Gaya Aap ( Sahabi )  Hazrat AbduLLaah Bin Mas’ood r.a ki AuLad me se hain To Aap Is Baat par Kaise Razi Ho Jate hain Ke Aapka Shumar Abu Hanifa r.a ke Shagirdon me ho?  Hazrat Qasim Bin M’an r.a ne Farmaya ” Log Kisi Bhi Aise Shakhs ke Paas nahi Bethe Honge Jiski MehfiL Imam Abu Hanifa r.a ki MehfiL se Zyada Nafa Bakhsh Ho “… Phir Hazrat Qasim r.a Ne Usse Farmaya Tum Mere Sath Unke Paas ChaLna … Wo Shakhs Gaya Aur Imam Abu Hanifa r.a ke Paas Betha To Phir Unhi ke Sath Rehne Laga aur Usne Kaha ” Maine Un Jaisa Shakhs Nahi Dekha ” …. ( AL Intiqa Sanad Sahih )

Sanad ki Tehqeeq: (a) AbduL Waris bin Sufiyan r.a Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Siar A’aLamin NubaLa 84/17 )

(b) Qasim bin Asbagh r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Ammad r.a HambaLi ne Farmaya ( Shazarat uz Zahab 220/4 )

(c) Abu Bakar bin Abi Khaisma r.a yani Ahmad bin Zuhair bin Harb r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 481/6 )

( d ) SuLeman Bin Abi Shaikh r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Imam Abu Daood r.a ke HawaLe se NaqaL Kara… ( Tarikh uL IsLam 1148/5 )

( e ) Hujar Bin AbduL Jabbar r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hibban ne Siqat Me Inka Zikr Kara hai… ( Siqat Ibn Hibban )

6:- Imam Zufar r.a se: Imam Zufar r.a ki Jab Shadi Hui To Shadi ki Taqreeb me Nikah ka Khutba Parne KeLiye Imam Zufar r.a ne Imam Abu Hanifa r.a ko Dawat di aur Imam Abu Hanifa r.a ne Khutba e Nikah Para… Imam Zufar r.a ke Kuch Rishtedaron ne Shikayat ki ( Hamari ) Qaum ke Ashraf ( Shareef Logon ) ke Hote Hue Aapne Imam Abu Hanifa r.a Dawat Kyon di?  Imam Zufar r.a ne Jawab Diya ” Agar Mere WaLid bhi Yahan Hote to Main Imam Abu Hanifa r.a ko Unpar Muqaddam Rakhta ” ( Akhbar Abi Hanifa r.a Sanad Hasan )

Sanad ki Tehqeeq: – ( a ) ALi Bin Hasan AL Razi r.a Hasan uL Hadees hain Jaisa ke Imam Atiqi r.a aur Imam Saimri r.a ke AqwaL se MaLoom Hota hai ( Tarikh e Baghdad 323/13 )

( b ) Abu AbduLLaah Muhammad Bin Hussain AL Z’afrani r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 31/3 )

( c ) Abu Bakar bin Abi Khaisma r.a yani Ahmad bin Zuhair bin Harb r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 481/6 )

( d ) SuLeman Bin Abi Shaikh r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Imam Abu Daood r.a ke HawaLe se NaqaL Kara… ( Tarikh uL IsLam 1148/5 )

( e ) Amr Bin SuLeman AL Attar r.a bhi Siqah Hain Kyonki Inse Imam Shauba r.a , Imam Ahmad r.a ne Riwayat NaqaL ki hain Aur Ye Imam Apne Nazdeek Siqah se hi Riwayat  NaqaL Karte hain… ( Sharah M’aani uL Aasar, Maujam Ibn Muqri )

7:- Imam Abdur Razzaq r.a se:  Imam Abdur Razzaq r.a Bayan Karte hain ke Ek Shakhs ne Imam Abu Hanifa r.a se Kisi Mas’aLe ke Bare me Poocha Unhone Is Bare me Fatwa diya to Ek Shakhs ne Kaha Is Mas’aLe me Hazrat  Hasan Basri r.a ki Rai Ye hai … Imam Abu Hanifa r.a ne Kaha Hazrat Hasan Basri r.a ne GhaLti Kari… Ispar Us Shakhs ne BadKaLami ki … Imam Abu Hanifa r.a ne Farmaya Hazrat  Hasan Basri r.a ne GhaLti ki Hazrat AbduLLaah Bin Mas’ood r.a ki Rai Theek hai … ( Tarikh e Baghdad Sanad )

Sanad Ki Tehqeeq: – ( a ) AbduLLaah Bin Yahya AL Sukkari r.a Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Likha… ( Siar A’aLamin NubaLa 386/17 )

( b ) IsmaiL Bin Muhammad AL Saffar r.a bhi Siqah Hain Jaisa ke Imam Darqutni r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 301/7 )

( c ) Ahmad Bin Mansoor Ar Ramadi r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Farmaya ( Taqreeb uL Tehzeeb 100 )

( d ) Imam Abdur Razzaq bhi Siqah Hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar ne Farmaya ( Taqreeb uL Tehzeeb )

Imam Ibn AbduL Barr r.a ne AL Intiqa me bhi Ye Waqia NaqaL kara hai Wahan Ye ALfaz Zyada hain ke Imam Abdur Razzaq r.a ne Farmaya Bad me Jab Maine Is Mas’aLe ki Tehqeeq ki to Pata ChaLa Hazrat Ibn Mas’ood r.a ka QauL Wahi  tha Jo Imam Abu Hanifa r.a ne Jawab Diya tha…. ( AL Intiqa 209 )

Yahan Hamne Sirf Mutaqaddimeen se Mautbar Sanadon ke HawaLe NaqaL Kare hain,  Nahi to Iske ALawa Deegar Sanadon aur Mutakhireen Me se Imam Zahabi r.a , Imam Ibn Hajar r.a , Imam Sakhawi r.a aur Deegar Muhaddiseen se bhi HawaLe NaqaL Kare Ja Sakte hain…

Kya Imam Abu Hanifa r.a Hadees me Yateem the?

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Imam Abu Hanifa r.a par Ek Aitraaz ye Kiya Jata hai ke Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a ne Imam Abu Hanifa r.a ko Hadees me Yateem Kaha hai. Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne NaqaL Kara ( Tarikh e Baghdad 574/15 )

aur Jaisa ke Imam Ibn Hibban r.a ne NaqaL Kara ( AL Majrooheen 411/2 )

Goya Kuch Logon ne Isse Ye MatLab NikaLa ke Imam Ibn Mubarak r.a Imam Abu Hanifa r.a ko Hadees me Yateem aur Zaeef mante the… HaLanki Yateeman FiL Hadees Koi Jarah ka KaLimah nahi aur Isse Imam Abu Hanifa r.a ki Taze’ef bhi Murad nahi … Kyonki Ye ALfaz Kisi Rawi ko Zaeef Kehne KeLiye IstemaL nahi hota… Raha Ye ke Phir Iska Kya MatLab hai To Jaisi Aqeedat aur Mohabbat Imam Ibn Mubarak r.a ko Imam Abu Hanifa r.a se hai Uske MaddeNazar Ye Tareef ka hi KaLimah Mahsoos hota hai…

Kyonki PehLi Baat to ye Jab Kisi Muhaddis ke Nazdeek Uska Koi Shaikh ya Doosra Koi Muhaddis Bohot hi Unche Darje ka Hota hai To Wo Uske Liye Aise ALfaz IstemaL Karta hai Jo Doosron keLiye Aam taur par IstemaL nahi karta…Jaise Koi Kahe Maine Inki MisL kisi ko nahi dekha, Unhone Apni Aankh se Apne MisL kisi ko nahi dekha,  Unhone Apne Bad Apne Jaisa koi Nahi Chora wagherah ….

IsLiye Ham Keh Sakte hain Ke Yateem FiL Hadees se Murad Imam Abu Hanifa r.a ki Hadees me Expertise ( Maharat ) Murad Hai… Kyonki Arabi Lughat me Yateem Har Us Cheez ko Kehte hain Jiska Koi Sani ( MisL ) na ho , Jaisa Durre Yateemah Kaha Jata hai , Jaisa ke Imam IsmaiL bin Hammad AL Johri r.a aur Imam Ibn Manzoor Misri r.a ne NaqaL Kiya… ( AL Sihah AL Johri 2064 , Lisan uL Arab 464/12)

Iske ALawa Imam Ibn Manzoor Misri r.a ne hi NaqaL Kara ke Yateem Ret ke AkeLe Zarre ko kehte hain,  Arab ke Yahan Har Munfarid aur AkeLi Cheez ko Yateem Kehte hain … ( Lisan uL Arab 464/12 ) 

In HawaLon se MaLoom Hua ke Arabon me Yateem AkeLa Yakta KeLiye IstemaL hota hai,  Ab MatLab Ye Hua Ke Imam Abu Hanifa r.a ke MisL Hadees me Koi Doosra nahi tha… Aur Is Murad ki Taraf Imam Ibn Mubarak r.a ka Sahih Sanad se Wo QauL bhi Ishara Karta hai Ke Imam Abu Hanifa r.a ka QauL Sahabi r.a ke Asar ( QauL ) ki Tarah hai  ( Jab Koi Hadees Mojood na ho ) [ FazaiL Abi Hanifa r.a ]

Iske ALawa Ek Mautbar Sanad se Imam Ibn Mubarak r.a se ye bhi ManqooL hai ke Ye Na Kaho ke ye Imam Abu Hanifa r.a ka QauL hai ( BaLki ) Ye Kaho ke ye Hadees ki Tafseer hai ( Manaqib Muwaffiq 307 )

Iske ALawa Hazrat ALi Bin Is’haq r.a ne hi يتيما في الحديث ke ALfaz NaqaL Kare hain Aur Unhone hi في الحديث يقيم ke ALfaz bhi NaqaL Kare hain Jiska MatLab Hota hai Hadees me Mazboot ( AL KamiL Ibn Adi 237/8 )

In AqwaL ki Roshni me Ham Keh Sakte hain ke يتيما في الحديث se Murad Hadees me Yakta BeNazeer Murad Ho Sakta hai,  Kyonki Agar Imam Abu Hanifa r.a Hadees me Yateem hote to Imam Abu Hanifa r.a aur Unke AqwaL ko Imam Ibn Mubarak r.a itni Ahmiyat nahi dete…

Rahi Baat Ke Imam Ibn Abi Hatim r.a Ne Imam Ibn Mubarak r.a ke Waste se مسكينا في الحديث ke ALfaz bhi NaqaL kare hain .

To Arz hai ke Iski Sanad Hasan hai Jabki يتيما في الحديث NaqaL Karne waLi Sanad Sahih hai… Aur Is MamLe me Tarjih Sahih Sanadon ko di Jayegi Kyonki Wo Siqah Rawiyon ke Waste se ManqooL hai… aur AsaL ALfaz يتيما في الحديث Ke hain Jaise ke Imam ALi bin Is’haq r.a , Imam Muhammad bin Muzahim r.a aur Imam Is’haq bin Rahwiyah r.a Jaise Siqah ki Jama’at ne NaqaL Kare aur Ye Mumkin hai Ke Imam Ibn Abi Hatim r.a ki Sanad ke Rawi ne يتيما في الحديث ko Jarah Samjha ho aur Phir Riwayat biL Mayne Bayan Karte hue يتيما ki Jagah مسكينا ALfaz Bayan Kar diya ho… Kyonki Rawiyon me Jo Ahtiyat aur Zabt  Ahadees e RasooL a.s Bayan Karne me Paya Jata hai Wo Zabt Deegar AqwaL NaqaL Karne me nahi Paya Jata….

Lekin Agar Phir bhi Koi Shakhs is Baat ko na Mane to Ham Kahenge Ke Lughat me مسكين ke Mayne الخاضع ke bhi Aate hain Yani Tabedar ( تابعدار ) Obedient ( فرمانبردار ) … Jaisa ke Imam Ibn Manzoor Misri r.a Ne Lisan uL Arab 216/13 me NaqaL Kara hai

Ab مسكينا في الحديث ke Mayne Honge Hadees ki Tabedari,  Hadees me Ajizi Karne waLe

Lekin Agar Phir bhi Koi nahi Mane to Ham Kahenge ke Bohot se Bohot يتيما في الحديث se ye Murad Hoga ke Imam Abu Hanifa r.a Hadees ki Zyada Sanadon ko Jama Karne waLe nahi the… Yani Jis Tarah Muhaddiseen Ek Hadees ki Kai Kai Sanaden Jama Karte hain Is Tarah ka Ahtamam Imam Abu Hanifa r.a ne nahi kara… Lekin Isse Koi Farq bhi nahi Parta Kyonki Ek Faqih ka Kaam Hadees ki Sanaden Jama Karne ka nahi Hota BaLki Us Hadees ke Matan se MasaiL ka Istambat Unka HaL NikaLna AsaL Maqsad hota hai. Jaisa ke Imam Shafaii r.a ke Martabe se Kaun Inkar Kar Sakta hai… Aap Mujtahid Muhaddis Imam Hain … Lekin Iske Bawajood QaLeeL uL Hadees ( Hadees Kam Bayan Karne waLe )  hain , Jaisa ke Siqah Imam Abu Quddamah r.a Farmate hain … ( Tarikh e Baghdad 400/14 )

Jaisa ke Khud Imam Shafaii r.a ka QauL bhi hai Jise Imam Behqee r.a ne NaqaL Kara Imam Is’haq Bin Rahwiyah r.a se Munazre ke Bad Imam Shafaii r.a ne Unse Farmaya ke Jis Tarah Tumhe Ahadees ( Ki Sanaden ) Yaad hain Is Tarah Agar Mujhe Yaad hoti To Tamam AhLe Duniya par GhaLib aa jata ( Manaqib Shafaii 153/2 )

Ab Agar Yahan Imam Shafaii r.a ke QauL par Ghaur Karen to Ye Maloom hota hai ke Aap Ahadees ki Sanadon ko Kasrat se Yaad Karne waLe nahi the Lekin Iske Bawajood Unki Fiqah ko ALLaah ne Kya MaqbooLiyat Bakhshi Wo Kisi Se Chupi nahi hai…

Iske ALawa Imam Ibrahim Bin Saeed AL Johri r.a ka QauL bhi NaqaL Karna Behtar Mahsoos hota hai Wo Farmate hain ke Har wo Hadees Jo Mere Paas 100 Sanadon se na ho To Main Us Hadees me Khud To Yateem KhayaL Karta hoon ( Tarikh e Baghdad 618/8 )

IsLiye Agar Imam Abu Hanifa r.a bhi Ek Hadees ki MukhtaLif Sanadon ko Jama Karne waLe nahi the to ye Koi Aib ya Taz’eef ki Baat nahi… Kyonki Faqih ka Kaam MasaiL ka Istambat hai na ke Sanadon ko Jama Karna… Jaisa ke Imam Ibn Taimiyah r.a ne Imam Ahmad bin HambaL r.a ke HawaLe se NaqaL Kara ke Imam Ahmad r.a Farmate hain Hadees ki M’arifat aur Isme Tafaqqah Paida Karna Mujhe Sirf Iske Yaad Kar Lene se Zyada Mahboob hai ( Minhaj Us Sunnah 428/7 )

aur Jaisa ke Imam ALi bin Madini r.a se NaqaL Kara wo Farmate hain Ashraf tar ILm Ahadees ke Mutoon ( Matan ) me Tafaqqah paida karna Aur AhwaL ur Ruwat me M’arifat HasiL Karna hai ( Minhaj Us Sunnah 428/7 )

IsLiye Agar يتيما في الحديث se Murad Ahadees ki Sanadon ko Kasrat se Jama na Karna Murad ho to bhi Isse Imam Abu Hanifa r.a ki Taz’eef nahi hoti,  Kyonki Yateem fiL Hadees Ek To Jarah ka KaLimah nahi,  Doosre Sanadon ka Kam Hona Koi IshkaL ki Baat bhi nahi.

To MaLoom Hua ke يتيما في الحديث Koi Jarah nahi… aur Isse Imam Abu Hanifa r.a ki Taz’eef bhi Murad nahi …