AL IJMA Magazine. (All Issues)

Read Online

Issue no 1  Issue no 2  Issue no 3

Issue no 4  Issue no 5  Issue no 6  Issue no 7

Issue no 8  Issue no 9  Issue no 10  Issue no 11

Issue no 12  Issue no 13  Issue no 14  Issue no 15 

Issue no 16  Issue no 17 Issue no 18  Issue no 19

Issue no 20  Issue no 21  Issue no 22   Issue no 23

Issue no 24  Issue no 25  Issue no 26  Issue no 27

Issue no 28  ٰIssue no 29

Download [Right Click, Save Link as]

Issue no 1  Issue no 2  Issue no 3

Issue no 4  Issue no 5  Issue no 6  Issue no 7

Issue no 8   Issue no 9  Issue no 10  Issue no 11

Issue no 12  Issue no 13  Issue no 14

Issue no 15: Link 1  Link 2

Issue no 16 : Link 1  Link 2

Issue no 17 : Link 1  Link 2

Issue no 18 : Link 1  Link 2

Issue no 19 : Link 1  Link 2

Issue no 20 : Link 1  Link 2

Issue no 21 : Link 1  Link 2

Issue no 22 : Link 1  Link 2

Issue no 23 : Link 1  Link 2

Issue no 24 : Link 1  Link 2

Issue no 25 : Link 1  Link 2

Issue no 26 : Link 1  Link 2

Issue no 27 : Link 1  Link 2

Issue no 28 : Link 1  Link 2

Issue no 29 : Link 1  Link 2

Difa e ASLAAF Magazine. [All Issues]

Read Online

Issue no 1   Issue no 2  Issue no 3  Issue no 4

Issue no 5  Issue no 6  Issue no 7  Issue no 8

Issue no 9  Issue no 10  Issue no 11  Issue no 12

Issue no 13  Issue no 14  Issue no 15  Issue no 16

Issue no 17  Issue no 18  Issue no 19  Issue no 20

Issue no 21  Issue no 22  Issue no 23  Issue no 24

Issue no 25

 

[Right Click, Save as]

Issue no 1   Issue no 2  Issue no 3  Issue no 4

Issue no 5  Issue no 6  Issue no 7  Issue no 8

Issue no 9  Issue no 10  Issue no 11

Issue no 12 : Link 1  Link 2

Issue no 13 : Link 1  Link 2

Issue no 14 : Link 1  Link 2

Issue no 15 : Link 1  Link 2

Issue no 16 : Link 1  Link 2

Issue no 17 : Link 1   Link 2

Issue no 18 : Link 1   Link 2

Issue no 19 : Link 1   Link 2

Issue no 20 : Link 1   Link 2

Issue no 21 :  Link 1   Link 2

Issue no 22 :  Link 1   Link 2

Issue no 23 :  Link 1   Link 2

Issue no 24 :  Link 1   Link 2

Issue no 25 :  Link 1   Link 2

Fazail e Amaal par Waswasa Part 20 (Aurat ke Pait par Haat Phairne ke Waqiye par Aiteraaz ka Muh-tord Jawaab)

Ghair Muqallideen Ahle hadees Firqa e Ahlehadees Awaam ko Dhoka dete huwe Fazaail e Amaal me Maujood ek Waqiye ko Naql Karke, GHALAT Bayaani se Kaam lete hai aur Bichaare Kam Ilm Logo ko Dhoka dete hai.

Dekhiye,

Al – Jawaab :

Jis Waqiye par Aiteraaz Kiya gaya hai, Usko Ek Baar Mulaaheza Farmaaye :

Hafiz Abu Nuaim Rh. Hazrat Sufiyan Sauri Rh. se Naql karte hai ke Mai Ek dafa Baher jaaraha tha.

Maine ek Jawaan ko dekha ke Jab wo Qadam utaata hai ya Rakhta hai, Toh Yu Kehta hai.

اللهم صلي محمد وعلى آل محمد

Maine usse pucha :

Kya Kisi Ilmi Daleel se Tera Yeh Amal hai ? (Ya Mahez apni Raaye se) ?

Usne pucha : Tum Kaun ho ?

Maine Kaha : Mai Sufiyan Sauri (Rh. hu).

Usne Kaha : Kya Iraaq waale Sufiyan ?

Maine Kaha :  Ha !

Kehne laga : Tujhe Allah ki Maarifat Haasil hai ?

Maine Kaha : Haa hai.

Usne pucha : Kis Tarah Maarifat Haasil hai ?

Maine Kaha : Raat se Din Nikalta hai, Din se Raat Nikalta hai, Maa ke pait me Bach-che ki Surat paida karta hai.

Usne Pucha : Kuch nahi Pehchaana.

Maine Kaha : Tu Kis Tarah Pehchaanta hai ?

Usne Kaha : Kaam ka Pokhta (Pakka) Iraada  karta hu, Usko Faskh karna Pardta hai aur Kisi Kaam ke karne ki Thaan Karleta hu, Magar nahi Karsakta.

Isse maine pehchaan liya, ke Koi Dusri Hasti hai Jo Mere kaamo ko Anjaam deta hai.

Maine Pucha :  Yeh Tera Durood kya Cheez hai ?

Usne Kaha : Mai apni Maa ke saat Hajj ko gaya tha, Meri Maa wahi Rehgayi (Yaani Margayi).

Uska Muh kaala hogaya aur Uska Pait phul gaya.

Jisse Mujhe Yeh Andaaza huwa ke Isse Koi Bahut Bada saqt Gunaah huwa hai, Maine ALLAH TALA KI TARAF DUA KE LIYE HAAT UTAAYE .

Toh Maine Dekha ke tihaama (Hijaaz) se Ek Abar aaya.

Usse Ek Aadmi Zaahir huwa.

Usne Apna Mubarak haat Meri Maa ke Muh par Phaira, Jisse wo Bilkul Raushan hogayi aur Pait par Haat Phaira, Toh Warum bilkul Jaata raha.

Maine ne Arz kiya : ke Aap Kaun hai ke Meri aur Meri Maa ki Musibat ko Dur kiya,

Unhone Farmaaya : ke Mai Tera Nabi SAW hu.

Maine Arz kiya : Mujhe koi Wasiyat ki-jiye.

Toh Huzur SAW ne Farmaaya : ke Jab koi Qadam Rakha kare ya Uthaaya kare

اللهم صلي محمد وعلى آل محمد

Padhaa-kar.

(Fazaail e Amaal : Jild 1 : Fazaail e Durood : Safa 765, Yaseen Book Depot, New Delhi)

(Fazaail e Amaal : Jild 1 : Fazaail e Durood : Safa 754, Deeniyat Edition) Continue reading

Imam e Azam Abu Hanifa Rh. Al Mutawaffa 150 Hij. ka Ek Mubarak Khwaab.

Imam e Azam Abu hanifa Rh. Al Mutawaffa 150 Hij. ke Mutalliq Mashoor hai ke Aap Rh. ne Khwaab me DEKHA ke Aap Rh. ne Huzur SAW ki Qabar e Mubarak ko Khola, aur Aap SAW ki Haddiye Mubarak ko Jama kiya hai aur Jab Is Khwaab ki Ta’abeer Imam Ibn Sireen Rh. se puchi gayi, Toh Unhone Farmaaya : Ke Allah tala Imam Sahaab ke Nabi SAW ki Zariye se Sunnato ko Zinda karega.

Yeh waqiye Mukhtalif Alfaaz ke Saat,

1 – Hafiz ul Maghrib Imam Ibn Abdul Barr Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. ne Apni Kitaab “Al Inteqaa” me Sanad ke Saat Naql Farmaaya hai, wo “Al Inteqaa” me Farmaate hai :

قال أبو عمر رَحِمَهُ اللَّهُ: نا حكم بن منذر، قَالَ: نا أبو يعقوب يوسف بن أَحْمَدَ نا أَحْمَدُ بْنُ الْحَسَنِ الدِّينَوَرِيُّ قَالَ نَا الْقَاسِمُ بْنُ عَبَّادٍ قَالَ نَا صَالِحُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ رَزِينٍ عَنْ أَبِي حَنِيفَةَ قَالَ رَأَيْتُ فِي الْمَنَامِ كَأَنِّي نَبَشْتُ قَبْرَ النَّبِيِّ عَلَيْهِ السَّلامُ فَأَخْرَجْتُ عِظَامَهُ فَاحْتَضَنْتُهَا قَالَ فَهَالَتْنِي هَذِهِ الرُّؤْيَا فَرَحَلْتُ إِلَى ابْنِ سِيرِينَ فَقَصَصْتُهَا عَلَيْهِ فَقَالَ إِنْ صَدَقَتْ رُؤْيَاكَ لَتُحْيِيَنَّ سُنَّةَ نَبِيِّكَ مُحَمَّدٍ صلى الله عَلَيْهِ وَسلم

(Al Inteqaa : Safa 145)

Scan Page : Continue reading

Fazail e Amaal par Aiteraaz Part 1 (Ek Saans me 200 Martaba Kalima pardne par Ishkaal) ka Jawaab.

Aiteraaz :

Fazaail e Amaal par Ek Aiteraaz Yeh Kiya hai ke Isme Ek Buzurg ka Waqiya hai ke wo Ek Saans me 200 Martaba Laa-Ilaaha-illallaah Pardte hai.

Aur Ghair Muqallideen Ahlehadees Juhalaa Is waqiye ka Mazaaq Udaate huwe kehte hai ke Yeh Kaise hosakta hai ???

Continue reading

Ulama e Deoband (Maulana Tariq Jameel DB.) par Aiteraaz (Kya Allah ne Huzur SAW ka Janaaza Pardha) ka Jawaab.

Maulana Tariq Jameel DB. par Ghair Muqallideen aur Bralwi Hazraat Na-daani ki Wajeh se Gustaaqi aur Kufr ka Fatwa Lagaate hai (Nauzbillah).

Kyunke Maulana ne Yeh Kaha ke ‘Allah ke Rasoolullah SAW ka Janaaza Khud Allah ne Pardha hai’.

Al – Jawaab no 1 : (Tehqeeqi Jawaab)

Maulana Tariq Jameel Sahaab DB. Ne wo riwayat Jisko Aapne Unse Suna hai, wo riwayat Unhone Apne Ghar se Bayaan Nahi kiya, Balke Imam Ghazaali Rh. Al Mutawaffa 505 Hij. Ki Mashoor Kitaab “Ahya Uloom ud Deen” se Naql kiya hai.

Imam Abu Haamed Muhammed al Ghazaali Rh. Al Mutawaffa 505 Hij. Farmaate hai ke

وروي ابْن مَسْعُود: أَن النَّبِي صَلَّى الله عَلَيْهِ وَسلم قَالَ لأبي بكر «سل يَا أَبَا بكر» فَقَالَ: يَا رَسُول الله دنا الْأَجَل؟ فَقَالَ «قد دنا الْأَجَل وتدلى» فَقَالَ لِيَهنك يَا نَبِي الله مَا عِنْد الله! فليت شعري عَن منقلبنا، فَقَالَ «إِلَى الله وَإِلَى سِدْرَة الْمُنْتَهَى ثمَّ إِلَى جنَّة المأوى والفردوس الْأَعْلَى والكأس الأوفى والرفيق الْأَعْلَى والحظ والعيش المهنا» فَقَالَ يَا نَبِي الله من يَلِي غسلك؟ قَالَ «رجال من أهل بَيْتِي الْأَدْنَى فالأدنى» قَالَ فَفِيمَ نكفنك؟ فَقَالَ «فِي ثِيَابِي هَذِه وَفِي حلَّة يَمَانِية وَفِي بَيَاض مصر» فَقَالَ كَيفَ الصَّلَاة عَلَيْك منا؟ وبكينا وَبكى ثمَّ قَالَ «مهلا غفر الله لكم وجزاكم عَن نَبِيكُم خيرا، إِذا غسلتموني وكفنتموني فضعوني عَلَى سَرِيرِي فِي بَيْتِي هَذَا عَلَى شفيري قَبْرِي، ثمَّ أخرجُوا عني سَاعَة، فَإِن أول من يُصَلِّي عَلَى الله عز وَجل {هُوَ الَّذِي يُصَلِّي عَلَيْكُم وَمَلَائِكَته} ثمَّ يَأْذَن للْمَلَائكَة فِي الصَّلَاة عَلَى، فَأول من يدْخل عَلَى من خلق الله وَيُصلي عَلَى جِبْرِيل ثمَّ مِيكَائِيل ثمَّ إسْرَافيل ثمَّ ملك الْمَوْت مَعَ جنود كَثِيرَة، ثمَّ الْمَلَائِكَة بأجمعها صَلَّى الله عَلَيْهِم أَجْمَعِينَ، ثمَّ أَنْتُم فأدخلوا عَلّي أَفْوَاجًا فصلوا عَلّي أَفْوَاجًا زمرة زمرة وسلموا تَسْلِيمًا، وَلَا تؤذوني بتزكية وَلَا صَيْحَة وَلَا رنة وليبدأ مِنْكُم الإِمَام وَأهل بَيْتِي الْأَدْنَى فالأدنى، ثمَّ زمر النِّسَاء ثمَّ زمر الصّبيان» قَالَ فَمن يدْخلك الْقَبْر؟ قَالَ «زمر من أهل بَيْتِي الْأَدْنَى فالأدنى مَعَ مَلَائِكَة كَثِيرَة لَا ترونهم وهم يرونكم قومُوا فأدوا عني إِلَى من بعدِي»

(Ahya uloom ud Deen : Jild 4 : Safa 471)

Scan Page : Continue reading

Aurat ka (Masjid ke Muqaable me) Apne Ghar me Namaaz pardna Afzal aur Zyaada Sawaab ka Zariya hai.

Aurat ka (Masjid ke Muqaable me) Apne Ghar me Namaaz pardna Afzal aur Zyaada Baa-is e Sawaab hai.

1 – Hazrat Abdullah bin Masood Rdh. se riwayat hai ke

حَدَّثَنَا أَبُو عَبْدِ اللَّهِ مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ أَحْمَدَ الزَّاهِدُ الْأَصْبَهَانِيُّ، ثنا أَحْمَدُ بْنُ مَهْدِيِّ بْنِ رُسْتُمٍ الْأَصْبَهَانِيُّ، ثنا عَمْرُو بْنُ عَاصِمٍ الْكِلَابِيُّ، ثنا هَمَّامٌ، عَنْ قَتَادَةَ، عَنْ مُوَرِّقٍ، عَنْ أَبِي الْأَحْوَصِ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: «صَلَاةُ الْمَرْأَةِ فِي بَيْتِهَا أَفْضَلُ مِنْ صَلَاتِهَا فِي حُجْرَتِهَا، وَصَلَاتُهَا فِي مَخْدَعِهَا أَفْضَلُ مِنْ صَلَاتِهَا فِي بَيْتِهَا»

Rasoolullah SAW ne Farmaaya : Aurat ki Ghar ke Andar ki Namaz, Ghar ke Sehan ki Namaz se afzal hai aur Uski Ghar ki [Andruni] Kotri ki Namaz, Ghar ki Namaz se Behtar hai.

(Mustadrak al Haakim Ma’a Talkhees Liz Zehbi : Jild 1 : Safa 328, Hadees no 757, Imam Haakim Rh. aur Imam Zehbi Rh. is riwayat ko Shaikhain ki Sharat par SAHEEH Qaraar diya hai, Mu-ajjamul Kabeer Lit Tabraani : Jild 9 : Safa 295)

Scan Page : Mustadrak al Haakim Ma’a Talkhees Liz Zehbi

Continue reading

Aurto ka Masjid Na Jaane ke Silsile me Sahaba Kiraam Rdh. aur Salaf-o-Saleheen ke Irshaadaat.

Sahaba Kiraam Rdh. ne Huzur SAW Ke Hukum se Aurto ko Masjid me Aane se Roka tha, Jiski Tafseel Humne Pehle Bayaan Kardi hai :

https://ulamaehaqulamaedeoband.wordpress.com/2016/09/22/huzur-saw-ke-irshaad-ki-wajeh-se-hi-sahaba-kiraam-rdh-ne-aurto-ko-masjid-me-aane-se-roka-tha/

Ab Aurto ka Masjid  Na-Jaane ke Silsile me Sahaba Kiraam Rdh. aur Salaf-o-Saleheen ke Irshaadaat Mulaaheza Farmaaye :

1 – Hazrat Ayesha Rdh. Al Mutawaffa 58 Hij. ka Irshaad :

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Taahera Siddiqua Rdh. Al Mutawaffa 58 Hij. Bayaan Karti hai ke

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ يُوسُفَ، قَالَ: أَخْبَرَنَا مَالِكٌ، عَنْ يَحْيَى بْنِ سَعِيدٍ، عَنْ عَمْرَةَ، عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا، قَالَتْ: «لَوْ أَدْرَكَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مَا أَحْدَثَ النِّسَاءُ لَمَنَعَهُنَّ كَمَا مُنِعَتْ نِسَاءُ بَنِي إِسْرَائِيلَ»

Aurto ne Zaib wa Zeenat aur Khoobsurti ki Numaaish ka Jo Tariqa Ijaad karliya hai, Agar Rasoolullah SAW use Mulaaheza Karlete, Toh Unhe Masjido se Zaroor Rok-dete, Jaisa Bani Israael ki Aurtein Rokdi gayi thi.

(Saheeh Bukhari : Hadees no 869)

Scan Page :

%d8%b5%d8%ad%d9%8a%d8%ad-%d8%a7%d9%84%d8%a8%d8%ae%d8%a7%d8%b1%d9%8a-%d8%a8%d9%8a%d8%aa-%d8%a7%d9%84%d8%a3%d9%81%d9%83%d8%a7%d8%b1_page176-2

Hazrat Ayesha Rdh. ka Ek aur Irshaad :

Hazrat Ayesha Rdh. se riwayat hai ke Continue reading

Huzur SAW ke Irshaad ki wajeh se hi Sahaba Kiraam Rdh. ne Aurto ko Masjid me Aane se Roka tha.

Huzur SAW ke Irshaad ki wajeh se hi Sahaba Kiraam ne Aurto ko Masjid me Aane se Rok diya tha, Kyunke Huzur SAW ne Aurto ko Jaha Masjid Aane ki Ijaazat di, Waha Unke liye Kuch Sharaa-it bhi Bataaye hai ke Jab wo Masjid me Aaye, Toh In Sharaa-it ka Lehaaz Rakhe, wo Sharaa-it ki Tafseel Yaha par Maujood hai.

https://ulamaehaqulamaedeoband.wordpress.com/2016/09/11/khawaatein-ke-liye-masjid-me-aane-ke-nabawi-sharaa-it/

Huzur SAW ki Muqarrar ki Huwi Sharaa-it ki Khilaaf Arzi par KHUD AAP SAW NE SAHABA RDHM. KO HUKUM DIYA THA KE WO KHWAATEIN KO MASJID ME AANE SE ROKDE.

Lehaaza ab Wo Ahadees Mulaaheza Farmaaye, Jinme Huzur SAW ne Sahaba Kiraam Rdhm. Ko Hukum diya ke Aurtein Agar Sharaa-it ki pabandi na Karne par, Toh Unhe Masjid me Aane na de :

1 – Hazrat Ayesha Rdh. Al Mutawaffa 58 Hij. Farmaati hai ke Continue reading

Khawaatein ke liye Masjid me Aane ke Nabawi Sharaa-it.

Aurtein Masjid me Aana Chahiye ya NAHI, Is Masle me Ghair Muqallideen Na-Ilmi wa Jehalat ka Saboot Dete huwe kehte hai ke Aaj ke Zamaane me Aurto ko Masjid me Aana Chahiye aur Unko Masjid Aane se Nahi Rokna Chahiye.

DALEEL ke taur par Yeh riwayat Pesh karte hai ke Huzur SAW ne Farmaaya : ke Tumaari Aurtein Jab Masjid Aane ki Ijaazat Maange, Toh Unhe Mana Mat karo. (Saheeh Bukhari)

Yeh Hadees Sunakar Har Jaahil Ghair Muqallid Yeh Kehte hai ke Aurto ko Masjid Aana Chahiye aur Koi Unhe Masjid Aane se Na Roke.

Al – Jawaab :

Afsoos Ghair Muqallideen Sirf Aadhi Adhuri Baat Naql karte hai,

Halaanke  Jaha par Huzur SAW ne Masjid me Aurto ko Aane ki Jo Ijaazat di hai, Waha par Huzur SAW ne Chand Sharaa-it bhi Bataayi hai ke Khwaatein Jab Masjid me Aaye, Toh In Sharaa-it ka Lehaaz rakhte huwe Aaye.

Halaanke In Sharaa-it ko Koi Ghair Muqallid Ahlehadees Jaahil ya Maulwi Bayaan nahi karta, aur Yeh bhi Yaad Rahe ke Sharaa-it Khilaaf Arzi par KHUD AAP SAW NE SAHABA RDHM. KO HUKUM DIYA HAI KE WO KHWAATEIN KO MASJID ME AANE SE ROKDE.

wo Sharaa-it Yeh hai :

Pehli Shart : [PARDA] Continue reading